SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"daavaa to kiyaa husn-e-jahaan-soz kaa sab ne duniyaa kaa magar ruup baDhaayaa tiri chhab ne tu niind mein bhi meri taraf dekh rahaa thaa sone na diyaa mujh ko siyah-chashmi-e-shab ne har zakhm pe dekhi hain tire pyaar ki mohrein ye gul bhi khilaae hain teri surkhi-e-lab ne khushbu-e-badan aai hai phir mauj-e-sabaa se phir kis ko pukaaraa hai tire shahr tarab ne darkaar hai mujh ko to faqat izn-e-tabassum patthar se agar phuul ugaae mire rab ne vo husn hai insaan ki meraaj-e-tasavvur jis husn ko puujaa hai mire sher o adab ne"
Ahmad Nadeem QasmiAhmad Nadeem Qasmi
Quote
"miraa ghurur tujhe kho ke haar maan gayaa main choT khaa ke magar apni qadr jaan gayaa kahin ufuq na milaa meri dasht-gardi ko main teri dhun mein bhari kaaenaat chhaan gayaa khudaa ke baad to be-intihaa andheraa hai tiri talab mein kahaan tak na meraa dhyaan gayaa jabin pe bal bhi na aataa ganvaa ke donon-jahaan jo tu chhinaa to main apni shikast maan gayaa badalte rang the teri umang ke ghammaaz tu mujh se bichhDaa to main teraa raaz jaan gayaa khud apne aap se main shikva-sanj aaj bhi huun 'nadim' yuun to mujhe ik jahaan maan gayaa"
Ahmad Nadeem QasmiAhmad Nadeem Qasmi
Quote
"labon pe narm tabassum rachaa ke dhul jaaein khudaa kare mire aansu kisi ke kaam aaein jo ibtidaa-e-safar mein diye bujhaa baiThe vo bad-nasib kisi kaa suraagh kyaa paaein talaash-e-husn kahaan le chali khudaa jaane umang thi ki faqat zindagi ko apnaaein bulaa rahe hain ufuq par jo zard-ru Tiile kaho to ham bhi fasaanon ke raaz ho jaaein na kar khudaa ke liye baar baar zikr-e-bahisht ham aasmaan kaa mukarrar fareb kyuun khaaein tamaam mai-kada sunsaan mai-gusaar udaas labon ko khol ke kuchh sochti hain minaaein"
Ahmad Nadeem QasmiAhmad Nadeem Qasmi
Quote
"kisi laa-ilaaj rajaai ne ye khabar chaman mein uDaai hai koi patta jab na ho peD par to samajh lo fasl-e-gul aai hai koi ishtiraak zarur hai vo ho rang kaa ki umang kaa miraa dil bhi to gul-e-surkh hai tiraa haath bhi to hinaai hai vo kashish kuchh aur hi chiiz hai jise husn kahte hain ahl-e-dil na jamaal-e-aariz-o-chashm-o-lab na kamaal-e-chust-qabaai hai safar-e-hayaat ke moD par mujhe tu milaa ki khudaa milaa yahi meraa kaaba-e-justuju yahi meri hadd-e-rasaai hai main jhukun to chaand jhukaa rahe main rukun to vaqt rukaa rahe main tiri vafaa kaa jab ahl huun mire bas mein saari khudaai hai main 'nadim' qarya-e-sim-o-zar se bhi sar-kashida guzar gayaa jo miri anaa kaa ghurur hai miri umr bhar ki kamaai hai"
Ahmad Nadeem QasmiAhmad Nadeem Qasmi
Quote
