Quote
"koi achchhaa nahin hotaa hai bari chaalon se lab-e-baam aa ke khaDe ho na khule baalon se roz-o-shab kis liye rahtaa huun ilaahi betaab na to goron se mohabbat na mujhe kaalon se josh-e-vahshat mein jo jangal ki taraf jaa niklaa tap chaDhi sher-e-niyastaan ko mire naalon se koi kuchh ishq kaa kartaa hai bayaan koi kuchh tang aayaa huun main is qaziya ke dallaalon se beshtar subh-e-shab-e-vasl se ham guzreinge zor-e-adbaar chalegaa na khush-iqbaalon se mast haathi hai tiri chashm-e-siyah mast ai yaar saf-e-mizhgaan use ghere hue hai bhaalon se ru-e-khubaan se milegaa hamein bosa ki nahin haal in shaklon kaa kuchh puchhiye rammaalon se aarzi husn se nafrat ye hui hai dil ko rutba zulfon ko nahin makDiyon ke jaalon se khat-e-shab-gun ne nikal kar abas andher kiyaa kaafiristaan to vo rukh aage hi thaa khaalon se do jahaan hashr ke din hoveinge baaham maujud muttafiq honge idhar vaale udhar vaalon se dil hasinon ke tasavvur se banaayaa khaali aaina-khaanon mein kasrat rahi timsaalon se kuchh to halkaa karein khaar-e-rah sahraa-e-junun bojh langar kaa hue hain kaf-e-paa chhaalon se in ke boson ki tamannaa hai labon ko 'aatish' aaina kasb-e-safaa karte hain jin gaalon se"







