Shayari
yuun mohabbat se na de meri mohabbat kaa javaab
ye sazaa sakht hai thoDi si riaayat kar de
main bhi kuchh der se baiThaa huun nishaane pe 'zafar'
aur vo kheinchaa huaa tiir bhi chal jaanaa hai
میں بھی کچھ دیر سے بیٹھا ہوں نشانے پہ ظفرؔ
اور وہ کھینچا ہوا تیر بھی چل جانا ہے
maiñ bhī kuchh der se baiThā huuñ nishāne pe 'zafar'
aur vo kheñchā huā tiir bhī chal jaanā hai

yuun mohabbat se na de meri mohabbat kaa javaab
ye sazaa sakht hai thoDi si riaayat kar de
yuun bhi hotaa hai ki yak dam koi achchhaa lag jaae
baat kuchh bhi na ho aur dil mein tamaashaa lag jaae
kyaa khabar jis kaa yahaan itnaa uDaate hain mazaaq
khud hamein bhi kabhi is rang mein Dhalnaa paD jaae
apni marzi se bhi ham ne kaam kar Daale hain kuchh
lafz ko laDvaa diyaa hai beshtar maani ke saath
haath pair aap hi main maar rahaa huun filhaal
Dubte ko abhi tinke kaa sahaaraa kam hai
raaste hain khule hue saare
phir bhi ye zindagi ruki hui hai
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
ye aab-dida Thahar jaae jhiil ki surat
ki ek chaand kaa TukDaa nahaanaa chaahtaa hai
bhalaa vo khaatir-e-aazurda ki taskin kyaa jaanein
jinhon ne khud-numaai khud-parasti zindagi bhar ki
ik mashghala Thahri hai tumhein ranjish-e-bejaa
ik khel huaa tum ko sataanaa mire dil kaa