SHAWORDS

uf ye dil haadson se ubhartaa nahin — Deepak Purohit

HomeDeepak PurohitGhazal
"uf ye dil haadson se ubhartaa nahin kyuun ye kambakht muqaddar sanvartaa nahin ek ham hain ki ham par ghaDon paD gayaa ek vo hain ki un par Thahartaa nahin vaan to fitrat mein shaamil hai aur ham pe yaan ghairiyat kaa gumaan tak guzartaa nahin thaa muqaddas vo maanind-e-jannat kabhi ku-e-jaanaan se ab main guzartaa nahin kis kashaakash mein hain zindagi-o-qazaa saans chalti nahin dam nikaltaa nahin"
Urdu

اف یہ دل حادثوں سے ابھرتا نہیں کیوں یہ کمبخت مقدر سنورتا نہیں ایک ہم ہیں کہ ہم پر گھڑوں پڑ گیا ایک وہ ہیں کہ ان پر ٹھہرتا نہیں واں تو فطرت میں شامل ہے اور ہم پہ یاں غیریت کا گماں تک گزرتا نہیں تھا مقدس وہ مانند جنت کبھی کوئے جاناں سے اب میں گزرتا نہیں کس کشاکش میں ہیں زندگی و قضا سانس چلتی نہیں دم نکلتا نہیں

Hindi

उफ़ ये दिल हादसों से उभरता नहीं क्यूँ ये कम्बख़्त मुक़द्दर सँवरता नहीं एक हम हैं कि हम पर घड़ों पड़ गया एक वो हैं कि उन पर ठहरता नहीं वाँ तो फ़ितरत में शामिल है और हम पे याँ ग़ैरियत का गुमाँ तक गुज़रता नहीं था मुक़द्दस वो मानिंद-ए-जन्नत कभी कू-ए-जानाँ से अब मैं गुज़रता नहीं किस कशाकश में हैं ज़िंदगी-ओ-क़ज़ा साँस चलती नहीं दम निकलता नहीं

uf ye dil hādsoñ se ubhartā nahīñ
Deepak Purohit
Deepak Purohit
Deepak Purohit
poet22 quotes

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb