Shayari
mohabbat bojh ban kar hi bhale rahti ho kaandhon par
magar ye bojh haTtaa hai to kandhe Tuut jaate hain
ehsaan kar rahaa hai tiraa hijr in dinon
main in dinon khudaa ke ziyaada qarib huun
احسان کر رہا ہے ترا ہجر ان دنوں
میں ان دنوں خدا کے زیادہ قریب ہوں
एहसान कर रहा है तिरा हिज्र इन दिनों
मैं इन दिनों ख़ुदा के ज़ियादा क़रीब हूँ

mohabbat bojh ban kar hi bhale rahti ho kaandhon par
magar ye bojh haTtaa hai to kandhe Tuut jaate hain
sab log jo hairat se tujhe dekh rahe hain
sar teraa bahut chhoTaa hai dastaar baDi hai
mohabbaton ko kahin se madad nahin milti
ye jang aisi hai jis mein rasad nahin milti
tire baghair bhi kahti hai mujh se jiine ko
ye zindagi bhi sahi mashvara nahin deti
main khushbuon ke zikr pe khaamosh hi rahaa
haalaanki ek phuul mire haafize mein thaa
hami akele nahin zindagi se haare hue
bahut se log khaDe hain badan utaare hue
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
shaayad kisi ne yaad kiyaa hai hamein 'adaa'
kyon varna ashk maail-e-tufaan hai aaj phir
vo din gae ki 'daagh' thi har dam buton ki yaad
paDhte hain paanch vaqt ki ab to namaaz ham
aaj nikle yaad ki zambil se
mor ke TuuTe hue do chaar par
'zafar' aadmi us ko na jaaniyegaa vo ho kaisaa hi saahab-e-fahm-o-zakaa
jise aish mein yaad-e-khudaa na rahi jise taish mein khauf-e-khudaa na rahaa