Quote
"ab dimaagh-o-dil mein vo quvvat nahin vo dil nahin 'shaad' ab ashaar mere dar-khur-e-mahfil nahin tu mire ashk-e-nadaamat ki haqiqat kuchh na puchh us kaa har qatra vo dariyaa hai jahaan saahil nahin ghar khudaa kaa thaa magar but is mein aa kar bas gae ab muraqqaa hai hasinon kaa hamaaraa dil nahin nukta-chin ho meri rindaana ravish par kyuun koi main koi zaahid nahin vaaiz nahin aaqil nahin parda-daari karti hai dar-parda lailaa ishq ki jazba-e-dil qais kaa hai parda-e-mahmil nahin inqalaab-e-dahr se ulTaa zamaane kaa varaq ahl-e-mahfil vo nahin vo raunaq-e-mahfil nahin hind mein chalne lagi hai ab havaa-e-inqalaab 'shaad' sach hai ye jagah rahne ke ab qaabil nahin saaghar-e-mai pesh kar ke shaikh kahlaataa huun main hadiya-e-ahqar hai ye go aap ke qaabil nahin haq mein ab aashiq ke dekhein faisla hotaa hai kyaa ishq kaa daavaa huzur-e-husn to baatil nahin"







