SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kyaa kyaa na zindagi ke fasaane raqam hue lekin jo haasil-e-gham-e-dil the vo kam hue ai tishnagi-e-dard koi gham koi karam muddat guzar gai hai in aankhon ko nam hue milne ko ek izn-e-tabassum to mil gayaa kuchh dil hi jaantaa hai jo dil par sitam hue daaman kaa chaak chaak-e-jigar se na mil sakaa kitni hi baar dast-o-garebaan baham hue kis ko hai ye khabar ki ba-unvaan-e-zindagi kis husn-e-ehtimaam se maslub ham hue arbaab-e-ishq-o-ahl-e-havas mein hai farq kyaa sab hi tiri nigaah mein jab mohtaram hue 'shaair' tumhin pe tang nahin arsa-e-hayaat har ahl-e-fan pe dahr mein aise karam hue"
Himayat Ali ShayarHimayat Ali Shayar
Quote
"ye shahr-e-rafiqaan hai dil-e-zaar sambhal ke milte hain yahaan log bahut ruup badal ke aariz hain ki murjhaae hue phuul kanval ke aankhein hain ki jhulse hue khvaabon ke mahal ke chehra hai ki hai aaina-e-gardish-e-dauraan shahkaar hain kyaa kyaa mire naqqaash-e-azal ke farhaad sar-e-daar hai shirin sar-e-baazaar badle nahin ab tak magar andaaz ghazal ke aae hain gham-e-ishq mein aise bhi maqaamaat dil khuun huaa aankh se aansu bhi na Dhalke duniyaa bhi ik aamaaj-gah-e-husn hai 'shaair' dekho to zaraa hajla-e-jaanaan se nikal ke"
Himayat Ali ShayarHimayat Ali Shayar
Quote
"aae the tere shahr mein kitni lagan se ham mansub ho sake na tiri anjuman se ham bezaar aa na jaaein gham-e-jaan-o-tan se ham apne vatan mein rah ke bhi hain be-vatan se ham yuun be-rukhi se pesh na aa ahl-e-dil ke saath uTh kar chale na jaaein tiri anjuman se ham ye sar-kashi junun nahin pindaar-e-ishq hai guzre hain daar se bhi usi baankpan se ham mehr-o-mah-o-nujum ki maanind roz-o-shab har jaur-e-aasmaan pe rahe khanda-zan se ham milte hain roz dast-e-sabaa se payaam-e-gul zindaan mein bhi qarib hain ahl-e-chaman se ham 'shaair' adab ke mohtasibon ko khabar nahin kyaa kaam le rahe hain taghazzul ke fan se ham"
Himayat Ali ShayarHimayat Ali Shayar
Quote
"takhaatub hai tujh se khayaal aur kaa hai ye nukta vafaa mein baDe ghaur kaa hai vo khalvat mein kuchh aur jalvat mein kuchh hai karam us kaa mujh par ajab taur kaa hai miraa chehra bhi meraa chehra nahin hai ye ehsaan mujh par mire daur kaa hai ye nafrat mohabbat kaa radd-e-amal hai ki mujh se taqaazaa tire jaur kaa hai nae daur ki ibtidaa kaa hai zaamin ki dil aaina gosha-e-saur kaa hai karachi mein bhi mo'atabar ho rahaa hai sukhan mein jo andaaz lahore kaa hai"
Himayat Ali ShayarHimayat Ali Shayar
Quote
"raat sunsaan dasht o dar khaamosh chaand taare shajar hajar khaamosh koi aavaaz-e-paa na baang-e-jaras kaarvaan aur is qadar khaamosh har taraf ik muhib sannaaTaa dil dhaDaktaa to hai magar khaamosh hue jaate hain kis liye aakhir ham-safar baat baat par khaamosh hain ye aadaab-e-rahguzar ki khauf raah-rau chup hain raahbar khaamosh mukhtasar ho na ho shab-e-taarik ham ko jalnaa hai taa sahar khaamosh Dhal chuki raat bujh gaiin shamein raah takti hai chashm-e-tar khaamosh jaane kyaa baat kar rahe the ki ham ho gae ek naam par khaamosh ham se 'shaair' bhi ho gae aakhir rang-e-haalaat dekh kar khaamosh"
Himayat Ali ShayarHimayat Ali Shayar
Quote
"har qadam par nit-nae saanche mein Dhal jaate hain log dekhte hi dekhte kitne badal jaate hain log kis liye kiije kisi gum-gashta jannat ki talaash jab ki miTTi ke khilaunon se bahal jaate hain log kitne saada dil hain ab bhi sun ke aavaaz-e-jaras pesh o pas se be-khabar ghar se nikal jaate hain log apne saae saae sar-nahuDaae aahista khiraam jaane kis manzil ki jaanib aaj kal jaate hain log shama ke maanind ahl-e-anjuman se be-niyaaz aksar apni aag mein chup chaap jal jaate hain log 'shaair' un ki dosti kaa ab bhi dam bharte hain aap Thokarein khaa kar to sunte hain sambhal jaate hain log"
