SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byKhatir Ghaznavi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"fariyaad bhi hai su-e-adab apne shahr mein ham phir rahe hain mohr-ba-lab apne shahr mein ab kyaa dayaar-e-ghair mein DhunDein ham aashnaa apne to ghair ho gae sab apne shahr mein ab imtiyaaz-e-dushmani-o-dosti kise haalaat ho gae hain ajab apne shahr mein jo phuul aayaa sabz qadam ho ke rah gayaa kab fasl-e-gul hai fasl-e-tarab apne shahr mein jo raanda-e-zamaana the ab shahryaar hain kis ko khayaal-e-naam-o-nasab apne shahr mein ik aap hain ki saaraa zamaana hai aap kaa ik ham ki ajnabi hue ab apne shahr mein 'khaatir' ab ahl-e-dil bhi bane hain zamaana-saaz kis se karein vafaa ki talab apne shahr mein"
Khatir GhaznaviKhatir Ghaznavi
Quote
"kis samt le gaiin mujhe is dil ki dhaDkanein pichhe pukaarti rahin manzil ki dhaDkanein go tere iltifaat ke qaabil nahin magar milti hain tere dil se mire dil ki dhaDkanein makhmur kar gayaa mujhe teraa khiraam-e-naaz naghme jagaa gaiin tiri paayal ki dhaDkanein lahron ki dhaDkanein bhi na un ko jagaa sakin kis darja be-niyaaz hain saahil ki dhaDkanein vahshat mein DhunDtaa hi rahaa qais umr bhar gum ho gaiin bagulon mein mahmil ki dhaDkanein lahraa rahaa hai teri nigaahon mein ik payaam kuchh kah rahi hain saaf tire dil ki dhaDkanein ye kaun chupke chupke uThaa aur chal diyaa 'khaatir' ye kis ne luuT liin mahfil ki dhaDkanein"
Khatir GhaznaviKhatir Ghaznavi
Quote
"har haqiqat ko gumaan tak sochun main bahaaron ko khizaan tak sochun guftugu talkh haqaaeq se bhi ho khvaab hi khvaab kahaan tak sochun har qadam ek muamma ban jaae zindagi tujh ko jahaan tak sochun soch ban jaati hai girdaab-e-balaa ek hi baat kahaan tak sochun hadd-e-parvaaz miri itni hai laa-makaan ko bhi makaan tak sochun dastaras kis ki mudaavaa kaisaa dard ko sirf fughaan tak sochun naapun jazbon ko bhi paimaanon se ashk ko aab-e-ravaan tak sochun tu nahin paas tiri yaad to hai tu hi to sujhe jahaan tak sochun"
Khatir GhaznaviKhatir Ghaznavi
Quote
"bastiyaan ho gaiin benaam-o-nishaan raaton-raat aise tufaan bhi aae hain yahaan raaton-raat ji mein aataa hai ki taabir tujhi se puchhein ho gayaa khvaab tiraa jism-e-javaan raaton-raat shaam hangaama thaa khushiyaan thiin hasin chehre the kho gai mahfil-e-ahbaab kahaan raaton-raat husn jaltaa rahaa shamon ki tapaan khalvat mein ho gai mashal-e-mahtaab dhuaan raaton-raat ik jahaangir khamoshi ki rajaz-khvaani hai ho gayaa kyaa ye mire ghar kaa samaan raaton-raat kaun in kaliyon ki qismat pe na roe 'khaatir' jin ko kar deti hai taqdir javaan raaton-raat"
Khatir GhaznaviKhatir Ghaznavi
Quote
