SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byManzar Lakhnavi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"shab-e-hijr yuun dil ko bahlaa rahe hain ki din bhar ki biiti ko dohraa rahe hain mire dil ke TukDe kiye jaa rahe hain mohabbat ki tashrih farmaa rahe hain miraa dard jaa hi nahin saktaa tauba khudaai ke daave kiye jaa rahe hain hansi aane ki baat hai hans rahaa huun mujhe log divaana farmaa rahe hain ajab shai hai soz-o-gudaaz-e-mohabbat ki dil jalne mein bhi maze aa rahe hain usi bevafaa paas phir kuchh umidein liye jaa rahi hain chale jaa rahe hain zidein tauba tauba haTein allaah allaah hamin hain jo is dil ko bahlaa rahe hain miri raat kyuun kar kaTegi ilaahi mujhe din ko taare nazar aa rahe hain na aaghaaz ulfat kaa achchhaa thaa 'manzar' na anjaam achchhe nazar aa rahe hain"
Manzar LakhnaviManzar Lakhnavi
Quote
"kuchh is andaaz se maangaa gayaa dil khushaamad kar ke de denaa paDaa dil are dil ai mere dil be-vafaa dil to kyaa maangun khudaa se dusraa dil gile shikvon ki kar liije safaai buraa kyuun kijiye achchhaa bhalaa dil hue khaamosh to rulvaa ke chhoDaa agar ki baat to barmaa diyaa dil mujhe to bakhshiye aur jiine diije mubaarak aap hi ko aap kaa dil vo maqtal hi sahi mahfil kisi ki magar kab maantaa hai manchalaa dil na kahne degi ye chashm-e-muravvat na puchhe ham se koi kyaa huaa dil phir ab kaahe ki hai saahib-salaamat tumhein darkaar thaa dil de diyaa dil badon se bhi nahin karte buraai ham aisaa sab ko de 'manzar' khudaa dil"
Manzar LakhnaviManzar Lakhnavi
Quote
"us se ji bhar ke mili daad-e-tamannaa mujh ko jis ne tasvir tiri dekh ke dekhaa mujh ko dekhne vaale ye kis shaan se dekhaa mujh ko aaj duniyaa ke maze de gai duniyaa mujh ko jazb-e-dil tere karishmon ne ulaT di duniyaa ab sunaate hain vo khud meraa fasaanaa mujh ko be-tahaashaa tiri tasvir pe jaati hai nigaah jab koi kahtaa hai taqdir kaa maaraa mujh ko ek dhaj 'aalam-e-vahshat mein badaltaa huun roz chaahtaa huun ki kahein log tumhaaraa mujh ko ghar ko chhoDaa hai khudaa jaane kahaan jaane ko ab samajh lijiye TuuTaa huaa taaraa mujh ko dil lahu kar gayaa aaghaaz-e-mohabbat 'manzar' aur abhi dekhnaa baaqi hai natija mujh ko"
Manzar LakhnaviManzar Lakhnavi
Quote
"kis zabaan se shikva-e-jaur-e-sitam-aaraa karein jis ko achchhaa kah chuke us ki buraai kyaa karein un se jab puchhaa gayaa bismil tumhaare kyaa karein hans ke bole zakhm-e-dil dekhaa karein royaa karein ho ke ghash jalve se naql-e-hazrat-e-musaa karein aap agar parda uThaa bhi dein to ham pardaa karein husn se vaada-khilaafi ishq se taubaa karein diin ke bhi hon bure duniyaa ko bhi rusvaa karein kam se kam aisi to kuchh tadbir kar ai jazb-e-ishq vo hamein dekhein na dekhein ham unhein dekhaa karein ik zamaana ho rahaa hai ishq mein ham se khilaaf kis ke kis ke dil mein dil Daalein ilaahi kyaa karein har taraf zindaan ki divaaron pe hai tasvir-e-dost ab jidhar chaahein asiraan-e-sitam sajda karein vaah kyaa achchhaa taqaazaa vaah kyaa insaaf hai dard to dein aap aur taasir ham paidaa karein hazrat-e-'manzar' nahin hain vaaizo is rang ke aaj mai-khvaari karein kal baiTh kar taubaa karein"
Manzar LakhnaviManzar Lakhnavi
Quote
