Shayari
aisaa bhi kabhi ho main jise khvaab mein dekhun
jaagun to vahi khvaab ki taabir bataae
ye aab-dida Thahar jaae jhiil ki surat
ki ek chaand kaa TukDaa nahaanaa chaahtaa hai
یہ آب دیدہ ٹھہر جائے جھیل کی صورت
کہ ایک چاند کا ٹکڑا نہانا چاہتا ہے
ये आब-दीदा ठहर जाए झील की सूरत
कि एक चाँद का टुकड़ा नहाना चाहता है

aisaa bhi kabhi ho main jise khvaab mein dekhun
jaagun to vahi khvaab ki taabir bataae
zehn mein yaad ke ghar TuTne lagte hain 'shahaab'
log ho jaate hain ji ji ke puraane kitne
ham mein aur parindon mein farq sirf itnaa hai
dast-o-paa mile ham ko baal-o-par parindon ko
bikhraa bikhraa saa saaz-o-saamaan hai
ham kahin dil kahin aqida kahin
shaayad vo bhuli-bisri na ho aarzu koi
kuchh aur bhi kami si hai teri kami ke saath
kahaa thaa main ne kho kar bhi tujhe zinda rahungaa
vo aisaa jhuuT thaa jis ko nibhaanaa paD gayaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
kuchh phulon ki khaatir bhi kuchh phulon kaa
sab se achchhaa rang churaanaa paDtaa hai
vahaan hamaaraa koi muntazir nahin phir bhi
hamein na rok ki ghar jaanaa chaahte hain ham
ghurur bhi jo karun main to aajizi ho jaae
khudi mein lutf vo aae ki be-khudi ho jaae
jab talak shisha rahaa main baar-haa toDaa gayaa
ban gayaa patthar to sab ne devtaa maanaa mujhe