SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"dilon par ye naqsh us ne apnaa biThaayaa ki jo choT par said aayaa biThaayaa misaal-e-kabutar mire dil ko us ne bhagaayaa bulaayaa uThaayaa biThaayaa tire aatishin husn ne shama ko shab khapaayaa jalaayaa galaayaa biThaayaa uThaayaa usi gham ne duniyaa se pyaare kabhi tum ne ham ko na tanhaa biThaayaa samajh teri ulTi hai ai jaan-e-aalam ki apnaa uThaayaa paraayaa biThaayaa na bole lahad mein bhi ham Dar se tere farishton ne kitnaa jagaayaa biThaayaa gayaa koThe par vo ye ki mah ne azmat ki ujlaa bichhaunaa bichhaayaa biThaayaa ye vo qais hai khaas shaagird meraa pakaD kaan jis ko uThaayaa biThaayaa 'vaqaar' is ghazal ki zamin had buri thi bahut zor de kar biThaayaa biThaayaa"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"aashiqi mein hai jaan kaa khaTkaa aur bhi kuchh buraa bhalaa khaTkaa yaar sayyaad baaghbaan kaa huaa ye nayaa aur ik bandhaa khaTkaa kaan aahaT ki raah se na haTe dil mein thaa kis ke aane kaa khaTkaa vahi kaavish mizha ne ki aakhir jis kaa avval se dil mein thaa khaTkaa bulbul-e-paak-bin hai aashiq-e-gul baaghbaan tu na khaTkhaTaa khaTkaa be tire yaar sair-e-gulshan mein phuul aankhon mein khaar saa khaTkaa tujh ko dekhaa uThaa uThaa kar sar saans kaa bhi agar huaa khaTkaa ishq ke hain 'vaqaar' chaar unsur khauf andesha-o-daghaa khaTkaa"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"ishq hai us zulf kaa sartaaj aaj hai rasul-e-husn ki mearaaj aaj nok-e-mizhgaan par nahin hai lakht-e-dil daar par khinchaa gayaa hallaaj aaj tark chashm-e-yaar ke tevar hain aur khirman-e-taaqat kaa hai taaraaj aaj tegh-e-abru kal paDi dil par mire tiir mizhgaan kaa huaa aamaaj aaj chuse hain us ke misi aaluda-lab main ne nilam kaa kiyaa pokhraaj aaj vasl ki marzi thi kal us shokh ki phir gayaa vo vaqt-e-istimzaaj aaj likkhaa hai jo vasf abru kaa 'vaqaar' sher-sheari se na le kyuun baaj aaj"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"shoaraa mein na ho kyuun sher hamaaraa unchaa ki qad-e-yaar kaa mazmun hai baandhaa unchaa naaz ki nashv-o-numaa hai ki hai joban kaa ubhaar varna kyaa hai tire siine pe ye unchaa unchaa dil musaafir hai safar shab kaa phir is par turra kucha-e-zulf mein hai har jagah nichaa unchaa ai adab khaar ki taazim hai nichaa rahnaa haan kahin ho na sar-e-aabla-e-paa unchaa zulf hai past jo gesu se to ye kaakul se chau-gune martaba mein is se hai turra unchaa chashm-e-bad-dur buland ashk hai sar se ik haath ghair mumkin hai zamin se bahe dariyaa unchaa kyuun 'vaqaar' apnaa galaa pir-o-javaan phaaDte hain pir-e-kohna hai falak had se hai suntaa unchaa"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"hai hai koi dil dene ke qaabil nahin miltaa armaan taDapte hain ki qaatil nahin miltaa ho aql to ho til ki jagah aankh mein laili jhak qais ki hai saahib-e-mahmil nahin miltaa gul ki tire rukhsaar se rangat nahin milti naale se mire shor-e-anaadil nahin miltaa apnaa bhi to miltaa nahin dil mujh se phir ai yaar kis munh se kahun tujh se tiraa dil nahin miltaa bosa nahin dete hain shab-e-vasl mein bhi aap mazrua-e-umid kaa haasil nahin miltaa miltaa nahin aariz se tire mehr-e-darakhshaan peshaani se teri mah-e-kaamil nahin miltaa chamke na 'vaqaar' aage rukh-e-yaar ke khurshid samjhe rahe haq se kabhi baatil nahin miltaa yaarab tamkin dahr mein qaatil nahin miltaa phike kisi dilbar se miraa dil nahin miltaa vo ishq kaa dariyaa hai ki ilyaas ko jis kaa kahne ko pae naam bhi saahil nahin miltaa maujud hai filfil mujhe gham is kaa nahin hai gar dekhne ko rukh kaa tire til nahin miltaa mashq-e-sitam-o-jor kaa chaurang huun is se aashiq koi mujh saa unhein be-dil nahin miltaa ashaar 'vaqaar' aisi ghazal main kahun kyaa khaak mushkil to ye hai qaafiya mushkil nahin miltaa"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"chashm-e-khunbaar mein kyuun lakht-e-jigar jamaa karein ghuncha-e-gul ki tarah kaa hai ko zar jamaa karein qatl ke baad huaa hukm ki laashein uTh jaaein qaid-e-tafriq se maqtulon ke sar jamaa karein yaar ne khatt-o-kabutar ke kiye hain TukDe purze kaaghaz ke karein jamaa ki par jamaa karein fikr mein gesu-o-rukhsaar ke dil ki khaatir shaam hoti hai pareshaan jo sahar jamaa karein ham rahe dahr mein jab tak tu rahe paa-ba-rikaab par na ye ho sakaa asbaab-e-safar jamaa karein donon aalam se na kyuun band vo aankhein rakkhein tere nazzaare ke khaatir jo nazar jamaa karein yak qalam panj sad-o-chaar hon divaan mein ghazal ham kalaam apnaa 'vaqaar' aaj agar jamaa karein"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"husn-e-surat mein garche buud nahin par kahaan ishq ki numud nahin nisti jalva-gar hai hasti mein kuchh adam kaa mire vajud nahin ham ne avval se dekhaa aakhir tak zaat haq ki nabud-o-bud nahin tere husn-e-malih ke qurbaan kis ke vird-e-zabaan durud nahin mere saaqi ke pesh saaghar-e-chashm shishe ko kab sar-e-sujud nahin daagh-e-sozaan hai jism mein vo uzv sang-e-aafat se jo kabud nahin baagh hai daagh gar na ho laala bazm vo kyaa hai jis mein uud nahin bas-ki hai kund naakhun-e-mizhgaan uqda-e-ashk ki kushud nahin ham jo kahte the tum se roz 'vaqaar' juz zarar aashiqi mein suud nahin"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"chor darvaaza yaan ke ham bhi hain in ko rauzan se jhaanke ham bhi hain jo adam ko vajud se hain gae gard us kaarvaan ke ham bhi hain faash parda karo na kushton kaa nazaa mein munh ko Dhaanke ham bhi hain ishq chhoTaa banaa chukaa varna ik baDe khaandaan ke ham bhi hain tirchhi nazron ko sidhaa rakhein aap varna ik TeDhe baanke ham bhi hain hai zamin kaa sataayaa qais agar zakhm-chin aasmaan ke ham bhi hain naqsh baiThaa uThegaa kis se 'vaqaar' sang-bos aastaan ke ham bhi hain"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"baagh-e-ulfat mein gul jo khud-rav hai khun-e-bulbul kaa rang hai bu hai aashiq-e-jaan fidaa-e-abru hai jo mah-e-id sar-ba-zaanu hai fitna-e-hashr zulf-e-umr-e-daraaz par balaa-e-siyaah gesu hai teri abru hai tegh ai saffaak jauhar-e-tegh chin-e-abru hai husn un kaa agar hai sangin dil ishq apnaa bhi sakht baazu hai lein na shor-e-nushur se karvaT vo yahaan khvaab chaar pahlu hai tol le sher ko mire haasid paas agar nazm ki taraazu hai kyuun na vo chashm-e-shauq mein khaTke ai pari-ru kamar tiri mu hai us kaa aashiq huaa huun jis ki 'vaqaar' chashm aahu nigaah aahu hai"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"dosto haal-e-dil-e-zaar zaraa us se kaho kam na ho is mein zaraa balki sivaa us se kaho baat ghaD kar na koi bahr-e-khudaa us se kaho jitnaa main munh se kahun meraa kahaa us se kaho ye na kahiyegaa ki ham zakhmon pe chhiDkeinge namak jis kisi ne ki na chakkhaa ho mazaa us se kaho shaam-e-andoh ki shaayad ki sahar ho jaae miraa din raat kaa ye shor-o-bukaa us se kaho chashm-e-bimaar ne bimaar kiyaa hai mujh ko lab-e-jaan-bakhsh kare meri davaa us se kaho haath uThaa baiThe na vo qatl se mere yaaro khun-bahaa main ne ba-hal apnaa kiyaa us se kaho ik hasin puchhtaa thaa haal-e-vaqaar-e-khasta go buraa ho miraa itnaa to bhalaa us se kaho"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"murgh-e-jaan ko zulf-e-pechaan jaal hai jaal kyaa ai jaan-e-jaan janjaal hai aao haazir sar pae paamaal hai jaan lab par bahr-e-istiqbaal hai khaak ho sarsabz tukhm-e-aashiqi hai zamin aas aasmaan ghirbaal hai husn yusuf kaa bikaa baazaar mein ishq kaa raail ke iqbaal hai jo mire lab par huaa hasrat kaa khuun vo bukhaar-e-shauq kaa tabkhaal hai boltaa hai aaj-kal tuuti miraa ghair ki galti vahaan kab daal hai fauj-e-khat aati hai ai sultaan-e-husn mulk-e-rukh se teraa istisaal hai hai nikalti baat un ki baat se chaal vo chalte hain jis mein jaal hai kyaa likhun vasf achchhi surat kaa 'vaqaar' jins-e-naaqis ke liye dallaal hai"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"rahtaa hai mere dil mein tiraa nuur raat din ik shoala barq-zan hai sar-e-tur raat din maanind mehr-o-maah hasinon mein hai firaaq kyuun ek ek se na rahe duur raat din ham ne milaai aankh ye munh hai sahaab kaa jaari hai zakhm-e-chashm kaa naasur raat din tere liye misaal-e-mah-o-mehr-o-najm-o-charkh phirte hain lunj-o-lang-o-kar-o-kor raat din kuchh gham firaaq kaa hai na kuchh vasl ki khushi huun us ke zauq-o-shauq mein masrur raat din munh kis kaa meraa zikr kare us ke ru-ba-ru rahtaa hai varna khalq kaa mazkur raat din khvaahish har aaina hai udhar bhi nazar rahe go aaina nazar ke hai manzur raat din dil mein jo bas rahi hai koi naaznin hasin phirti hai meri aankhon mein ik huur raat din sozish hai daagh-e-hijr mein is se sivaa 'vaqaar' bhartaa huun jitnaa marham-e-kaafur raat din"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"dekh kar mai munh mein paani shaikh ke bhar aaegaa chiiz achchhi dekhegaa muflis kaa ji lalchaaegaa shoala bhaDkaa kar rahegi ye dabi aag ek din gar vo ThanDi garmiyon se dil miraa sulgaaegaa kaakul-e-purpech se haasil huaa ye mu-ba-mu haath ko jo khinch legaa paanv ko phailaaegaa zabt-e-girya se hai nuqsaan qasr-e-tan ke vaaste baiTh hi jaaegaa ghar paani agar mar jaaegaa chashm-e-baddur aankh aisi hai nashili yaar ki mohtasib ke munh mein paani dekh kar bhar aaegaa ishva chaalaaki karishma naaz ghamza yaar kaa garche hai qahr-e-khudaa par dil ko mere bhaaegaa le chali gar vahshat-e-dil jaanib-e-sahraa 'vaqaar' ranj-o-hirmaan paanv dar par yaar ke phailaaegaa"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"main paa-shikasta kahaan tifl-e-nai savaar kahaan phir us ki gard kahaan aur miraa ghubaar kahaan tumhaare vasl se Thahregaa ye dil-e-be-taab baghair aaina simaab ko qaraar kahaan bahut dinon se huun aamad kaa apni chashm-e-ba-raah tumhaaraa le gayaa ai yaar intizaar kahaan jo sard-mehri se ThanDaa ho us ke ai mah-ru ragon mein khuun kahaan nabz mein bukhaar kahaan nikal ke siine se jaa pahunche tur-e-sinaa par gai chamakne miri aah-e-pur-sharaar kahaan jo samjhein tere dam-e-tegh ko tariq apnaa bataa de dahr mein hain aise sar-guzaar kahaan falak ki sulh ko samjhe raho 'vaqaar' jidaal bane bhi dost jo dushman to e'tibaar kahaan"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"kabhi ai ashk-e-tar aankhon se Dhal paD kabhi ai aah-e-dil munh se nikal paD na ai paa-e-tasavvur itnaa shal paD kabhi tu laa-makaan se aage chal paD huaa vo but na do din bhi kabhi raam jahannam mein tu ai ilm-o-amal paD vo raqsaan bazm mein hain tu bhi ai dil kabhi to vajd mein aa kar uchhal paD kisi din to kabhi ai abr-e-rahmat mire bait-ul-huzan mein bhi unDal paD gul-e-aariz pe un ke misl-e-bulbul kabhi o tifl-e-dil tu bhi machal paD mire aage kabhi haath apne dho kar raqibon ke bhi pichhe ai ajal paD bahe go aalam-e-imkaan par ai chashm kabhi to surat-e-zamzam ubal paD nibhi ik pal kabhi jis se na ai dil usi sarkash ke phir qadmon pe chal paD kabhi o sher-e-vasf-e-saaid-e-yaar mire khaame ke bhi saanche se Dhal paD 'vaqaar' us bazm mein tu bhi sadaf-vaar dahaan-e-paak se moti ugal paD"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"us ki divaar kaa jo rauzan hai khur kaa chashm-o-charaag raushan hai lutf-e-mufrat se dost dushman hai baarish-e-besh barq-e-khirman hai gosha-giri mein hirs afzun ho subh shabnam ko fikr-e-raftan hai ishq mein tere taar taar ai shokh jeb ghunche ki gul kaa daaman hai shauq mein teri tegh kaa yaksar shama saan tan tamaam gardan hai bahs kartaa hai shaikh kaabe se jo tire dair kaa barahman hai surkh mehndi hui hai us ki siyaah rang-e-shaadi mein rang-e-shevan hai tum ne khole chaman mein band-e-qabaa baal parvaaz-e-rang-e-gulshan hai jo zamin-e-sukhan hai us mein 'vaqaar' ek muddat se meraa maskan hai"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"gaah bismil huun gahe takbir huun apni main tadbir kaa taqdir huun mere dam se hai junun ki aabru paasbaan-e-khaana-e-zanjir huun be-rukhi par hai kamaan taqdir ki go saraapaa naavak-e-tadbir huun dushmanon ke huun zarar kaa sarnavisht doston ke nafa ki taqrir huun hai kharaabi rakhna-andaaz-e-binaa qasr-e-barbaadi kaa main taamir huun qad tavaazoa mein hai kham misl-e-kamaan raast-kaari mein misaal-e-tir huun main huun ik naqqaash shaair ai 'vaqaar' khinchtaa ashaar ki tasvir huun"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"soz se saaz kiyaa chaahiye ab nai se aavaaz kiyaa chaahiye ab khaa ke tir-e-nigah-e-naaz us ko qadr-andaaz kiyaa chaahiye ab jis mein ji jism mein aae ai jaan haan vo ejaaz kiyaa chaahiye ab dil mein aataa hai tire gham ko yaar mahram-e-raaz kiyaa chaahiye ab kaan tak us ke to pahunche yakbaar aisi aavaaz kiyaa chaahiye ab husn kaa vasf tire surat-e-khat khaama-parvaaz kiyaa chaahiye ab roghan-e-qaaz male vasf-e-naaz taaza pardaaz kiyaa chaahiye ab taa na ho taair-e-jaan said kahin chashm-e-dil-baaz kiyaa chaahiye ab taair-e-fikr ko susti se 'vaqaar' tez parvaaz kiyaa chaahiye ab"
K
Kishan Kumaar Waqaar
Quote
"mubtalaa ek but kaa hotaa huun aaj imaan apnaa khotaa huun tegh-e-abru ke tiir 'ishq mein yaar jaan se apni haath dhotaa huun jaan legi ye muft ki begaar baar-e-ranj-e-firaaq Dhotaa huun ghote khaataa huun bahr-e-ulfat mein haal par apne aap rotaa huun ek jhuTe ke vasf-e-dandaan mein sachche moti sadaa pirotaa huun dil lagaataa huun un ki mizhgaan se apne haq mein ye kaanTe botaa huun gham mein ik maah-vash ke ashkon se daaman-e-aasmaan bhigotaa huun bakht-e-khufta kaa huun dil-e-bedaar kaun shab ai 'vaqaar' sotaa huun"
K
Kishan Kumaar Waqaar