Shayari
hamein bhi tajraba hai be-ghari kaa chhat na hone kaa
darinde, bijliyaan, kaali ghaTaaein shor karti hain
kis ki aankhon ko niind chubhti hai
kaun jaagaa rahaa hai umr ke saath
کس کی آنکھوں کو نیند چبھتی ہے
کون جاگا رہا ہے عمر کے ساتھ
किस की आँखों को नींद चुभती है
कौन जागा रहा है उम्र के साथ

hamein bhi tajraba hai be-ghari kaa chhat na hone kaa
darinde, bijliyaan, kaali ghaTaaein shor karti hain
jo chalaa gayaa so chalaa gayaa jo hai paas us kaa khayaal rakh
jo luTaa diyaa use bhuul jaa jo bachaa hai us ko sambhaal rakh
hamein sairaab rakkhaa hai khudaa kaa shukr hai us ne
jahaan banjar zaminein hon anaaein shor karti hain
ye kamra aur ye gard-o-ghubaar us kaa hai
vo jis ne aanaa nahin intizaar us kaa hai
aate rahte hain falak se bhi ishaare kuchh na kuchh
baat kar lete hain ham se chaand taare kuchh na kuchh
kaise hon khvaab aankh mein kaisaa khayaal dil mein ho
khud hi har ek baat kaa karnaa thaa faisla mujhe
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
hamaari zindagi to mukhtasar si ik kahaani thi
bhalaa ho maut kaa jis ne banaa rakkhaa hai afsaana
agar hayaat hai dekheinge ek din didaar
ki maah-e-eid bhi aakhir hai in mahinon mein
bichhaDnaa bhi tumhaaraa jite-ji ki maut hai goyaa
use kyaa khaak lutf-e-zindagi jis se judaa tum ho