Shayari
samajh rahaa thaa jise khair-khvaah main apnaa
vahi hai dushman-e-jaan meraa sab se baDh kar aaj
chappa chappa us ki gali kaa rahaa hai mere zer-e-qadam
josh-e-junun se azm-e-safar tak ek kahaani biich mein hai
چپہ چپہ اس کی گلی کا رہا ہے میرے زیر قدم
جوش جنوں سے عزم سفر تک ایک کہانی بیچ میں ہے
चप्पा चप्पा उस की गली का रहा है मेरे ज़ेर-ए-क़दम
जोश-ए-जुनूँ से अज़्म-ए-सफ़र तक एक कहानी बीच में है

samajh rahaa thaa jise khair-khvaah main apnaa
vahi hai dushman-e-jaan meraa sab se baDh kar aaj
ruThne aur manaane ke ehsaas mein hai ik kaif-o-surur
main ne hamesha use manaayaa vo bhi mujhe manaae to
is haal mein kab tak yunhi ghuT ghuT ke jiyungaa
ruThaa hai vo aise ki manaa bhi nahin saktaa
huaa karbalaa mein jo qurbaan 'barqi'
husain ibn-e-haidar kaa vo khaandaan thaa
ab main huun aur khvaab-e-pareshaan hai mere saath
kitnaa paDegaa aur abhi jaagnaa mujhe
ajab khun-chakaan karbalaa kaa samaan thaa
the sab tishna-lab aur dariyaa ravaan thaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
dimaagh un ke tajassus mein jism ghar mein rahaa
main apne ghar hi mein rahte hue safar mein rahaa
dasht ki naa-tamaam raahon par
koi saathi hai to shajar tanhaa