Himayat Ali ShayarHimayat Ali Shayar
Quote
"luTaa diyaa hai gham-e-aab-o-taab mein kyaa kyaa vagarna khvaab the chashm-e-pur-aab mein kyaa kyaa bulandiyon kaa bhi uTThaa hai pastiyon se khamir zamin ke raaz hain uDte sahaab mein kyaa kyaa yaqin na ho to koi Duub kar zaraa dekhe bhanvar hain soe hue naqsh-e-aab mein kyaa kyaa koi to dekhe mujhe meri aankh se yaa-rab dikhaai detaa hai mujh ko saraab mein kyaa kyaa main lafz lafz jo paDhtaa gayaa to baat khuli khinchi hui thiin lakirein kitaab mein kyaa kyaa faqat sukun ki talab hai ba-naam-e-khuld-e-barin fareb khud ko diye iztiraab mein kyaa kyaa vo raushni thi ki kuchh bhi nazar mein aa na sakaa siyaahiyaan thiin rukh-e-aaftaab mein kyaa kyaa hujum-e-rang mein khush-bu ki justuju ke liye diye jalaaein hain taaq-e-gulaab mein kyaa kyaa har ek naam thaa harf-e-ghalat ba-juz 'shaa'ir' khulaa hai zauq-e-nazar intikhaab mein kyaa kyaa"
Himayat Ali ShayarHimayat Ali Shayar
Quote
"ho chuki ab shaairi lafzon kaa daftar baandh lo tang ho jaae zamin to apnaa bistar baandh lo dosh par imaan ki gaThri ho sar ho yaa na ho peT khaali hain to kyaa peTon pe patthar baandh lo aafiyat chaaho to jhuk jaao sar-e-paa-posh-e-vaqt phir ye dastaar-e-fazilat apne sar par baandh lo qaazi-ul-haajaat se ik ahd baandhaa thaa to kyaa ab faqih-e-shahr se ahd-e-mukarrar baandh lo aashiyaanon mein chhupe baiThe hain sab shaahin-o-zaagh tum bhi 'shaair' taair-e-takhil ke par baandh lo"
Himayat Ali ShayarHimayat Ali Shayar
Quote
"yam-ba-yam phailaa huaa hai pyaas kaa sahraa yahaan ik saraab-e-tishnagi hai mauja-e-sahbaa yahaan raushni ke zaaviyon par munhasir hai zindagi aap ke bas mein nahin hai aap kaa saaya yahaan aate aate aankh tak dil kaa lahu paani huaa kis qadar arzaan hai apne khuun kaa saudaa yahaan tere mere darmiyaan haail rahi divaar-e-harf rakh liyaa ik baat ne har baat kaa pardaa yahaan dekhiye to ye jahaan hai ik jahaan-e-aab-o-gil sochiye to zarre zarre mein hai ik duniyaa yahaan"
Himayat Ali ShayarHimayat Ali Shayar
Quote
"aaj ki shab jaise bhi ho mumkin jaagte rahnaa koi nahin hai jaan kaa zaamin jaagte rahnaa qazzaaqon ke dasht mein jab tak qaafila Thahre qaafile vaalo raat ho yaa din jaagte rahnaa taariki mein lipTi hui pur-haul khamoshi is aalam mein kyaa nahin mumkin jaagte rahnaa aahaT aahaT par jaane kyuun dil dhaDke hai koi nahin atraaf mein lekin jaagte rahnaa ThanDi havaaon kaa ai dil ehsaan na uThaanaa koi yahaan hamdard na mohsin jaagte rahnaa raah-numaa sab dost hain lekin ai ham-safro dost kaa kyaa zaahir kyaa baatin jaagte rahnaa taaron ki aankhein bhi bojhal bojhal si hain koi nahin ab 'shaair' tujh-bin jaagte rahnaa"
Himayat Ali ShayarHimayat Ali Shayar
Quote
"aankh ki qismat hai ab bahtaa samundar dekhnaa aur phir ik Dubte suraj kaa manzar dekhnaa shaam ho jaae to din kaa gham manaane ke liye ek shola saa munavvar apne andar dekhnaa raushni mein apni shakhsiyat pe jab bhi sochnaa apne qad ko apne saae se bhi kam-tar dekhnaa sang-e-manzil istiaara sang-e-marqad kaa na ho apne zinda jism ko patthar banaa kar dekhnaa kaisi aahaT hai pas-e-divaar aakhir kaun hai aankh bantaa jaa rahaa hai rauzan-e-dar dekhnaa aisaa lagtaa hai ki divaaron mein dar khul jaaeinge saaya-e-divaar ke khaamosh tevar dekhnaa ik taraf uDte abaabil ik taraf ashaab-e-fil ab ke apne kaaba-e-jaan kaa muqaddar dekhnaa safha-e-qirtaas hai yaa zang-khurda aaina likh rahe hain aaj kyaa apne sukhan-var dekhnaa"
