Quote
"hai dil-e-sozaan mein tuur us ki tajalli-gaah kaa ru-e-aatishnaak har shola hai meri aah kaa vasl kyaa ham khaaksaaron ko ho is dil-khvaah kaa khaak mein aaluda honaa kab hai mumkin maah kaa nur-afshaan jab se hai dil mein khayaal us maah kaa tuur kaa shola dhuaan hai meri sham-e-aah kaa qaamat-e-mauzun nazar aae mujhe jaa-e-alif thaa shuru-e-aashiqi din meri bismillaah kaa samjhe mai-kash dekh kar abru tiri baalaa-e-chashm mai-kade se martaba aalaa hai baitullaah kaa aamad-e-khat mein to hone de nigaahon kaa guzar dekh le bachne nahin paataa hai sabza raah kaa khalq ne quraan dekhaa jab huaa maah-e-rajab ham ne dekhaa mushaf-e-rukhsaar apne maah kaa aate hi us tifl ke raushan siyah-khaana huaa shama saan jalva hai us ke qaamat-e-kotaah kaa yaar kaa 'naasikh' phaTaa hai pairahan to aib kyaa hai kataan ko chaak karnaa kaam nur-e-maah kaa"







