SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byHafeez Jaunpuri(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"yuun uThaa de hamaare ji se gharaz ho na tere sivaa kisi se gharaz vo manaaegaa jis se ruThe ho ham ko minnat se aajizi se gharaz ye bhi ehsaan hai qanaaat kaa apni aTki nahin kisi se gharaz ye mahal bhi maqaam-e-ibrat hai aadmi ko ho aadmi se gharaz dard-mandon ko kyaa davaa se kaam gham-nasibon ko kyaa khushi se gharaz husn aaraaishon kaa ho muhtaaj us ko aaine aarsi se gharaz chuur hain nashsha-e-mohabbat mein mai se matlab na mai-kashi se gharaz der tak diid ke maze luuTe khuub nikli ye be-khudi se gharaz be-niyaazi ki shaan hi ye nahin us ko bandon ki bandi se gharaz teri khaatir aziiz hai varna mujh ko dushman ki dosti se gharaz ham mohabbat ke bande hain vaaiz ham ko kyaa bahs mazhabi se gharaz dair ho kaaba ho kalisaa ho us ki dhun us ki bandagi se gharaz shaikh ko is qadar pilaate kyuun mai-kashon ko thi dil-lagi se gharaz us ko samjho na hazz-e-nafs 'hafiz' aur hi kuchh hai shaairi se gharaz"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"adaa pariyon ki surat huur ki aankhein ghazaalon ki gharaz maange ki har ik chiiz hai in husn vaalon ki bajaae-raqs mai-khaane mein hai gardish piyaalon ki takalluf-bar-taraf ye bazm hai allaah vaalon ki nishaan jab miT gayaa turbat kaa aae faatiha paDhne unhein kab yaad aai hain vafaaein marne vaalon ki huaa do gaz kafan mun'im ko haasil maal-e-duniyaa se bandhi rakkhi hi aakhir rah gai gaThri doshaalon ki dukhaa kar dil miraa phir aap hi uzr-e-jafaa karnaa are kaafir tiri ik chaal hai ye laakh chaalon ki abhi tum ko bahut kuchh naaz hai tirchhi nigaahon par magar dekhi nahin taasir tum ne mere naalon ki tire hote hue ye baat ghairat ki hai o zaalim uDaae aasmaan yuun khaak teri paaemaalon ki bhale hain yaa bure jo kuchh hain bande to khudaa ke hain nadaamat is qadar vaa'iz na kar mai-khaane vaalon ki hui bauchhaar mujh par shikva-e-bejaa ki phir kyaa kyaa jahaan chheDaa unhein bas khul gai gaThri malaalon ki gunahgaar-e-mohabbat hain jidhar guzreinge mahshar mein hamaare saath saath ik bhiiD hogi khush-jamaalon ki farishton se 'hafiz' ik din lahad mein guftugu hogi abhi se fikr laazim hai tumhein un ke savaalon ki"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"ab to nahin aasraa kisi kaa allaah hai apni bekasi kaa o aankh badal ke jaane vaale kuchh dhyaan kisi ki aajizi kaa bimaar ko dijiye tasalli ye vaqt nahin jali-kaTi kaa aapas mein hui jo bad-gumaani mushkil hai nibaah dosti kaa baalin se koi uThaa ye kah kar anjaam ba-khair ho kisi kaa gham kaa bhi qayaam kuchh na Thahraa ronaa kyaa roiye khushi kaa pahunchaa hi diyaa kisi gali tak allaah-re zor be-khudi kaa aakhir ko sharaab rang laai chhuptaa nahin raaz mai-kashi kaa andheraa 'hafiz' ho rahaa hai bujhtaa hai charaagh zindagi kaa"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"un ko dil de ke pashemaani hai ye bhi ik tarah ki naadaani hai vasl se aaj nayaa hai inkaar tum ne kab baat miri maani hai aap dete hain tasalli kis ko ham ne ab aur hi kuchh Thaani hai haal bin puchhe kahe jaataa huun apne matlab ki ye naadaani hai kis qadar baar huun gham-khvaaron par kyaa subuk meri giraan-jaani hai ghar bulaa kar vo mujhe lauTte hain ye nai tarah ki mehmaani hai ham se vahshat ki na le o majnun ham ne bhi khaak bahut chhaani hai khaak uDti hai jidhar jaataa huun kyaa muqaddar ki pareshaani hai ghar bhi viraana nazar aataa hai haae kyaa be-sar-o-saamaani hai aai kyuun un ki shikaayat lab tak ham ko khud us ki pashemaani hai kahin do din na rahaa jam ke 'hafiz' ek aavaara hai sailaani hai"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"munh miraa ek ek taktaa thaa us ki mahfil mein main tamaashaa thaa ham jo tujh se phirein khudaa se phirein yaad hai kuchh ye qaul kis kaa thaa vasl mein bhi rahaa firaaq kaa gham shaam hi se sahar kaa khaTkaa thaa apni aankhon kaa kuchh qusur nahin husn hi dil-fareb is kaa thaa faatiha paDh rahe the vo jab tak meri turbat par ek melaa thaa naama-bar naama jab diyaa tu ne kuchh zabaani bhi us ne puchhaa thaa ab kuchh is kaa bhi eatibaar nahin pahle dil par baDaa bharosaa thaa vo jo ruk ruk ke puchhte the haal dil mein rah rah ke dard uThtaa thaa juThaa vaada bhi ai 'hafiz' un kaa zindagi kaa miri sahaaraa thaa"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"junun ke josh mein phirte hain maare maare ab ajal lagaa de kahin gor ke kinaare ab gayaa jo haath se vo vaqt phir nahin aataa kahaan umiid ki phir din phirein hamaare ab ajab nahin hai ki phir aaj ham sahar dekhein ki aasmaan pe ginti ke hain sitaare ab jab us ke haath mein dil hai miri balaa jaane mile vo paanv se yaa apne sar se vaare ab inaayaton ki vo baatein na vo karam ki nigaah badal gae hain kuchh andaaz ab tumhaare ab ye Dar hai ho na sar-e-rahguzaar hangaama samajh ke kijiye darbaan se kuchh ishaare ab 'hafiz' sochiye is baat mein hain do pahlu kahaa hai us ne ki ab ho chuke tumhaare ab"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"yuun to hasin aksar hote hain shaan vaale lekin kuchh aur hai tu o aan-baan vaale naaqus-e-dair phunkun kaa'be mein yaa azaan duun tujh ko kahaan pukaarun o laa-makaan vaale mimbar pe baiTh kar tu itnaa bahak na vaa'iz kaisi ye nichi baatein unchi dukaan vaale ye husn ye javaani mehmaan hai chand roza is par na kar ye gharra o aan-baan vaale kaa'be ko shaikh jaae but-khaane ko barahman yunhi DaTe raheinge us aastaan vaale abru pe Daal kar bal tirchhi nazar na kar tu ye tiir kaj paDegaa baanki kamaan vaale ghairon pe to nazar hai meri bhi kuchh khabar hai main bhi miTaa huaa huun o aan-baan vaale talvaar khinch kar kyaa baazu ko dekhtaa hai do haath bas lagaa de ab imtihaan vaale qaail tiraa jahaan hai haan farq darmiyaan hai kuchh hain yaqin vaale kuchh hain gumaan vaale farhaad qais donon de baiThe jaan aakhir marte hain baat hi par jitne hain aan vaale vo kis liye bulaaein jaaein 'hafiz' ham kyuun vo bhi hain shaan vaale ham bhi hain aan vaale"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"bataaun kyaa kisi ko main ki tum kyaa chiiz ho kyaa ho miri hasrat mire armaan ho meri tamannaa