"na laazim tavaqqoa hai ahal-e-mahal se karo ziist shaadaab ilm-o-amal se hijaab-o-hayaa sochte rah gae hain mili ishq mein kaamyaabi pahal se yuun naakaamiyaan ham-safar hain musalsal ki le de ke ummid hai ab ajal se hayaat-o-fanaa kaa ye kyaa silsila hai nahin raaz afshaan huaa ye azal se yatimi-o-laa-vaarsi bevgi ke ba-juz kuchh na haasil hai jang-o-jadal se"
main muddat se tiri aamad kaa yuun aalam sajaae huun — Deepak Purohit
"main muddat se tiri aamad kaa yuun aalam sajaae huun ajab hai be-khudi dahliz pe nazrein jamaae huun hui taarikiyaan rukhsat munavvar ziist hai meri tumhaari yaad ke jugnu main palkon par sajaae huun phiraayaa dar-ba-dar be-kal jahaan mein khvaab-o-khvaahish ne musalsal hai sukun armaan-o-hasrat ko miTaae huun mahakti kaifiyat se hai moattar zindagi meri tumhaari ruuh ki khushbu mein saanson mein basaae huun ghane khud-gharzi-o-matalab-parasti ke andheron mein vasia imdaad aur khidmaat ki shamein jalaae huun"
میں مدت سے تری آمد کا یوں عالم سجائے ہوں عجب ہے بے خودی دہلیز پہ نظریں جمائے ہوں ہوئی تاریکیاں رخصت منور زیست ہے میری تمہاری یاد کے جگنو میں پلکوں پر سجائے ہوں پھرایا در بدر بے کل جہاں میں خواب و خواہش نے مسلسل ہے سکوں ارمان و حسرت کو مٹائے ہوں مہکتی کیفیت سے ہے معطر زندگی میری تمہاری روح کی خوشبو میں سانسوں میں بسائے ہوں گھنے خود غرضی و مطلب پرستی کے اندھیروں میں وسیع امداد اور خدمات کی شمعیں جلائے ہوں
मैं मुद्दत से तिरी आमद का यूँ आलम सजाए हूँ अजब है बे-ख़ुदी दहलीज़ पे नज़रें जमाए हूँ हुई तारीकियाँ रुख़्सत मुनव्वर ज़ीस्त है मेरी तुम्हारी याद के जुगनू मैं पलकों पर सजाए हूँ फिराया दर-ब-दर बे-कल जहाँ में ख़्वाब-ओ-ख़्वाहिश ने मुसलसल है सुकूँ अरमान-ओ-हसरत को मिटाए हूँ महकती कैफ़ियत से है मोअ'त्तर ज़िंदगी मेरी तुम्हारी रूह की ख़ुशबू में साँसों में बसाए हूँ घने ख़ुद-ग़र्ज़ी-ओ-मतलब-परस्ती के अँधेरों में वसीअ' इमदाद और ख़िदमात की शमएँ जलाए हूँ

More by Deepak Purohit
View all →"uf ye dil haadson se ubhartaa nahin kyuun ye kambakht muqaddar sanvartaa nahin ek ham hain ki ham par ghaDon paD gayaa ek vo hain ki un par Thahartaa nahin vaan to fitrat mein shaamil hai aur ham pe yaan ghairiyat kaa gumaan tak guzartaa nahin thaa muqaddas vo maanind-e-jannat kabhi ku-e-jaanaan se ab main guzartaa nahin kis kashaakash mein hain zindagi-o-qazaa saans chalti nahin dam nikaltaa nahin"
"to kyaa raabta phir khudaa kaa bashar se taalluq nahin jab duaa kaa asar se jo puchhaa havaa se kyuun mahki hui ho kahaa us ne aai huun ho kar udhar se rah-e-ishq dushvaar hai kis qadar ye kabhi puchh dekho to mujh dar-ba-dar se yuun mahv-e-safar huun tiri justuju mein nazar meri aage hai shams-o-qamar se rahaa be-khabar ahl-e-ghurbat ke gham se so khud gir rahaa huun main apni nazar se ki maan khvaab mein maathaa sahlaa rahi thi Darun kyaa main ab bad-duaa bad-nazar se"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"