Shayari
yuun mohabbat se na de meri mohabbat kaa javaab
ye sazaa sakht hai thoDi si riaayat kar de
ye ham jo peT se hi sochte hain shaam o sahar
kabhi to jaaeinge is daal-bhaat se aage
یہ ہم جو پیٹ سے ہی سوچتے ہیں شام و سحر
کبھی تو جائیں گے اس دال بھات سے آگے
ye ham jo peT se hī sochte haiñ shaam o sahar
kabhī to jā.eñge is dāl-bhāt se aage

yuun mohabbat se na de meri mohabbat kaa javaab
ye sazaa sakht hai thoDi si riaayat kar de
yuun bhi hotaa hai ki yak dam koi achchhaa lag jaae
baat kuchh bhi na ho aur dil mein tamaashaa lag jaae
kyaa khabar jis kaa yahaan itnaa uDaate hain mazaaq
khud hamein bhi kabhi is rang mein Dhalnaa paD jaae
apni marzi se bhi ham ne kaam kar Daale hain kuchh
lafz ko laDvaa diyaa hai beshtar maani ke saath
haath pair aap hi main maar rahaa huun filhaal
Dubte ko abhi tinke kaa sahaaraa kam hai
raaste hain khule hue saare
phir bhi ye zindagi ruki hui hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
miri baaton se ab aazurda na honaa saaqi
is ghaDi aql miri mujh se judaa phirti hai
sochaa thaa lauT aaegaa apnaa samajh ke vo
us ko gila hai mujh ko pukaaraa nahin gayaa
sochte aur jaagte saanson kaa ik dariyaa huun main
apne gum-gashta kinaaron ke liye bahtaa huun main
ye soch kar vujud faraamosh kar diyaa
khud se milaa to teri tamanna karungaa main