ho mohabbat mein qalaq ho ranj ho sadma ho iizaa ho ye sab kuchh ho koi parda-nashin lekin na rusvaa ho tum apne husn ki kyaa bul-havas se daad paaoge use puchho mire dil se ki tum kyaa chiiz ho kyaa ho mire dil ko na mal talvon se apne mein ye Dartaa huun kahin aisaa na ho us mein koi khaar-e-tamannaa ho na dekhun kis tarah husn-e-khudaa-daad un hasinon kaa bhalaa un zaahidon ki tarah kaun aankhon kaa andhaa ho tiri tasvir bhi hai baais-e-dil-bastagi lekin use taskin kyaa ho jo tiri baaton pe martaa ho 'hafiz' aanaa huaa hai phir azimaabaad mein apnaa phir agle valvale paidaa hue ab dekhiye kyaa ho"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"patthar se na maaro mujhe divaana samajh kar aayaa huun idhar kucha-e-jaanaana samajh kar kahte hain ye rone se lagi dil ki bujhegi samjhaate hain apnaa mujhe parvaana samajh kar main vo huun ki seri mujhe hoti nahin mai se denaa mire saaqi mujhe paimaana samajh kar nakhvat se jo ik baat na sunte the hamaari khud chheD rahe hain hamein divaana samajh kar ham un ke hain dil un kaa hai jaan un ki hai lekin phir munh ko chhupaate hain vo begaana samajh kar rakkhaa na kahin kaa hamein barbaadi-e-dil ne armaan Thaharte nahin viraana samajh kar dekh aap se baahar na ho mansur ki surat karnaa hai to kar naara-e-mastaana samajh kar ham aur hi kuchh DhunDte phirte hain buton mein but-khaane mein jaate nahin but-khaana samajh kar khubaan se paTe yaa na paTe vasl kaa saudaa dil pahle hi le lete hain baiaana samajh kar saaqi ki jo aankhon ko hui bazm mein gardish ham lauT gae gardish-e-paimaana samajh kar kah jaate 'hafiz' un ko ho tum josh mein kyaa kuchh vo tarah diye jaate hain divaana samajh kar"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"musibatein to uThaa kar baDi baDi bhule magar firaaq ki iizaa na ik ghaDi bhule na hogi us lab-e-rangin ki aab-o-taab nasib na apne rang pe phulon ki pankhuDi bhule kisi ne pyaar se baahein gale mein Daal jo diin tamaam hijr ke sadme ham us ghaDi bhule abhi vo yaad hain saamaan hamein asiri ke abhi na tauq na beDi na hathkaDi bhule tumhein jo dekh liyaa gham ghalat huaa apnaa tumhein jo paa gae sab ranj us ghaDi bhule buri balaa hai ye chashm-e-siyaah ki gardish use jo dekh le aahu to chaukDi bhule giri thi shaikh ki tasbih mai-kade mein raat khabar nahin ki kahaan nashshe mein chhaDi bhule 'hafiz' vo dam-e-rukhsat ye kahte jaate hain ki meri yaad na dil se koi ghaDi bhule"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"vo ham-kanaar hai jaam-e-sharaab haath mein hai baghal mein chaand hai aur aaftaab haath mein hai pilaa ke piir ko saaghar javaan banaataa hai maza hai pir-e-mughaan ke shabaab haath mein hai bar aai aaj mire dil ki aarzu sad shukr ki daaman aap kaa roz-e-hisaab haath mein hai ye aae kis ke qadam dast-e-mauj se dariyaa liye hue jo kulaah habaab haath mein hai araq visaal mein ponchhaa hai gul se gaalon ko yahi hai vajh ki bu-e-gulaab haath mein hai bin aai hai mire dast-e-havas ki vasl ki shab hinaa lagaae jo vo mast-e-khvaab haath mein hai havaa se tez vo aataa hai naama-bar