"hasraton mein ab ye ik hasrat hamaare dil mein hai itnaa kah diije ki be-chaara baDi mushkil mein hai ek muusaa the ki in kaa zikr har mahfil mein hai aur ik main huun ki ab tak mere dil ki dil mein hai aaj kyuun had se sivaa uljhan hamaare dil mein hai kyaa nasib-e-dushmanaan vo bhi kisi mushkil mein hai hai koi aisaa jo saaqi se kahe mere liye ye bhi ik allaah kaa banda tiri mahfil mein hai yaa ilaahi khair yuun hamdardiyaan hoti hain aaj jaise mere dil kaa saaraa dard unhin ke dil mein hai dekhnaa ye hai un aankhon mein samaa jaataa hai kaun yuun to hone ko zamaana bhar tiri mahfil mein hai dekhiye kis ke muqaddar mein likhi hai ye bahaar aaj to ik haar phulon kaa kaf-e-qaatil mein hai dekhiye to apne vahshi ki tasavvur mein khushi ghar mein tanhaa hai magar jaise bhari mahfil mein hai hai mohabbat koi bimaari to bimaari qubul haae 'manzar' kis maze kaa dard apne dil mein hai"
Manzar LakhnaviManzar Lakhnavi
Quote
"ek neamat tire mahjur ke haath aai hai iid kaa chaand charaagh-e-shab-e-tanhaai hai qaid mein bas ye koi kah de bahaar aai hai phir to main huun miri zanjir hai angDaai hai kitnaa dilchasp hai allaah miraa qissa-e-gham aaj koi nahin kahtaa mujhe niind aai hai zahr aur zahr ki taasir bataane vaale ab samajh le ki na saudaa hai na saudaai hai subh tak hogaa mire ghar pe hujum-e-khilqat raat ki raat faqat aalam-e-tanhaai hai daaman-o-jeb-o-garebaan bhi nisaar-e-vahshat ab kisi baat mein zillat hai na rusvaai hai do ghaDi dil ke bahalne kaa sahaaraa bhi gayaa lijiye aaj tasavvur mein bhi tanhaai hai muddatein guzrin hamein ashk bahaate 'manzar' aaj khud us ne hansaayaa to hansi aai hai"
Manzar LakhnaviManzar Lakhnavi
Quote
"sham-o-gul ne saj to di mahfil tiri tere baghair vo rahi apni jagah jo thi kami tere baghair aamad-o-raft-e-nafas dushvaar thi tere baghair ek nashtar saa chubhaa jab saans li tere baghair ho gaiin thiin sab bhali baatein buri tere baghair haan magar achchhi hui to shaairi tere baghair haae dil jis ki umangein thiin bahaarein baagh ki vo miri jannat jahannam ban gai tere baghair thaa bahut mumkin ki bach jaati gham-e-duniyaa se jaan sach to ye hai ham ne koshish bhi na ki tere baghair mujh ko rone se mile fursat to phir DhunDun use hans rahaa hai kaun qismat kaa dhani tere baghair jaane vaale jaa khudaa haafiz magar ye soch le kuchh se kuchh ho jaaegi divaangi tere baghair tere divaane bhi puuje jaaeinge ik din yuun hi ho rahi hai jaise teri bandagi tere baghair teraa 'manzar' jo kabhi thaa andalib-e-khush-navaa kho gayaa duniyaa se yuun chup saadh li tere baghair"
Manzar LakhnaviManzar Lakhnavi
Quote
"anjaam-e-mohabbat se main begaana nahin huun divaana banaa phirtaa huun divaana nahin huun dam bhar mein jo ho khatm vo afsaana nahin huun insaan huun insaan main parvaana nahin huun saaqi tiri aankhon ko salaamat rakkhe allaah ab tak to main sharminda-e-paimaana nahin huun ho baar na khaatir pe to naaseh kahun ik baat samjhaa lein jise aap vo divaana nahin huun barbaadiyon kaa gham nahin gham hai to ye gham hai miT kar bhi main khaak-e-dar-e-jaanaana nahin huun tauba tire daaman pe junun-khez nigaahein huun to magar ab itnaa bhi divaana nahin huun sab kuchh mire saaqi ne diyaa hai mujhe 'manzar' mohtaaj-e-mai-o-shisha-o-paimaana nahin huun"
Manzar LakhnaviManzar Lakhnavi
Quote
"phal jaae mohabbat to mohabbat hai mohabbat aur raas na aae to musibat hai mohabbat sarmaaya-e-divana-e-ulfat hai mohabbat ai ulTe hue dil tiri qimat hai mohabbat hai ham hi talak khair ghanimat hai mohabbat ho jaae unhein bhi to qayaamat hai mohabbat ro ro ke vo pochheinge miri aankh se aansu aaeinge vo din bhi jo salaamat hai mohabbat badnaam kiyaa laakh tujhe khud-gharazon ne phir bhi tiri duniyaa ko zarurat hai mohabbat duniyaa kahe kuchh hai magar imaan ki ye baat hone ki tarah ho to ibaadat hai mohabbat hai jin se un aankhon ki qasam khaataa huun 'manzar' mere liye parvaana-e-jannat hai mohabbat"
