"na laazim tavaqqoa hai ahal-e-mahal se karo ziist shaadaab ilm-o-amal se hijaab-o-hayaa sochte rah gae hain mili ishq mein kaamyaabi pahal se yuun naakaamiyaan ham-safar hain musalsal ki le de ke ummid hai ab ajal se hayaat-o-fanaa kaa ye kyaa silsila hai nahin raaz afshaan huaa ye azal se yatimi-o-laa-vaarsi bevgi ke ba-juz kuchh na haasil hai jang-o-jadal se"
to kyaa raabta phir khudaa kaa bashar se — Deepak Purohit
"to kyaa raabta phir khudaa kaa bashar se taalluq nahin jab duaa kaa asar se jo puchhaa havaa se kyuun mahki hui ho kahaa us ne aai huun ho kar udhar se rah-e-ishq dushvaar hai kis qadar ye kabhi puchh dekho to mujh dar-ba-dar se yuun mahv-e-safar huun tiri justuju mein nazar meri aage hai shams-o-qamar se rahaa be-khabar ahl-e-ghurbat ke gham se so khud gir rahaa huun main apni nazar se ki maan khvaab mein maathaa sahlaa rahi thi Darun kyaa main ab bad-duaa bad-nazar se"
تو کیا رابطہ پھر خدا کا بشر سے تعلق نہیں جب دعا کا اثر سے جو پوچھا ہوا سے کیوں مہکی ہوئی ہو کہا اس نے آئی ہوں ہو کر ادھر سے رہ عشق دشوار ہے کس قدر یہ کبھی پوچھ دیکھو تو مجھ در بدر سے یوں محو سفر ہوں تری جستجو میں نظر میری آگے ہے شمس و قمر سے رہا بے خبر اہل غربت کے غم سے سو خود گر رہا ہوں میں اپنی نظر سے کہ ماں خواب میں ماتھا سہلا رہی تھی ڈروں کیا میں اب بد دعا بد نظر سے
तो क्या राब्ता फिर ख़ुदा का बशर से तअ'ल्लुक़ नहीं जब दुआ का असर से जो पूछा हवा से क्यूँ महकी हुई हो कहा उस ने आई हूँ हो कर उधर से रह-ए-इश्क़ दुश्वार है किस क़दर ये कभी पूछ देखो तो मुझ दर-ब-दर से यूँ महव-ए-सफ़र हूँ तिरी जुस्तुजू में नज़र मेरी आगे है शम्स-ओ-क़मर से रहा बे-ख़बर अहल-ए-ग़ुर्बत के ग़म से सो ख़ुद गिर रहा हूँ मैं अपनी नज़र से कि माँ ख़्वाब में माथा सहला रही थी डरूँ क्या मैं अब बद-दुआ' बद-नज़र से

More by Deepak Purohit
View all →"main muddat se tiri aamad kaa yuun aalam sajaae huun ajab hai be-khudi dahliz pe nazrein jamaae huun hui taarikiyaan rukhsat munavvar ziist hai meri tumhaari yaad ke jugnu main palkon par sajaae huun phiraayaa dar-ba-dar be-kal jahaan mein khvaab-o-khvaahish ne musalsal hai sukun armaan-o-hasrat ko miTaae huun mahakti kaifiyat se hai moattar zindagi meri tumhaari ruuh ki khushbu mein saanson mein basaae huun ghane khud-gharzi-o-matalab-parasti ke andheron mein vasia imdaad aur khidmaat ki shamein jalaae huun"
"uf ye dil haadson se ubhartaa nahin kyuun ye kambakht muqaddar sanvartaa nahin ek ham hain ki ham par ghaDon paD gayaa ek vo hain ki un par Thahartaa nahin vaan to fitrat mein shaamil hai aur ham pe yaan ghairiyat kaa gumaan tak guzartaa nahin thaa muqaddas vo maanind-e-jannat kabhi ku-e-jaanaan se ab main guzartaa nahin kis kashaakash mein hain zindagi-o-qazaa saans chalti nahin dam nikaltaa nahin"
More on Maa
View all →"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"