meraa niyaaz-naame kaa mere javaab haath mein hai khile hain gul gul aariz ke vasf mein sar-e-dast qalam miraa hai ki shaakh-e-gulaab haath mein hai 'hafiz' aap kaa divaan ye huaa maqbul ki jis ko dekho liye ye kitaab haath mein hai"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"koi jahaan mein na yaarab ho mubtalaa-e-firaaq kisi ki jaan ki dushman na ho balaa-e-firaaq hazaar tarah ke sadme ise gavaaraa hain magar uThaa nahin saktaa hai dil jaa-e-firaaq labon pe jaan hai ab sadma-haa-e-duri se khabar visaal ki deti hai ibtidaa-e-firaaq zabaan band hai ye josh-e-gham kaa aalam hai bayaan ho nahin saktaa hai maajraa-e-firaaq karein jo zabt kalejaa saraahiye un kaa ki aasmaan ko bulaate hain naala-haa-e-firaaq judaa 'hafiz' huaa kaun tere pahlu se labon par aaTh-pahr hai jo haae haae firaaq"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"'hafiz' vasl mein kuchh hijr kaa khayaal na thaa vafur-e-aish mein andesha-e-maaal na thaa buraa hi kyaa hai baratnaa puraani rasmon kaa kabhi sharaab kaa piinaa bhi kyaa halaal na thaa nayaa hai ab ke baras kuchh bahaar kaa aalam junun kaa zor to aisaa guzishta-saal na thaa khayaal tum ne dilaayaa jo guzri baaton kaa malaal ab vo huaa pahle jo malaal na thaa vo din hain yaad ki barson thi khud-faraamoshi ye dhun kisi ki thi apnaa bhi kuchh khayaal na thaa tum aa gae ki miri jaan bach gai varna kuchh aaj maut ke aane mein ehtimaal na thaa koi to vajh-e-masarrat hai go kahein na kahein ki yuun 'hafiz' kaa chehra kabhi bahaal na thaa"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"qaasid khilaaf-e-khat kahin teraa bayaan na ho karnaa sambhal ke baat ki vo bad-gumaan na ho naalon kaa mere aaTh-pahr imtihaan na ho Darte nahin ki ek zamin aasmaan na ho tohmat ho bhul-chuk ki paighaambar ke sar shikvon kaa lutf kyaa jo koi darmiyaan na ho naalon se laD rahi hai sadaa-e-jaras jo aaj gum-karda-raah koi pas-e-kaarvaan na ho sau sun ke ek bhi na kahein ham bajaa durust us se ye kahiye aae ki jis ke zabaan na ho ab tak vo yaad hain miri agli inaayatein bas bas hamaare haal pe tu mehrbaan na ho chhuTi tiri gali to ye mujh ko yaqin huaa jannat hai vo jahaan sitam-e-aasmaan na ho karte hain ek ek se meri shikaayatein sirf is khayaal se ki koi bad-gumaan na ho ye kyaa ki sar chaDhaa ke nazar se giraa diyaa ab mehrbaan hue ho to naa-mehrbaan na ho dil ko kahaan hai sadma-e-rashk-e-adu ki taab sau imtihaan hain aur ye ik imtihaan na ho marnaa phaDak phaDak ke gavaaraa sahi magar itnaa to ho qafas mein gham-e-aashiyaan na ho kaabe mein but-kade mein kharaabaat mein rahe insaan vo hai kahin jo kisi par garaan na ho apni bhi sar-guzasht hai ik-tarfa daastaan barson suno to nisf ye qissa bayaan na ho dil se hai dil ko raah ye sach hai agar 'hafiz' mumkin nahin khayaal yahaan ho vahaan na ho"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"idhar hote hote udhar hote hote hui dil ki dil ko khabar hote hote baDhi chaah donon taraf baDhte baDhte mohabbat hui is qadar hote hote tiraa raasta shaam se takte takte miri aas TuuTi sahar hote hote kiye jaa abhi