Manzar LakhnaviManzar Lakhnavi
Quote
"naam-e-vafaa pe de ke jaan dil ne vafaa kharid li thi bhi kharidne ki chiiz khuub kiyaa kharid li hasb-e-mazaaq o hasb-e-shauq ek ik adaa kharid li us ne jafaaein mol liin main ne vafaa kharid li zabt kaa dil mein kar ke ahd un se baDhaayaa mel-jol dard se pahle dard ki ham ne davaa kharid li ahd-e-shabaab thaa bahaar aur sajaa bahaar ko jitni jahaan mein mil saki is ne hayaa kharid li zarf se baDh ke neamat-e-ishq bhi maut ban gai ham ne bhi to ghazab kiyaa had se sivaa kharid li ishq ki kaar-gaah se husn ki baargaah se jis ko na aur kuchh milaa is ne qazaa kharid li dete dilaate be-talab toD ke haath rakh diye tere karam ne taaqat-e-dast-e-duaa kharid li aaj nasib-e-dushmanaan chehra hai kyuun udaas udaas meri tarah balaa-e-ishq tum ne bhi kyaa kharid li 'manzar' unhein dikhaa ke zahr kah rahaa hai khushi khushi liije davaa le aae mol liije shifaa kharid li"
Manzar LakhnaviManzar Lakhnavi
Quote
"muddat ke baad aisi sunaai khabar mujhe main naama-bar ko dekhtaa huun naama-bar mujhe mahfil pe apni naaz tumhein maut par mujhe bas jaao ab na dekhnaa kal se idhar mujhe sau raatein ek hijr ki shab mein tamaam kiin jab aankh band ki nazar aai sahar mujhe saada varaq javaab mein ik laa ke de gayaa divaana jaantaa hai miraa naama-bar mujhe haan thi kabhi tamiz siyaah-o-safed mein aur ab to jaisi shaam hai vaisi sahar mujhe naavak kamaan mein joD ke kahte hain naaz se haan kaun kaun kahtaa hai bedaad-gar mujhe 'manzar' ye shor-e-nauha gham-e-naza mein hai kyuun naakaamiyon ko rote hain yaa chaara-gar mujhe"
Manzar LakhnaviManzar Lakhnavi
Quote
"taghaaful aur karam donon baraabar kaam karte the jigar ke zakhm bharte the to dil ke daagh ubharte the khudaa jaane hamein kyaa thaa ki phir bhi un pe marte the jo din bhar mein hazaaron vaade karte the mukarte the na puchho un ki tasvir-e-khyaali ki sajaavaT ko udhar dil rang detaa thaa idhar ham rang bharte the mohabbat kaa samundar us ki maujein ai maaaz-allaah dil itnaa Dubtaa jaataa thaa jitnaa ham ubharte the ajab kuchh zindagaani ho gai thi hijr mein apni na hanste the na rote the na jiite the na marte the shahidaan-e-vafaa ki manzilein to ye are to ye vo raahein band ho jaatin thiin jin par se guzarte the na puchho us ki bazm-e-naaz ki kaifiyyatein 'manzar' hazaaron baar jiite the hazaaron baar marte the"
Manzar LakhnaviManzar Lakhnavi
Quote
"iid kaa din huaa karti thi har ik raat mujhe haae vo vaqt ki raas aati thi barsaat mujhe kuchh bhi ho tauba mohabbat se na hogi vaaiz jaan-o-dil donon se pyaari hai miri baat mujhe jagmagaati tiri aankhon ki qasam furqat mein baDe dukh deti hai ye taaron bhari raat mujhe dil ne un ko bhi kiyaa chashm-e-muravvat ke supurd aap se the bhi jo kuchh shikva shikaayaat mujhe dukh bharaa huun mire naalon se hazar kar naaseh buri maalum na ho jaae koi baat mujhe jitne din ziist ke baaqi hain nichhaavar kar duun phir jo mil jaae javaani ki koi raat mujhe abr-e-baaraan ke maze luTun main kyunkar 'manzar' dam bhi lene de miri aankhon ki barsaat mujhe"
Manzar LakhnaviManzar Lakhnavi
Quote