"khaDaa thaa kab se zamin piiTh par uThaae hue aab aadmi hai qayaamat se lau lagaae hue ye dasht se umaD aayaa hai kis kaa sail-e-junun ki husn-e-shahr khaDaa hai naqaab uThaae hue ye bhed tere sivaa ai khudaa kise maalum azaab TuuT paDe mujh pe kis ke laae hue ye sail-e-aab na thaa zalzala thaa paani kaa bikhar bikhar gae qarye mire basaae hue ajab tazaad mein kaaTaa hai zindagi kaa safar labon pe pyaas thi baadal the sar pe chhaae hue sahar hui to koi apne ghar mein ruk na sakaa kisi ko yaad na aae diye jalaae hue khudaa ki shaan ki munkir hain aadamiyyat ke khud apni sukDi hui zaat ke sataae hue jo aastin chaDhaaein bhi muskuraaein bhi vo log hain mire barson ke aazmaae hue ye inqilaab to taamir ke mizaaj mein hai giraae jaate hain aivaan bane-banaae hue ye aur baat mire bas mein thi na guunj is ki mujhe to muddatein guzrin ye giit gaae hue miri hi god mein kyuun kaT ke gir paDe hain 'nadim' abhi duaa ke liye the jo haath uThaae hue"
Ahmad Nadeem QasmiAhmad Nadeem Qasmi
Quote
"shab-e-firaaq ko jab muzhda-e-sahar aayaa to ik zamaana tiraa muntazir nazar aayaa tamaam-umr ki sahraa-navardiyon ke baad tiraa maqaam sar-e-gard-e-rahguzar aayaa ye kaun aabla-paa is taraf se guzraa hai nuqush-e-paa mein jo phulon ke rang bhar aayaa kise majaal ki nazzaara-e-jamaal kare is anjuman mein jo aayaa ba-chashm-e-tar aayaa tiri talab ke ghane jangalon mein aag lagi mire khayaal mein jab vahm-e-rahguzar aayaa simaT gayaa miri baahon mein jab vo paikar-e-rang to is kaa rang mujhe duur tak nazar aayaa is aarizon mein ki zid kibriyaa ki puuri ho 'nadim' khaak pe aflaak se utar aayaa"
Ahmad Nadeem QasmiAhmad Nadeem Qasmi
Quote
"ajiib rang tire husn kaa lagaav mein thaa gulaab jaise kaDi dhuup ke alaav mein thaa hai jis ki yaad miri fard-e-jurm ki surkhi usi kaa aks mire ek ek ghaav mein thaa yahaan vahaan se kinaare mujhe bulaate rahe magar main vaqt kaa dariyaa thaa aur bahaav mein thaa urus-e-gul ko sabaa jaise gudgudaa ke chali kuchh aisaa pyaar kaa aalam tire subhaav mein thaa main pur-sukun huun magar meraa dil hi jaantaa hai jo intishaar mohabbat ke rakh-rakhaav mein thaa ghazal ke ruup mein tahzib gaa rahi thi 'nadim' miraa kamaal mire fan ke is rachaav mein thaa"
Ahmad Nadeem QasmiAhmad Nadeem Qasmi
Quote
"bazm-e-insaan mein bhi ik raat basar kar dekho ek baar apni zamin par bhi utar kar dekho is ufuq par na agar jannat-e-mauuda mili is ufuq tak bhi jo chaaho to safar kar dekho koi Duubi hui kashti hai ki saahil kaa nishaan apni sochon ke samundar se ubhar kar dekho khud ko dekho mire meaar ke aaine mein ik zaraa mujh pe ye ehsaan bhi dhar kar dekho mausam-e-gul hai to kirdaar-e-chaman kyuun badle aag phulon ko to shabnam ko sharar kar dekho har zamaane mein bujhe to nahin rahte khurshed gardisho aaj miri shab ko sahar kar dekho"
Ahmad Nadeem QasmiAhmad Nadeem Qasmi
Quote
"phulon se lahu kaise Tapaktaa huaa dekhun aankhon ko bujhaa luun ki haqiqat ko badal duun haq baat kahungaa magar ai jurat-e-izhaar jo baat na kahni ho vahi baat na kah duun har soch pe khanjar saa guzar jaataa hai dil se hairaan huun ki sochun to kis andaaz mein sochun aankhein to dikhaati hain faqat barf se paikar jal jaati hain porein jo kisi jism ko chhu luun chehre hain ki marmar se taraashi hui lauhein baazaar mein yaa shahr-e-khamoshaan mein khaDaa huun sannaaTe uDaa dete hain aavaaz ke purze baaron ko agar dasht-e-musibat mein pukaarun milti nahin jab maut bhi maange se to yaarab ho izn to main apni salib aap uThaa luun"