mashq-e-fariyaad-e-bulbul ki hotaa hai paidaa asar hote hote na sambhlaa mohabbat kaa bimaar aakhir gai jaan dard-e-jigar hote hote sar-e-shaam hi jab hai ye dil ki haalat to kyaa kyaa na hogaa sahar hote hote zamaane mein un ke sukhan kaa hai shohra 'hafiz' ab hue naamvar hote hote"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"kisi ko dekh kar be-khud dil-e-kaam ho jaanaa usi ko log kahte hain khayaal-e-khaam ho jaanaa mohabbat se jo pesh aae koi ho dost yaa dushman hamein to har kisi kaa banda-e-be-daam ho jaanaa khudaa jaane ki kyaa hotaa maaal apni mohabbat kaa bahut achchhaa huaa aaghaaz mein anjaam ho jaanaa miTaanaa ho agar dhabbaa riyaa-kaari kaa ai zaahid kisi ki bazm mein ik din sharik-e-jaam ho jaanaa jahaan dekho vahaan kuchh zikr hai apni mohabbat kaa buraa hai aadmi ke vaaste badnaam ho jaanaa karegaa rakhna paidaa koi din darbaan kaa hangaama qayaamat hai tire dar par hujum-e-aam ho jaanaa 'hafiz' aise musalmaan kaa bhi koi din-o-mazhab hai buton ki dosti mein taarik-e-islaam ho jaanaa"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"vasl aasaan hai kyaa mushkil hai tujh ko ye dhyaan hai kyaa mushkil hai vaza kaa dhyaan hai kyaa mushkil hai dost naadaan hai kyaa mushkil hai honT par jaan hai kyaa mushkil hai mushkil aasaan hai kyaa mushkil hai haae divaana banaa kar kahnaa phir bhi ik shaan hai kyaa mushkil hai ab jagah chaahiye vahshat ko miri tang maidaan hai kyaa mushkil hai jis ko mar miT ke miTaayaa thaa abhi phir vahi dhyaan hai kyaa mushkil hai be-bulaae kahin jaane ke nahin aa paDi aan hai kyaa mushkil hai ham na uThte hain na vo dete hain haath mein paan hai kyaa mushkil hai ham ko samjhaae samajh naaseh ki phir ye ehsaan hai kyaa mushkil hai mere bad-ahd ko allaah rakhe maut aasaan hai kyaa mushkil hai us ne rakkhaa hai vo darbaan jis se jaan-pahchaan hai kyaa mushkil hai shaikh kartaa hai buton ki ghibat phir musalmaan hai kyaa mushkil hai husn par khalq miTi jaati hai jo hai qurbaan hai kyaa mushkil hai hijr mein jaan nikalti nahin aah ye bhi armaan hai kyaa mushkil hai bandagi but ki khudaa ke bande kufr imaan hai kyaa mushkil hai chaaragar ko hai mire fikr-e-davaa dard hi jaan hai kyaa mushkil hai bazm mein zahr ugalne ko adu dar pe darbaan hai kyaa mushkil hai yuun to pahle bhi mohabbat thi 'hafiz' ab to imaan hai kyaa mushkil hai"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"isi khayaal se tark un ki chaah kar na sake kaheinge log ki do din nibaah kar na sake hamein jo dekh liyaa jhuk gai hayaa se aankh idhar-udhar sar-e-mahfil nigaah kar na sake khudaa ke saamne aayaa kuchh is adaa se vo shokh ki munh se uf bhi zaraa daad-khvaah kar na sake tire karam kaa bharosaa hi zaahidon ko nahin isi liye to ye khul kar nigaah kar na sake rahaa ye paas hamein aap ki nazaakat kaa ki dil kaa khuun huaa munh se aah kar na sake tumhein 'hafiz' se nafrat hai to ye fikr hai kyuun kisi hasin se vo rasm-o-raah kar na sake"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"diyaa jab jaam-e-mai saaqi ne bhar ke to pachhtaae bahut ham tauba kar ke lipaT jaao