Shayari
hami akele nahin zindagi se haare hue
bahut se log khaDe hain badan utaare hue
tumhein ye 'ishq bichhaD kar samajh mein aaegaa
charaagh bujhte hain tab jaa ke raat khulti hai
تمہیں یہ عشق بچھڑ کر سمجھ میں آئے گا
چراغ بجھتے ہیں تب جا کے رات کھلتی ہے
तुम्हें ये 'इश्क़ बिछड़ कर समझ में आएगा
चराग़ बुझते हैं तब जा के रात खुलती है

hami akele nahin zindagi se haare hue
bahut se log khaDe hain badan utaare hue
mohabbat bojh ban kar hi bhale rahti ho kaandhon par
magar ye bojh haTtaa hai to kandhe Tuut jaate hain
sab log jo hairat se tujhe dekh rahe hain
sar teraa bahut chhoTaa hai dastaar baDi hai
mohabbaton ko kahin se madad nahin milti
ye jang aisi hai jis mein rasad nahin milti
tire baghair bhi kahti hai mujh se jiine ko
ye zindagi bhi sahi mashvara nahin deti
ehsaan kar rahaa hai tiraa hijr in dinon
main in dinon khudaa ke ziyaada qarib huun
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'ishq mein kaamyaab honaa bhi
ik hunar hai koi mazaaq nahin
dil ke dariyaa ne kinaaron se mohabbat kar li
tez bahtaa hai magar kam nahin hone paataa
kabhi tegh-e-tez supurd ki kabhi tohfa-e-gul-e-tar diyaa
kisi shaah-zaadi ke ishq ne miraa dil sitaaron se bhar diyaa
husn kaa har khayaal raushan hai
ishq kaa muddaaa kise maalum