Ahmad Nadeem QasmiAhmad Nadeem Qasmi
Quote
"dilon se aarzu-e-umr-e-jaavedaan na gai koi nigaah pas-e-gard-e-kaarvaan na gai vo aur chiiz hai hote hain jis se dil shaadaab tiri bahaar se viraani-e-khizaan na gai nikal ke khuld se bhi aadmi na pachhtaayaa zamin pe bhi chaman-aaraai-e-gumaan na gai bas ek kunj-e-qafas tak na aa saki varna sabaa chali to chaman mein kahaan kahaan na gai kahaan kahaan na huiin sabt husn ki mohrein kali havaa mein bikhar kar bhi raaegaan na gai miri duaa ki ye ghairat hai kitni qaabil-e-daad ki lab tak aai magar su-e-asmaan na gai dayaar-e-ishq khanDar aur dasht-e-dil sunsaan magar 'nadim' ki rangini-e-bayaan na gai"
Ahmad Nadeem QasmiAhmad Nadeem Qasmi
Quote
"yuun to pahne hue pairaahan-e-khaar aataa huun ye bhi dekho ki ba-saudaa-e-bahaar aataa huun arsh se jab nahin uThti miri fariyaad ki guunj main tujhe dil ke kharaabe mein pukaar aataa huun mujhe aataa hi nahin bas mein kisi ke aanaa aauun bhi to ba-kaf-e-aabla-daar aataa huun tu yahaan zer-e-ufuq chand ghaDi sustaa le main zaraa din se nimaT kar shab-e-taar! aataa huun tujh se chhuT kar bhi tiri surkhi-e-aariz ki qasam chupke chupke tire dil mein kai baar aataa huun ye alag baat ki phulon pe ho zakhmon kaa gumaan main to jab aataa huun ham-rang-e-bahaar aataa huun dasht-e-har-fikr se main asr-e-ravaan kaa insaan ho ke khud apni zehaanat kaa shikaar aataa huun inhi do baaton mein kaT jaati hai sab umr 'nadim' ai gham-e-dahr na chheD ai gham-e-yaar aataa huun"
Ahmad Nadeem QasmiAhmad Nadeem Qasmi
Quote
"tufaan hai agar ghar ke darpai yuun baiTh na jaao kuchh to karo khiDki ke shikasta shishe par kaaghaz hi lagaao kuchh to karo insaan ke qabza-e-qudrat mein ik nutq nahin hai bahut kuchh hai honTon se na nikle baat agar aankhon se sunaao kuchh to karo mahrum-e-tamannaa rahne kaa sannaaTaa khaa jaaegaa tumhein maayusi ke sakte se bacho aansu hi bahaao kuchh to karo sultaan ke qasr-e-marmar kaa darvaaza-e-aahan band sahi gar toD nahin sakte us ko zanjir hilaao kuchh to karo ai jalte hue ghar ke logo shoalon mein ghire kyaa sochte ho jab aag bujhaanaa mushkil hai baahar nikal aao kuchh to karo ye khet jo chup hain boleinge aur akhuve aankhein kholeinge baarish na sahi bijli hi sahi kuchh to barsaao kuchh to karo"
Ahmad Nadeem QasmiAhmad Nadeem Qasmi
Quote
"jab bhi aankhon mein tiri rukhsat kaa manzar aa gayaa aaftaab-e-vaqt neze ke baraabar aa gayaa dosti ki jab duhaai di to sharq-o-gharb se haath mein patthar liye yaaron kaa lashkar aa gayaa is safar mein go tamaazat to bahut thi hijr ki main tiri yaadon ki chhaanv sar pe le kar aa gayaa go zamin-o-aasmaan masruf-e-gardish hain magar jab bhi gardish kaa sabab sochaa to chakkar aa gayaa aadmi ko hashr ke manzar nazar aane lage us ke qabze mein jab ik zarre kaa jauhar aa gayaa husn-e-insaan dafn ho jaane se miTtaa hai kahaan phuul ban kar khaak ke parde se baahar aa gayaa ashk jab Tapke kisi bekas ki aankhon se 'nadim' yuun lagaa tufaan ki zad mein samundar aa gayaa"
