Quote
"aa rahi hai ye tuur se aavaaz aae vo jis ko taab-e-did pe naaz ye taDap aur ye aah ruh-e-gudaaz haae hain apnaa khud nahin hamraaz hai vahin ibtidaa-e-sarhad-e-naaz ho jahaan khatm 'aql ki parvaaz vo muqarrar to dar karein apnaa DhunD legi miri jabin-e-niyaaz ek mizraab-e-gham mein TuuT gayaa kitnaa naazuk thaa zindagi kaa saaz parda-e-zist uTThaa rahaa huun main ab to uTh parda-e-harim-e-naaz un ki nichi nazar kaa ochhaa tiir dil mein hai misl-e-umr-e-khizr daraaz vaqt-e-aakhir nafas mein paataa huun teri raftaar-e-naaz ke andaaz kaisaa giryaan hai kaisaa naadim hai meri mayyat pe meraa duniyaa-saaz har zamin sair-gaah thi apni haae vo 'abr' quvvat-e-parvaaz"