"dil se na vahi aur hain 'manzar' na hamin aur ye vaqt hai jo ham hain kahin aur vo kahin aur hans kar nahin ab ruuTh ke ik baar nahin aur ghussa karo ghussa karo ban jaao hasin aur sab vahm thaa duniyaa thi falak thaa na zamin aur jab aaina dekhaa to nazar aae hamin aur hamin aur meraa to salaam us ko bahaar-e-dar-e-jaanaan tujh se agar achchhi koi jannat hai kahin aur iqraar se inkaar ke andaaz hain dilkash tum yuun hi kahe jaao nahin aur nahin aur vaa'don mein tire ho rahi hai jitni bhi taakhir hotaa chalaa jaataa hai mujhe utnaa yaqin aur maalik mujhe rusvaai-e-mahshar se bachaa le denaa hon jo de le vo sazaaein bhi yahin aur TuuTe na magar silsila-e-daur-e-mohabbat mujh ko na pilaao to piye jaao tumhin aur ai lucknow ke phulo na 'manzar' ko sataao ghabraa ke chalaa jaae na be-chaara kahin aur"
Manzar LakhnaviManzar Lakhnavi
Quote
"chamkaa hai yuun nasib kaa taaraa kabhi kabhi ham ko to khud usi ne pukaaraa kabhi kabhi le Dubtaa hai dil ko sahaaraa kabhi kabhi manjdhaar ban gayaa hai kinaaraa kabhi kabhi ye bhi huaa hai haal hamaaraa kabhi kabhi apne ko ham ne aap pukaaraa kabhi kabhi apne se be-niyaaz huaa jaa rahaa huun main sun sun ke tum se haal tumhaaraa kabhi kabhi saath apne shaam-e-hijr ke jaagun ki aas bhi le Dubtaa hai subah kaa taaraa kabhi kabhi tufaan se bachne vaale bahut shaadmaan na ho kashti pe phaT paDaa hai kinaaraa kabhi kabhi 'manzar' shikaayaton ki talaafi zarur hai ik sajda shukr kaa bhi khudaaraa kabhi kabhi"
Manzar LakhnaviManzar Lakhnavi
Quote
"marg-e-aashiq par farishta maut kaa badnaam thaa vo hansi roke hue baiThaa thaa jis kaa kaam thaa khun-e-naahaq se mukarne kaa kahaan hangaam thaa tiir jitne dil se nikle sab par un kaa naam thaa kyaa bataai jaaein shaam-e-hijr ki majburiyaan dil hamaaraa thaa na ham dil ke ajab hangaam thaa hijr ki do karvaTon ne kar diyaa qissa tamaam dard-e-dil aaghaaz thaa dard-e-jigar anjaam thaa aise vaqton mein kaleja gham se ho jaataa hai shaq sabr apne dil ki mayyat par hamaaraa kaam thaa ahl-e-mahshar dekh luun qaatil ko to pahchaan luun bholi bholi shakl thi aur kuchh bhalaa saa saam thaa ab koi divaana kahtaa hai koi vahshi mujhe aap ki ulfat se pahle meraa 'manzar' naam thaa"
Manzar LakhnaviManzar Lakhnavi
Quote
"aahein bhareinge ham kabhi naala kareinge ham jab tak na boliyegaa pukaaraa kareinge ham duniyaa ko diin diin ko duniyaa kareinge ham tere baneinge ham tujhe apnaa kareinge ham kuchh hai to yaadgaar-e-mohabbat yahi sahi vo chhoD dein sitam bhi to phir kyaa kareinge ham daave baDe hain tum ko javaani ki niind par achchhaa to aaj raat ko naalaa kareinge ham dil aisaa saath khelaa huaa dost aur daghaa ab kyaa kisi pe khaak bharosaa kareinge ham phir taalibaan-e-did ko aankhein fuzul dein jab aap jaanne the ki pardaa kareinge ham tinke chune kabhi to kabhi khaak uDaai hai 'manzar' na jaane aur abhi kyaa kareinge ham"
Manzar LakhnaviManzar Lakhnavi
Quote
"be-khud aisaa kiyaa khauf-e-shab-e-tanhaai ne subah se shama jalaa di tire saudaai ne hasb-e-manshaa dil-e-pur-shauq ki baaton kaa javaab de diyaa sharm mein Duubi hui angDaai ne hu kaa aalam huaa us samt ko uDne lagi khaak jis taraf ghaur se dekhaa tire saudaai ne qatl par mere bahaae na kisi ne aansu daad qaatil ko di ik ek tamaashaai ne puchhne vaale bhari bazm mein qaatil ko na puchh naam teraa hi agar le diyaa saudaai ne maangtaa huun dar-o-divaar se baaton kaa javaab aisaa divaana kiyaa hai gham-e-tanhaai ne hijr ki raaton mein 'manzar' mire kaam aa aa ke le liyaa mol charaagh-e-shab-e-tanhaai ne"
Manzar LakhnaviManzar Lakhnavi