Shayari
zaalim ki to aadat hai sataataa hi rahegaa
apni bhi tabiat hai bahalti hi rahegi
siine mein mire daagh-e-gham-e-ishq-e-nabi hai
ik gauhar-e-naayaab mire haath lagaa hai
سینے میں مرے داغ غم عشق نبی ہے
اک گوہر نایاب مرے ہاتھ لگا ہے
सीने में मिरे दाग़-ए-ग़म-ए-इश्क़-ए-नबी है
इक गौहर-ए-नायाब मिरे हाथ लगा है

zaalim ki to aadat hai sataataa hi rahegaa
apni bhi tabiat hai bahalti hi rahegi
kis tarah husn-e-zabaan ki ho taraqqi 'vahshat'
main agar khidmat-e-urdu-e-muallaa na karun
abhi hote agar duniyaa mein 'daagh'-e-dehlavi zinda
to vo sab ko bataa dete hai 'vahshat' ki zabaan kaisi
qadrdaani ki kaifiyat maalum
aib kyaa hai agar hunar na huaa
dil ko ham kab tak bachaae rakhte har aaseb se
Thes aakhir lag gai shishe mein baal aa hi gayaa
thaa qafas kaa khayaal daaman-gir
uD sake ham na baal o par le kar
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ye vaqfa saaaton kaa chand sadiyon ke baraabar hai
vo ab aavaaz dete hain to pahchaani nahin jaati
guzar rahi hai jo dil par vahi haqiqat hai
gham-e-jahaan kaa fasaana gham-e-hayaat se puchh
ishq ki fitrat ne yuun badlaa mazaaq-e-zindagi
jitne gham baDhne lage utni khushi hone lagi