"tiri talab thi tire aastaan se lauT aae khizaan-nasib rahe gulsitaan se lauT aae ba-sad-yaqin baDhe hadd-e-gumaan se lauT aae dil o nazar ke taqaaze kahaan se lauT aae sar-e-niyaaz ko paayaa na jab tire qaabil kharaab-e-ishq tire aastaan se lauT aae qafas ke uns ne is darja kar diyaa majbur ki us ki yaad mein ham aashiyaan se lauT aae bulaa rahi hain jo teri sitaara-baar aankhein miri nigaah na kyuun kahkashaan se lauT aae na dil mein ab vo khalish hai na zindagi mein taDap ye kah do phir mire dard-e-nihaan se lauT aae gulon ki mahfil-e-rangin mein khaar ban na sake bahaar aai to ham gulsitaan se lauT aae fareb ham ko na kyaa kyaa is aarzu ne diye vahi thi manzil-e-dil ham jahaan se lauT aae"
Khatir GhaznaviKhatir Ghaznavi
Quote
"ik tajassus dil mein hai ye kyaa huaa kaise huaa jo kabhi apnaa na thaa vo ghair kaa kaise huaa main ki jis ki main ne to dekhaa na thaa sochaa na thaa sochtaa huun vo sanam meraa khudaa kaise huaa hai gumaan divaar-e-zindaan kaa fasil-e-shahr par vo jo ik shola thaa har dil mein fanaa kaise huaa rang-e-khun roz-e-azal se hai nishaan-e-inqilaab ziist kaa unvaan magar rang-e-hinaa kaise huaa ghaznavi to but-shikan Thahraa magar 'khaatir' ye kyaa tere maslak mein use sajda ravaa kaise huaa"
Khatir GhaznaviKhatir Ghaznavi
Quote
"pahli mohabbaton ke zamaane guzar gae saahil pe ret chhoD ke dariyaa utar gae teri anaa niyaaz ki kirnein bujhaa gai jazbe jo dil mein ubhre the sharminda kar gae dil ki fazaaein aa ke kabhi khud bhi dekh lo tum ne jo daagh bakhshe the kyaa kyaa nikhar gae tere badan ki lau mein karishma numu kaa thaa ghunche jo teri sej pe jaage sanvar gae sadiyon mein chand phuul khile aur samar bane lamhon mein aandhiyon ke thapeDon se mar gae shab bhar badan manaate rahe jashn-e-maahtaab aai sahar to jaise andheron se bhar gae mahfil mein teri aae the lekar nazar ki pyaas mahfil se teri le ke magar chashm-e-tar gae qatre ki juraton ne sadaf se liyaa khiraaj dariyaa samundaron mein mile aur mar gae"
Khatir GhaznaviKhatir Ghaznavi
Quote
"fazaa kaa zarra zarra ishq ki tasvir thaa kal shab jahaan main thaa main khud apni nazar mein saahib-e-tauqir thaa kal shab jahaan main thaa jise dekhaa vo divaana thaa naqsh-e-dilnashin ke husn-e-aadil kaa jise sochaa fanaa ke rang ki tafsir thaa kal shab jahaan main thaa miraa dil mere jis pahlu mein raqsaan thaa usi pahlu mein jannat thi ye manzar chashm-e-vaa ke khvaab ki taabir thaa kal shab jahaan main thaa vo kyaa lau thi ki jis ki ik kiran mein surajon ki vusatein gum thiin miraa saaraa jahaan tanvir hi tanvir thaa kal shab jahaan main thaa imaarat jism ki mismaar hoti jaa rahi har nafas lekin dil-e-viraan ko zoam-e-rifat-e-taamir thaa kal shab jahaan main thaa havaa ne ehtiraam-e-mahfil-e-qudsi mein apnaai ravish gul ki fidaa is khaamushi par jauhar-e-taqrir thaa kal shab jahaan main thaa"
Khatir GhaznaviKhatir Ghaznavi
Quote
"vaa chashm-e-tamaashaa lab-e-izhaar silaa hai koi pas-e-divaar mujhe dekh rahaa hai miTTi to miri mar bhi chuki zinda sadaa hai main chup huun magar dard miraa bol rahaa hai ashkon kaa hujum aaj jise DhunD rahaa hai vo dard ke dariyaa mein kahin Duub gayaa hai kyaa zahr saa har samt fazaaon mein ghulaa hai jo chehra bhi dekho vahi utraa saa huaa hai ab khuun ke ashkon se chaman sinchnaa hogaa bhige hue mausam ne ye paighaam diyaa hai vaa honTon se kyaa bolun ki aankhein to sili hain sahraaon mein yaaron ne mujhe chhoD diyaa hai guzri hui kal ke hue sikke sabhi khoTe jo aaj kaa sikka hai vahi qibla-numaa hai kab dahlaa hai aafaat-e-zamaana se miraa dil tufaanon ko aanaa hai to darvaaza khulaa hai logon ne to suraj ki chakaa-chaund ko puujaa main ne to tire saae ko bhi sajda kiyaa hai"
Khatir GhaznaviKhatir Ghaznavi
Quote
"koi kali hai na ghuncha na gul baraa-e-sabaa chaman mein kaanTe hain daaman bachaa ke aae sabaa na ab tilism-e-bahaaraan na ab fusun-e-jamaal vo lamhe khvaab hue khvaab bhuul jaae sabaa kabhi fazaaon mein khushbu uDaae phirti thi magar ye din ki bahaaron mein khaak uDaae sabaa kali hai mohr-ba-lab phuul hai garebaan chaak ajal ki dhuup hai phirti hai saae saae sabaa na kuchh nishaan ki sadaa hai na aahaTon ke nishaan chaman mein DhunDte phirte hain naqsh-e-paa-e-sabaa ghuTan hai aisi ki sarsar ko bhi taraste hain kise pukaarein kahaan jaaein ai khudaa-e-sabaa harim-e-ghuncha mein khushbu simaT ke baiThi hai hijaab uTThe jo sahn-e-chaman mein aae sabaa khabar nahin mujhe kis samt le ke uD jaae kai dinon se mire sar mein hai havaa-e-sabaa bhaTakti phirti hai sahraa-e-dard mein 'khaatir' bichhaD gayaa ho koi jaise aashnaa-e-sabaa"
Khatir GhaznaviKhatir Ghaznavi
Quote
"aarzuein naa-rasaai ru-ba-ru main aur tu kyaa ajab qurbat thi vo bhi main na tu main aur tu jhuTpuTaa khuni ufuq ki vusatein khaamoshiyaan faasle do peD tanhaa hu-ba-hu main aur tu khushk aankhon ke jaziron mein bagulon kaa ghubaar dhaDkanon kaa shor surma-dar-gulu main aur tu baarish-e-sang-e-malaamat aur khilqat shahr ki pyaar ke maasum jazbon kaa lahu main aur tu ajnabi nazron ke shole har taraf phaile hue dushman-e-jaan raah o manzil kaakh-o-ku main aur tu nafraton ki gard rasta kaaTti har moD par ishq ki khushbu mein uDte ku-ba-ku main aur tu ehtiraam-e-aadmi ehsaas-e-gham marg-e-anaa aaj kis kis zakhm ko karte rafu main aur tu"
Khatir GhaznaviKhatir Ghaznavi
Quote
"insaan huun ghir gayaa huun zamin ke khudaaon mein ab bastiyaan basaaungaa jaa kar khalaaon mein yaadon ke naqsh kanda hain naamon ke ruup mein ham ne bhi din guzaare darakhton ki chhaanv mein dauDaa ragon mein khuun ki tarah shor shahr kaa khaamoshiyon ne chhin liyaa chain gaanv mein yuun to ravaan hain mere taaaqub mein manzilein lekin main Thokaron ko lapeTe huun paanv mein vo aa ke chal diye hain khayaalon main gum rahaa qadmon ki chaap dab gai dil ki sadaaon mein sar rakh ke so gayaa huun ghamon ki salib par shaayad ki khvaab le uDein hansti fazaaon mein ek ek kar ke log nikal aae dhuup mein jalne lage the jaise sabhi ghar ki chhaanv mein sahraa ki pyaas le ke chalaa jin ke saath saath paani ki ek buund na thi un ghaTaaon mein jalte gulaab mein na zaraa si bhi aanch thi ham to jale hain hijr ki ThanDi khizaaon mein"
Khatir GhaznaviKhatir Ghaznavi