Himayat Ali ShayarHimayat Ali Shayar
Quote
"main jo kuchh sochtaa huun ab tumhein bhi sochnaa hogaa jo hogaa zindagi kaa Dhab tumhein bhi sochnaa hogaa abhi to aankh ojhal hai magar khurshid ke haathon khinchegi jab ridaa-e-shab tumhein bhi sochnaa hogaa muqaddar mein tumhaare kyuun nahin likhkhaa ba-juz mere salib-o-daar kaa mansab tumhein bhi sochnaa hogaa ye kaisaa qaafila hai jis mein saare log tanhaa hain ye kis barzakh mein hain ham sab tumhein bhi sochnaa hogaa khudaa aur aadmi donon agar ain-e-haqiqat hain haqiqat mein hai kyaa mazhab tumhein bhi sochnaa hogaa"
Himayat Ali ShayarHimayat Ali Shayar
Quote
"ab bataao jaaegi zindagi kahaan yaaro phir hain barq ki nazrein su-e-aashiyaan yaaro ab na koi manzil hai aur na rahguzar koi jaane qaafila bhaTke ab kahaan kahaan yaaro phuul hain ki laashein hain baagh hai ki maqtal hai shaakh shaakh hotaa hai daar kaa gumaan yaaro maut se guzar kar ye kaisi zindagi paai fikr paa-ba-jaulaan hai gung hai zabaan yaaro turbaton ki shamein hain aur gahri khaamoshi jaa rahe the kis jaanib aa gae kahaan yaaro raahzan ke baare mein aur kyaa kahun khul kar mir-e-kaarvaan yaaro mir-e-kaarvaan yaaro sirf zinda rahne ko zindagi nahin kahte kuchh gham-e-mohabbat ho kuchh gham-e-jahaan yaaro vaqt kaa taqaazaa to aur bhi hai kuchh lekin kuchh nahin to ho jaao mere ham-zabaan yaaro ek main huun jis ko tum maante nahin 'shaair' aur ek main hi huun tum mein nukta-daan yaaro"
Himayat Ali ShayarHimayat Ali Shayar
Quote
"dastak havaa ne di hai zaraa ghaur se suno tufaan ki aa rahi hai sadaa ghaur se suno shaakhein uThaa ke haath duaa maangne lagin sargoshiyaan chaman mein hain kyaa ghaur se suno mahsus kar rahaa huun main karb-e-shikastagi tum bhi shaguft-e-gul ki sadaa ghaur se suno gulchein ko dekh leti hai jab koi shaakh-e-gul deti hai bad-duaa ki duaa ghaur se suno ye aur baat khushk hain aankhein magar kahin khul kar baras rahi hai ghaTaa ghaur se suno shaakhon se TuTte hue patton ko dekh kar roti hai munh chhupaa ke havaa ghaur se suno ye dasht-e-be-karaan ye pur-asraar khaamushi aur duur ik sadaae zaraa ghaur se suno ye baaz-gasht meri sadaa ki hai yaa mujhe aavaaz de rahaa hai khudaa ghaur se suno baDhti chali hai arz-o-samaa mein kashidgi kaunain mein hai hashr bapaa ghaur se suno kab tak zamin uThaae rahe aasmaan kaa bojh ab TuTti hai rasm-e-vafaa ghaur se suno main TuTtaa huun khair mujhe TuTnaa hi hai dharti chaTakh rahi hai zaraa ghaur se suno sahraa mein chikhte hain bagule to shahr shahr ik shor hai sukut-fazaa ghaur se suno 'shaair' taraashte to ho dil mein khudaa kaa but aavaaza-e-shikast-e-anaa ghaur se suno"
Himayat Ali ShayarHimayat Ali Shayar
Quote
"apnaa andaaz-e-junun sab se judaa rakhtaa huun main chaak-e-dil chaak-e-garebaan se sivaa rakhtaa huun main ghaznavi huun aur giraftaar-e-kham-e-zulf-e-ayaaz but-shikan huun aur dil mein but-kada rakhtaa huun main hai khud apni aag se har paikar-e-gul taabnaak le havaa ki zad pe miTTi kaa diyaa rakhtaa huun main main ki apni qabr mein bhi zinda huun ghar ki tarah har kafan ko apne gird ehraam saa rakhtaa huun main dasht-e-ghurbat mein huun aavaara misaal-e-gard-baad koi manzil hai na koi naqsh-e-paa rakhtaa huun main meraa saaya bhi nahin meraa ujaale ke baghair aur ujaale kaa tasavvur khvaab saa rakhtaa huun main"
Himayat Ali ShayarHimayat Ali Shayar