Ahmad Nadeem QasmiAhmad Nadeem Qasmi
Quote
"tang aa jaate hain dariyaa jo kuhistaanon mein saans lene ko nikal jaate hain maidaanon mein khair ho dasht-e-navardaan-e-mohabbat ki ab shahr baste chale jaate hain bayaabaanon mein ab to le letaa hai baatin se yahi kaam junun nazar aate nahin ab chaak garebaanon mein maal chori kaa jo taqsim kiyaa choron ne nisf to baT gayaa basti ke nigahbaanon mein kaun taarikh ke is sidq ko jhuTlaaegaa khair-o-shar donon muqayyad rahe zindaanon mein justuju kaa koi anjaam to zaahir ho 'nadim' ik musalmaan to nazar aae musalmaanon mein"
Ahmad Nadeem QasmiAhmad Nadeem Qasmi
Quote
"ham kabhi ishq ko vahshat nahin banne dete dil ki tahzib ko tohmat nahin banne dete lab hi lab hai to kabhi aur kabhi chashm hi chashm naqsh tere tiri surat nahin banne dete ye sitaare jo chamakte hain pas-e-abr-e-siyaah tere gham ko miri aadat nahin banne dete un ki jannat bhi koi dasht-e-balaa hi hogi zinda rahne ko jo lazzat nahin banne dete dost jo dard baTaate hain vo naadaani mein dar-haqiqat miri sirat nahin banne dete fikr fan ke liye laazim magar achchhe shaaer apne fan ko kabhi hikmat nahin banne dete vo mohabbat kaa taalluq ho ki nafrat kaa 'nadim' raabte ziist ko khalvat nahin banne dete"
Ahmad Nadeem QasmiAhmad Nadeem Qasmi
Quote
"kahin vo meri mohabbat mein ghul rahaa hi na ho khudaa kare use ye tajraba huaa hi na ho supurdagi miraa meaar to nahin lekin main sochtaa huun tire ruup mein khudaa hi na ho main tujh ko paa ke bhi kis shakhs ki talaash mein huun mire khayaal mein koi tire sivaa hi na ho vo uzr kar ki mire dil ko bhi yaqin aae vo giit gaa ki jo main ne kabhi sunaa hi na ho vo baat kar jise phailaa ke main ghazal kah luun sunaaun sher jo main ne abhi likhaa hi na ho sahar ko dil ki taraf ye dhuaan saa kaisaa hai kahin ye meraa diyaa raat-bhar jalaa hi na ho ho kaise jabr-e-mashiyat ko is duaa kaa lihaaz jo ek baar mile phir kabhi judaa hi na ho ye abr-o-kisht ki duniyaa mein kaise mumkin hai ki umr-bhar ki vafaa kaa koi sila hi na ho miri nigaah mein vo peD bhi hai bad-kirdaar ladaa huaa ho jo phal se magar jhukaa hi na ho jo dasht dasht se phulon ki bhiik maangtaa thaa kahin vo toD ke kashkol mar gayaa hi na ho tulu-e-subh ne chamkaa diye hain abr ke chaak 'nadim' ye miraa daamaan-e-muddaaa hi na ho"
Ahmad Nadeem QasmiAhmad Nadeem Qasmi
Quote
"apne maahaul se the qais ke rishte kyaa kyaa dasht mein aaj bhi uThte hain bagule kyaa kyaa ishq meaar-e-vafaa ko nahin kartaa nilaam varna idraak ne dikhlaae the raste kyaa kyaa ye alag baat ki barse nahin garje to bahut varna baadal mire sahraaon pe umDe kyaa kyaa aag bhaDki to dar-o-baam hue raakh ke Dher aur dete rahe ahbaab dilaase kyaa kyaa log ashiyaa ki tarah bik gae ashiyaa ke liye sar-e-baazaar tamaashe nazar aae kyaa kyaa lafz kis shaan se takhliq huaa thaa lekin us kaa mafhum badalte rahe nuqte kyaa kyaa ik kiran tak bhi na pahunchi mire baatin mein 'nadim' sar-e-aflaak damakte rahe taare kyaa kyaa"
Ahmad Nadeem QasmiAhmad Nadeem Qasmi