Quote
"main muddat se tiri aamad kaa yuun aalam sajaae huun ajab hai be-khudi dahliz pe nazrein jamaae huun hui taarikiyaan rukhsat munavvar ziist hai meri tumhaari yaad ke jugnu main palkon par sajaae huun phiraayaa dar-ba-dar be-kal jahaan mein khvaab-o-khvaahish ne musalsal hai sukun armaan-o-hasrat ko miTaae huun mahakti kaifiyat se hai moattar zindagi meri tumhaari ruuh ki khushbu mein saanson mein basaae huun ghane khud-gharzi-o-matalab-parasti ke andheron mein vasia imdaad aur khidmaat ki shamein jalaae huun"