gale se vaqt-e-aakhir ki phir jiitaa nahin hai koi mar ke vahaan se aa ke us ki bhi phiri aankh vo tevar hi nahin ab naama-bar ke koi jab puchhtaa hai haal dil kaa to ro dete hain ham ik aah bhar ke gulon ke ishq mein de jaan bulbul are ye hausle ek musht par ke khudaa mahfuz rakkhe un ki zid se jo kahte hain dikhaa dete hain kar ke raheinge khaak mein ham ko milaa kar tire andaaz is nichi nazar ke dimaagh apnaa na kyuun kar arsh par ho ye samjho to gadaa hain kis ke dar ke hui hai qaid se bad-tar rihaai kiyaa aazaad us ne par katar ke uThe jaate hain lo duniyaa se ham aaj miTe jaate hain jhagDe umr bhar ke 'hafiz' ab naala o fariyaad chhoDo koi din yuun bhi dekho sabr kar ke"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"saath rahte itni muddat ho gai dard ko dil se mohabbat ho gai kyaa javaani jald rukhsat ho gai ik chhalaavaa thi ki champat ho gai dil ki gaahak achchhi surat ho gai aankh milte hi mohabbat ho gai faatiha paDhne vo aae aaj kyaa Thokaron ki nazr turbat ho gai laakh bimaari hai ik parhez-e-mai jaan jokhon tark-e-aadat ho gai tafraqa Daalaa falak ne baar-haa do dilon mein jab mohabbat ho gai vo gila sun kar hue yuun munfail aaed apne sar shikaayat ho gai dosti kyaa us talavvun-tabaa ki chaar din saahab salaamat ho gai vaah re aalam kamaal-e-ishq kaa meri un ki ek surat ho gai un ke jaate hi hui kaayaa palaT kham masarrat yaas hasrat ho gai pi ke yuun tum kab bahakte the 'hafiz' raat kyaa be-lutf sohbat ho gai"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"dil hai to tire vasl ke armaan bahut hain ye ghar jo salaamat hai to mehmaan bahut hai main daad kaa khvaahaan nahin ai daavar-e-mahshar aaj apne kiye par vo pashemaan bahut hain dil le ke khilaune ki tarah toD na Daalein Dar mujh ko yahi hai ki vo naadaan bahut hain vo phuul chaDhaate hain dabi jaati hai turbat maashuq ke thoDe se bhi ehsaan bahut hain tum ko na pasand aae na lo pher do mujh ko is dil ke kharidaar miri jaan bahut hain DaanTaa kabhi ghamze ne kabhi naaz ne Tokaa khalvat mein bhi saath un ke nigahbaan bahut hain khaali bhi koi dil hai vahaan ishq-e-sanam se kahne ko to kaabe mein musalmaan bahut hain shaayad ye asar ho meri aah-e-sahari kaa kuchh subh se vo aaj pareshaan bahut hain kyaa shab ko 'hafiz' un se yahin vasl ki Thahri aaj aap ke ghar aish ke saamaan bahut hain"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"jaan hi jaae to jaae dard-e-dil ik yahi hai ab davaa-e-dard-e-dil ab taDapne mein mazaa miltaa nahin ho chali jaan aashnaa-e-dard-e-dil imtihaan-e-zabt hai manzur aaj jis qadar chaahe sataae dard-e-dil bhaagti hai duur jis se maut bhi vo balaa hai ye balaa-e-dard-e-dil rahm kab aayaa kisi be-dard ko ho chuki jab intihaa-e-dard-e-dil khaa ke kuchh so rahte hain hirmaan-nasib ek ye bhi hai davaa-e-dard-e-dil ham marizon kaa nahin mumkin ilaaj laa-davaa hain mubtalaa-e-dard-e-dil rahti hai siine hi par tasvir-e-dost hai ye taaviz ik baraa-e-dard-e-dil rote rote bandh gai hichki 'hafiz' jab kahaa kuchh maajraa-e-dard-e-dil"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri