Shayari
uTh kar to aa gae hain tiri bazm se magar
kuchh dil hi jaantaa hai ki kis dil se aae hain
The most beloved verses of Faiz Ahmad Faiz — revolutionary poet of love and justice.
uTh kar to aa gae hain tiri bazm se magar
kuchh dil hi jaantaa hai ki kis dil se aae hain
raat yuun dil mein tiri khoi hui yaad aai
jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaae
dil naa-umid to nahin naakaam hi to hai
lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai
dil se to har moaamla kar ke chale the saaf ham
kahne mein un ke saamne baat badal badal gai
jaantaa hai ki vo na aaeinge
phir bhi masruf-e-intizaar hai dil
fareb-e-aarzu ki sahl-angaari nahin jaati
ham apne dil ki dhaDkan ko tiri aavaaz-e-paa samjhe
haan nukta-varo laao lab-o-dil ki gavaahi
haan naghmagaro saaz-e-sadaa kyuun nahin dete
na jaane kis liye ummid-vaar baiThaa huun
ik aisi raah pe jo teri rahguzar bhi nahin
gham-e-jahaan ho rukh-e-yaar ho ki dast-e-adu
suluk jis se kiyaa ham ne aashiqaana kiyaa
shaikh saahab se rasm-o-raah na ki
shukr hai zindagi tabaah na ki
zindagi kyaa kisi muflis ki qabaa hai jis mein
har ghaDi dard ke paivand lage jaate hain
na gul khile hain na un se mile na mai pi hai
ajiib rang mein ab ke bahaar guzri hai
maqaam 'faiz' koi raah mein jachaa hi nahin
jo ku-e-yaar se nikle to su-e-daar chale
aae to yuun ki jaise hamesha the mehrbaan
bhule to yuun ki goyaa kabhi aashnaa na the
vo baat saare fasaane mein jis kaa zikr na thaa
vo baat un ko bahut naa-gavaar guzri hai
khair dozakh mein mai mile na mile
shaikh-saahab se jaan to chhuTegi
apni nazrein bikher de saaqi
mai ba-andaaza-e-khumaar nahin
jo nafas thaa khaar-e-gulu banaa jo uThe the haath lahu hue
vo nashaat-e-aah-e-sahr gai vo vaqaar-e-dast-e-duaa gayaa
be-dam hue bimaar davaa kyuun nahin dete
tum achchhe masihaa ho shifaa kyuun nahin dete
har chaaraagar ko chaaragari se gurez thaa
varna hamein jo dukh the bahut laa-davaa na the
duniyaa ne teri yaad se begaana kar diyaa
tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgaar ke
ik tarz-e-taghaaful hai so vo un ko mubaarak
ik arz-e-tamannaa hai so ham karte raheinge
na tan mein khuun faraaham na ashk aankhon mein
namaaz-e-shauq to vaajib hai be-vuzu hi sahi
bahut milaa na milaa zindagi se gham kyaa hai
mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kyaa hai
in mein lahu jalaa ho hamaaraa ki jaan o dil
mahfil mein kuchh charaagh farozaan hue to hain