Shayari
divaana-e-justuju ho gayaa chaand
baadal se gir ke kho gayaa chaand
paDti nahin hai dil pe tire husn ki kiran
kis samt mere chaand darakhshaan hai aaj-kal
پڑتی نہیں ہے دل پہ ترے حسن کی کرن
کس سمت میرے چاند درخشاں ہے آج کل
पड़ती नहीं है दिल पे तिरे हुस्न की किरन
किस सम्त मेरे चाँद दरख़्शाँ है आज-कल

divaana-e-justuju ho gayaa chaand
baadal se gir ke kho gayaa chaand
isi tarah baatein kiye jaaiye
ye tarz-e-takallum bahut khuub hai
meri tajviz par khafaa kyuun ho
baat kuchh aql ke khilaaf nahin
hamein bhi zarurat thi ik shakhs ki
ye husn-e-tasaadum bahut khuub hai
aariz se tire subh ki tohmat na uThegi
zulfon pe tiri shaam kaa ilzaam rahegaa
mukhtasar baat-chit achchhi hai
lekin itnaa bhi ikhtisaar na kar
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi