SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byHosh Jaunpuri(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"phuul patthar ki chaTaanon pe khilaaein ham bhi aap kahiye to koi sher sunaaein ham bhi ret par khelte bachchon ki nazar se bach kar aao ik khvaab ki tasvir banaaein ham bhi ab ke mausam ki havaaon mein baDi vahshat hai zard patton ki tarah TuuT na jaaein ham bhi qaafile aur bhi is dasht se guzre honge le ke aae hain faqiron se duaaein ham bhi log jalte hue ghar dekh ke khush hote hain apnaa ghar ho to kabhi aag lagaaein ham bhi muntazir hai koi vaadi koi basti koi dasht ab pahaaDon se pighal kar utar aaein ham bhi ham se kyaa kahte ho fayyaazi-e-dast-e-khairaat isi kuche mein lagaate hain sadaaein ham bhi"
Hosh JaunpuriHosh Jaunpuri
Quote
"baahar kaa maahaul to ham ko aksar achchhaa lagtaa hai shaam se ik din ghar mein rah kar dekhein kaisaa lagtaa hai kis ki yaadein kis ke chehre ugte hain tanhaai mein aangan ki divaaron par kuchh saaya saaya lagtaa hai jismon ke is jangal mein bas ek hi raam-kahaani hai ghaur se dekho to har chehra apnaa chehraa lagtaa hai mausam ki ayyaash havaa ne kachche phal bhi toD liye shaakh pe larzaan pattaa pattaa sahmaa sahmaa lagtaa hai daana daana daam lagaa hai jaal bichhaa hai paani par haae-re ye maasum kabutar kitnaa bholaa lagtaa hai surkh parinda Duub rahaa hai kaali jhiil ke paani mein sach kahnaa ai saahil vaalo tum ko kaisaa lagtaa hai saae ki ummid na rakhiye patthar ki chaTTaanon se bosida divaar kaa saaya phir bhi saaya lagtaa hai mahrumi ki tasvirein bhi kitni dil-kash hoti hain thak kar sone vaale ko har khvaab sunahraa lagtaa hai uD ke parinde paar na paaein shaam ko thak kar lauT aaein 'hosh' mujhe ye saaraa aalam ek jazira lagtaa hai"
Hosh JaunpuriHosh Jaunpuri
Quote
"is se pahle ki havaa mujh ko uDaa le jaae apni zulfon mein koi aa ke sajaa le jaae jis ko is ahd mein jiine kaa hunar aataa ho us se kah do ki miri umr lagaa le jaae chaandni khiDki se kamre mein utar aati hai koi tasvir na album se churaa le jaae hausla dev se laDne kaa kisi mein bhi nahin chaahte sab hain pari aa ke jagaa le jaae apni khaatir na sahi kuchh to bachaa kar rakkho luTne koi agar aae to kyaa le jaae ibn-e-aadam na kaho us ko farishta samjho khud ko jo daana-e-gandum se bachaa le jaae"
Hosh JaunpuriHosh Jaunpuri
Quote
"bachpan tamaam buDhe savaalon mein kaT gayaa schōl ki kitaabon se ab ji uchaT gayaa likkhe hue the saare farishton ke jis pe naam shaayad vahi varaq kisi bachche se phaT gayaa taaza havaa ki aas mein parde uThaa diye bas ye huaa ki gard mein saamaan aT gayaa kal carnas pe dekh ke chiDiyon kaa khelnaa be-vajh zehn us ke khayaalon mein baT gayaa ik bachcha us khuli hui khiDki mein jhaank kar sharmaa ke ghar jo bhaagaa to maan se lipaT gayaa kyaa kahtaa aur chaaragaron se vo be-zabaan zakhmi parinda apne paron mein simaT gayaa sahraa duhaai detaa rahaa apni pyaas ki baadal baras ke khushk chaTaanon pe chhaT gayaa"
Hosh JaunpuriHosh Jaunpuri
Quote
"be-nishaan qadmon ki kahkashaan pakaDte hain ham bhi kyaa divaane hain aasmaan pakaDte hain koi dil ko bheje hai raushni ki tahrirein rauzanon mein kirnon ki Doriyaan pakaDte hain zehn us ke paikar mein Duub Duub jaataa hai khelte hue bachche jab dhuaan pakaDte hain aap gahre paani kaa ik baDaa samundar hain ham to ek maanjhi hain machhliyaan pakaDte hain ab kahaan uchhalte hain dekh kar jahaazon ko lekin aaj bhi bachche titliyaan pakaDte hain ghar ke saare darvaaze jaagte hain raaton ko band band kamron ki choriyaan pakaDte hain ye bhi ik baDaa fan hai aaj-kal ke logon mein sher kah nahin sakte khaamiyaan pakaDte hain"
Hosh JaunpuriHosh Jaunpuri
Quote
"chehron ko be-naqaab samajhne lagaa thaa main sab ko khuli kitaab samajhne lagaa thaa main jalnaa hi chaahiye thaa mujhe aur jal gayaa angaaron ko gulaab samajhne lagaa thaa main ye kyaa huaa ki niind hi aankhon se uD gai kuchh kuchh zabaan-e-khvaab samajhne lagaa thaa main apni hi raushni se nazar khaa gai fareb zarron ko aaftaab samajhne lagaa thaa main phir kyuun sazaa-e-tishna-labi di gai mujhe paani ko bhi sharaab samajhne lagaa thaa main buniyaad apne ghar ki fazaaon mein Daal di basti ko zer-e-aab samajhne lagaa thaa main mujh se hi ho gai hai savaal-e-vafaa ki bhuul duniyaa ko laa-javaab samajhne lagaa thaa main"
Hosh JaunpuriHosh Jaunpuri
Quote
"aae the ghar mein aag lagaane sharir log aur hans rahe the duur khaDe be-zamir log himmat kahaan hai mujh mein ki sach bol kar dikhaaun baiThe hue hain joDe kamaanon mein tiir log har aadmi ke lab pe hai ik dil-shikan savaal aakhir kahaan chale gae vo dil-pazir log ik roz kah diyaa thaa haqir inkisaar mein ye baat sach samajh gae saare haqir log dast-e-talab daraaz karein bhi to kyaa karein dekhe gae hain dast-nigar dast-gir log jo puchhnaa hai puchh le aur chhoD raasta Tikte nahin kisi bhi jagah ham faqir log barpaa kiyaa gayaa thaa gharibi miTaao jashn shaamil the is mein shahr ke saare amiir log"
Hosh JaunpuriHosh Jaunpuri
Quote
"hamesha tang rahaa mujh pe zindagi kaa libaas kabhi khilaa na mire jism par khushi kaa libaas hasin phulon ki sohbat mein aur kyaa hotaa ulajh ke rah gayaa kaanTon mein zindagi kaa libaas jo jal gayaa hai vahi jaantaa hai apni jalan kisi ke jism pe aTtaa nahin kisi kaa libaas ye kyaa sitam kiyaa tum ne to chaak kar Daalaa zaraa zaraa saa masaknaa thaa dosti kaa libaas sambhal sambhal ke chalo ehtiyaat se pahno baDe nasib se miltaa hai aadmi kaa libaas libaas-e-daar se mujh ko Daraane vaalo suno pahan ke aaj main aayaa huun khud-kushi kaa libaas vo ik faqir thaa jis ne utaar pheinkaa thaa safed-poshon ke munh par tavangari kaa libaas"
Hosh JaunpuriHosh Jaunpuri
Quote
"jo is zamir faroshi ke maaherin mein hai vo aadmi bhi sunaa hai muarrakhin mein hai baDhaa rahaa hai miri samt dosti kaa haath zarur baat koi us ki aastin mein hai zamaana biit gayaa shahr-e-dushmani chhoDe miraa shumaar abhi tak muhaajirin mein hai vo mujh se kahtaa hai phulon se ehtiyaat karo miraa vo dost bhi mere munaafiqin mein hai main aasmaan ki baaton se khush nahin hotaa mire khamir ki miTTi isi zamin mein hai hiran saa vahshi mohabbat kaa dars detaa hai ye vaaqia hai kitaab-e-sabuktagin mein hai ghazal mein ahd-nigaari kaa husn bhi hai kamaal miraa khayaal yaqinan kisi hasin mein hai"
Hosh JaunpuriHosh Jaunpuri
Quote
"kaam kuchh to lenaa thaa apne dida-e-tar se kaaT diin kai raatein aansuon ke khanjar se niind hai thakan si hai silvaTein hain yaadein hain kitne log uTheinge subh mere bistar se jaan-bujh kar ham ne baadbaan khole hain kis ko ab palaTnaa hai be-karaan samundar se bhignaa muzir to thaa phir bhi kaisi lazzat thi jab ghaTaaein uTThin thiin main qarib thaa ghar se aaj to havaa bhi hai tez barf-baari bhi yuun bhi niind kyaa aati ik shikasta chaadar se jab bhi paaeinge mauqaa phuul toD hi leinge bachche ruk nahin sakte baaghbaan ke Dar se ai nashaat ke ziino tum ko yaad to hogaa ik salaam kah denaa us madina-akhtar se"
Hosh JaunpuriHosh Jaunpuri
Quote
"itnaa ehsaas to de paalne vaale mujh ko main sambhal jaaun agar koi sambhaale mujh ko be-sahaaraa huun kisi vaqt bhi gir jaaungaa apni divaar mein jo chaahe milaa le mujh ko Dubne se jo bachaaegaa vo kyaa paaegaa main abhi laash nahin kaun nikaale mujh ko main payambar to nahin thaa ki amaan paa jaataa kyaa chhupaate bhi kahin makDi ke jaale mujh ko main bhi raushan huun magar subh ke taare ki tarah chand lamhon mein Dubo deinge ujaale mujh ko kyaa zaruri hai ki dushman hi ke sar jaae azaab kar dein ahbaab hi qaatil ke havaale mujh ko tujh se haalaat ke patthar na sahe jaaeinge apne ehsaas kaa aaina banaa le mujh ko"
Hosh JaunpuriHosh Jaunpuri
Quote
"ye to sach hai ki TuuTe phuTe hain mere bachpan ke ye khilaune hain tapte sahraa mein tez baarish ke main ne kitne hi khvaab dekhe hain kaun kis ki barahnagi pe hanse sab hi zer-e-libaas nange hain vo kabutar the kitne garm-o-gudaaz ab bhi haathon mein lams chipke hain in ke paani se kyaa bujhegi pyaas ye ghaDe to bahut hi kachche hain zehn kaa ik varaq bhi saada nahin jaane kyaa kyaa savaal likkhe hain paD rahe hain furaat par pahre mere haathon mein khaali kuuze hain"
Hosh JaunpuriHosh Jaunpuri
Quote
"basti mili makaan mile baam-o-dar mile main DhunDhtaa rahaa ki kahin koi ghar mile be-samt kaaenaat mein kyaa samt ki talaash bas chal paDe hain raah jahaan aur jidhar mile aavaargi mein tum bhi kahaan tak chaloge saath pahle bhi raaste mein kai ham-safar mile lagtaa hai ab ke jaan hi le legi fasl-e-gul ashkon mein aaj bhi kai lakht-e-jigar mile shaayad guzar rahaa huun kisi karbalaa se main kheme jale hue mile nezon pe sar mile main chaahtaa huun kaaT de koi miri ye baat jitne baDe darakht mile be-samar mile kyaa haath paanv maar rahe ho zamin par Duubo samundaron mein to shaayad guhar mile"
Hosh JaunpuriHosh Jaunpuri
Quote
"jalaa jalaa ke diye paas paas rakhte hain ham apne aap ko aksar udaas rakhte hain gulon kaa rang phalon ki miThaas rakhte hain kuchh aadmi bhi shajar kaa libaas rakhte hain unhein bhi khaali gilaason kaa TuTnaa hai pasand zarur vo bhi koi zakhm-e-yaas rakhte hain jo log nek the shabnam se ho gae sairaab vo kyaa karein jo samundar ki pyaas rakhte hain sukut-e-aab pe kankar uchhaal kar khush the ab aaj paani pe ghar ki asaas rakhte hain jinhon ne abr ke saae kabhi nahin dekhe vo regzaar bhi phulon ki aas rakhte hain havas ki naav badan ke bhanvar mein Duub gai ham aise aur kai iqtibaas rakhte hain"
Hosh JaunpuriHosh Jaunpuri
Quote
"pyaasaa rahaa main baalaa-qadi ke fareb mein dariyaa bahut qarib thaa mujh se nasheb mein mauqa milaa thaa phir bhi na main aazmaa sakaa us ki pasand ke kai sikke the jeb mein pardes jaane vaalaa palaT bhi to saktaa hai itnaa kahaan shakeb thaa is naa-shakeb mein suntaa to hai badan ki ibaadat pe aayatein aataa nahin hai phir bhi kisi ke fareb mein khiltaa hai us ke jism pe qaatil kaa bhi libaas kyaa aib DhunDhtaa koi us jaama-zeb mein bhukaa parinda shaakh pe baiThaa aur uD gayaa shaayad koi miThaas na thi kachche seb mein"
Hosh JaunpuriHosh Jaunpuri