Shayari
mujh ko akhbaar si lagti hain tumhaari baatein
har nae roz nayaa fitna bayaan karti hain
in se vaabasta hai miraa bachpan
main khilaunon ki qadr kartaa huun
ان سے وابستہ ہے مرا بچپن
میں کھلونوں کی قدر کرتا ہوں
इन से वाबस्ता है मिरा बचपन
मैं खिलौनों की क़द्र करता हूँ

mujh ko akhbaar si lagti hain tumhaari baatein
har nae roz nayaa fitna bayaan karti hain
hasin yaadein vo bachpan ki kahin dil se na kho jaaein
main apne aashiyaane mein khilaune ab bhi rakhtaa huun
ik bevafaa ke pyaar mein had se guzar gae
kaafir ke pyaar ne hamein kaafir banaa diyaa
apni kamar se aap hi baandhe safar tamaam
phir yuun huaa ki main kabhi apnaa nahin banaa
yuun mohabbat ko umr-bhar paDhnaa
zindagi imtihaan ho jaise
zindagi fan nahin madaari kaa
paaniyon se diye nahin jalte
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
koi halchal hai na aahaT na sadaa hai koi
dil ki dahliz pe chup-chaap khaDaa hai koi
khudaa ne bakhshaa hai kyaa zarf mom-batti ko
pighalte rahnaa magar saari raat chup rahnaa
sab ne dekhaa aur sab khaamosh the
ek suufi kaa mazaar uDtaa huaa
aaina ye to bataataa hai main kyaa huun lekin
aaina is pe hai khaamosh ki kyaa hai mujh mein
miri dahliz par chupke se 'paashi'
ye kis ne rakh di meri laash laa kar