Shayari
kaise us ko dil ki haalat samjhaaun
baat karun to aankh churaane lagtaa hai
aaj vaada vo phir nibhaaegaa
vaadi o gul pe kyaa khumaari hai
آج وعدہ وہ پھر نبھائے گا
وادی و گل پہ کیا خماری ہے
आज व'अदा वो फिर निभाएगा
वादी ओ गुल पे क्या ख़ुमारी है

kaise us ko dil ki haalat samjhaaun
baat karun to aankh churaane lagtaa hai
mujh ko duniyaa se be-khabar kar de
dekh le mujh ko mo'tabar kar de
koi surat nahin magar us kaa
kore kaaghaz pe naam baaqi hai
dekh use sab zikr hamaaraa karte hain
us ki aankh mein sirf hamaaraa chehra hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa