SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"sach to ye hai ki tamannaaon ki jaan hoti hai vahi ik baat jo hairat mein nihaan hoti hai haal kah dete hain naazuk se ishaare aksar kitni khaamosh nigaahon ki zabaan hoti hai mere ehsaas o tafakkur mein sulagti hai jo aag vahi mazlum ke ashkon mein nihaan hoti hai haae vo vaqt ki jab un ki hasin aankhon se ek pur-kaif tajalli si ayaan hoti hai log kahte hain jise husn-e-adaa ki shokhi yahi rangin ishaaron kaa bayaan hoti hai kitni pyaari hai vo maasum tamannaa ai dost jo tazabzub ki fazaaon mein javaan hoti hai"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh
Quote
"fareb-e-raah se ghaafil nahin hai junun gum-karda-e-manzil nahin hai miri naakaamiyon par hansne vaale tire pahlu mein shaayad dil nahin hai khudaa ko naa-khudaa kahne lagaa huun safina taalib-e-saahil nahin hai tiri bazm-e-tarab mein aa gayaa huun magar dil ko sukun haasil nahin hai are us ki nigaah-e-be-khabar bhi mire anjaam se ghaafil nahin hai mire zauq-e-safar kaa puchhnaa kyaa nigaahon mein miri manzil nahin hai ba-faiz-e-ishq karb-e-marg se 'naqsh' guzar jaanaa koi mushkil nahin hai"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh
Quote
"ab kyaa kahein kisi se ye apni zabaan se ham be-zaar ho chuke hain fareb-e-jahaan se ham nazzaara-e-jamaal kaa 'aalam ajiib thaa madhosh o be-khabar the vahaan be-zabaan se ham ab haal-e-iztiraab-e-tabiat na puchhiye taDpe hain 'umr bhar tire dard-e-nihaan se ham ye zor-e-barq-o-baad ye tufaan al-amaan mahrum ho na jaaein kahin aashiyaan se ham jin ki mahak se ruuh pe taari hai be-khudi vo phuul chun rahe hain tire gulsitaan se ham taamir-e-nau hai parda-e-takhrib mein nihaan samjhe hain raaz-e-dahr ye daur-e-jahaan se ham manzil pe ho rahi hain qayaamat ki shorishein ghaafil paDe hue hain magar kaarvaan se ham naaseh! khayaal-e-tark-e-mohabbat se faaeda vaaqif nahin hain kyaa alam-e-jaavedaan se ham ai 'naqsh' mukhtasar ye haqiqat hai maut ki phir aa gae vahin pe chale the jahaan se ham"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh
Quote
"hai aafat-e-jaan husn ki shokhi bhi adaa bhi honTon pe tabassum bhi hai nazron mein hayaa bhi shaamil tiri aavaaz mein taaron ki navaa bhi sharminda tire nuur se kirnon ki ziyaa bhi mahfil hai ki mutrib ke ishaaron pe miTi hai suntaa hai koi saaz-e-shikasta ki sadaa bhi rakhtaa hai baghaavat ke sharaare bhi nazar mein ye 'ishq jo hai paikar-e-taslim-o-razaa bhi rukh pher diyaa tund havaaon kaa kisi ne haalaat se apne koi majbur rahaa bhi bach kar hi chale ham to zamaane ki ravish se aazaad-ravi kaa hamein ehsaas huaa bhi aksar lab-e-laalin ke tabassum ki kiran ne ummid ke khaakon mein nayaa rang bharaa bhi ai 'naqsh' karein soz-e-tamannaa kaa bayaan kyaa sau baar diyaa dil kaa jalaa bhi hai bujhaa bhi"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh
Quote
"talkhi-e-haalaat-e-dauraan kaa bayaan hai zindagi dard-o-gham ki ik musalsal daastaan hai zindagi allaah allaah ye safar ye raah ye dushvaariyaan vaqt ke shaanon pe ik baar-e-giraan hai zindagi jin ki halchal mein hai tufaani havaaon kaa kharosh un taDapti aarzuon kaa jahaan hai zindagi shiddat-e-ehsaas-e-naakaami ki aatish-gaah se khirman-e-jazbaat par shola-fishaan hai zindagi hai kise ab zindagi ke dard-e-pinhaan ki khabar apni barbaadi ki khud hi raaz-daan hai zindagi ye umidon kaa chaman hai rashk-e-sad husn-e-chaman is chaman ki ik bahaar-e-jaavedaan hai zindagi hai usi ke nuur se taabaani-e-kaun-o-makaan zulmat-e-bazm-e-jahaan mein zau-fishaan hai zindagi us ki marzi par hai har qaid o rihaai munhasir khud qafas hai aur khud hi aashiyaan hai zindagi 'naqsh' dard-e-qaum hai qalb o jigar mein shola-zan jazba-e-ahl-e-vatan ki tarjumaan hai zindagi"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh
Quote
"jiitaa huun jo mar mar ke ye jiinaa to nahin hai duniyaa mire ehsaas ki duniyaa to nahin hai kahne ko to hai dida-e-nargis mein bhi jaadu har aankh mein tasvir-e-tamannaa to nahin hai ye husn ke jalve ye fazaaon kaa tarannum ye shaam-e-chaman shaam-e-kalisaa to nahin hai aayaa hai dil-e-zaar ko paighaam-e-masarrat ye bhi gham-e-fardaa kaa taqaazaa to nahin hai yuun ruuTh ke jaane pe main khaamosh huun lekin ye baat mire dil ko gavaaraa to nahin hai har haal mein laazim hai mujhe paas-e-mohabbat ye sach hai magar dil kaa bharosa to nahin hai bigDe the vo jis baat pe mujh se sar-e-mahfil ai 'naqsh' dil us baat ko bhulaa to nahin hai"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh
Quote
"yak-ba-yak ye ho gae andaaz kyaa phir suni dil ne vahi aavaaz kyaa so gayaa hans kar fanaa ki god mein aur kartaa bhi koi jaan-baaz kyaa dard-e-hasti phir chamak uTThaa hai aaj ho gai ghaafil vo chashm-e-naaz kyaa dair o kaaba hi pe kyaa mauquf hai dil nahin hai jalva-gaah-e-naaz kyaa kaakulein lahraa rahi hain dam-ba-dam baj rahaa hai tirgi kaa saaz kyaa qahqahe ashk o tabassum aur fughaan zindagi kyaa zindagi kaa raaz kyaa un nigaahon mein hai phir mehr-o-vafaa ruk sakegi vaqt ki parvaaz kyaa hai faqat bedaari-e-ehsaas 'naqsh' daastaan-e-shauq kaa aaghaaz kyaa"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh
Quote
"lau de uThaa charaagh-e-tamannaa bujhaa huaa guzraa ye aaj kaun idhar dekhtaa huaa ye haadsaat bhi to guzarne zarur the ai ishq kyuun udaas hai jo kuchh huaa huaa vo rang kyaa hue vo bahaarein kidhar gaiin ai ham-safir saaraa chaman hai luTaa huaa yuun aaj be-qaraar hai duniyaa-e-aarzu jis tarah tilmilaae koi dil dukhaa huaa kyuun aaj bazm-e-zist mein be-kaifiyaan si hain ai husn teri mast-nigaahi ko kyaa huaa girdaab-e-gham hai aur miri kashti-e-umid phir bahr-e-zindagi mein hai tufaan uThaa huaa apnaa pataa na jaada-e-manzil ki kuchh khabar khud miT gayaa huun 'naqsh' unhein DhunDhtaa huaa"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh
Quote
"huaa hai ahl-e-saahil par asar kyaa tujhe ai Dubne vaale khabar kyaa vahi hai chashm-e-nargis kaa tahayyur nahin gulshan mein koi dida-var kyaa safina kyuun tah-e-girdaab aayaa talaatum-khez maujon ko khabar kyaa nigaah-e-lutf kaa mamnun hai dil magar ye pursish-e-baar-e-digar kyaa na jaanaa jis ne raaz-e-marg-o-hasti vo kyaa samjhe ki hai teri nazar kyaa bahut dushvaar thi raah-e-mohabbat hamaaraa saath dete ham-safar kyaa sitaaron ki bhi umrein ho gaiin khatm na hogaa qissa-e-gham mukhtasar kyaa sahar apni na apni shaam ai 'naqsh' kisi majbur ke shaam-o-sahar kyaa"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh
Quote
"muddat mein idhar phir vo gul-baar nazar aae sahraa mein bahaaron ke aasaar nazar aae kyaa raaz-e-mashiyyat thaa ham aalam-e-hasti mein majbur rahe lekin mukhtaar nazar aae masti-bhari aankhon se jab us ne hamein dekhaa masrur nazar aae sarshaar nazar aae dekhe hain mohabbat ke ham ne ye karishme bhi ik baar chhupe gar vo sau baar nazar aae phir mast ghaTaa chhaai phir paDne lagin bundein phir jaam-ba-kaf har-su mai-khvaar nazar aae madhosh fazaaon mein phir qaus-e-quzah damki phir qaamat-e-rangin ke anvaar nazar aae un mast nigaahon ne khud apnaa bharam kholaa inkaar ke parde mein iqraar nazar aae ham baada-paraston ne chheDi jo hadis-e-mai khulte hue duniyaa ke asraar nazar aae har ruuh mein dekhi hai ai 'naqsh' khalish gham ki har phuul ke pahlu mein kuchh khaar nazar aae"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh
Quote
"tasvir-e-zindagi mein nayaa rang bhar gae vo haadse jo dil pe hamaare guzar gae duniyaa se haT ke ik nai duniyaa banaa sakein kuchh ahl-e-aarzu isi hasrat mein mar gae niklaa jo qaafile se nai justuju liye kuchh duur saath saath mire raahbar gae nairangiyaan chaman ki pashemaan ho gaiin rukh par kisi ke aaj jo gesu bikhar gae phuTi jo us jabin se inaayat ki ik kiran maghmum aarzuon ke chehre nikhar gae har shai se be-niyaaz rahe jin mein husn o ishq ai zindagi bataa ki vo lamhe kidhar gae ai 'naqsh' kar rahaa thaa jinhein gharq naakhudaa tufaan ke zor se vo safine ubhar gae"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh
Quote
"chehra-e-zindagi nikhar aayaa jab kabhi ham ne jaam chhalkaayaa shaam-e-hijraan bhi ik qayaamat thi aap aae to mujh ko yaad aayaa rang phikaa paDaa vafaaon kaa aaj kuchh is tarah vo sharmaayaa yuun to be-chainiyaan muqaddar thiin teri qurbat ne aur taDpaayaa kyaa qayaamat vo kam-nigaahi thi har haqiqat ko jis ne jhuThlaayaa kyaa hui vo dilon ki maasumi husn ruThaa na ishq pachhtaayaa haae kis kis maqaam par dil ko us uchaTti nazar ne bhaTkaayaa khud-shanaasi thi justuju teri tujh ko DhunDaa to aap ko paayaa 'naqsh' aankhon mein aa gae aansu aaj aise mein kaun yaad aayaa"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh
Quote
"pur-kaif bahaaron ne bhi dil toD diyaa hai haan un ke nazaaron ne bhi dil toD diyaa hai tufaan kaa sheva to hai kashti ko Dubonaa khaamosh kinaaron ne bhi dil toD diyaa hai is Dubte suraj se to ummid hi kyaa thi hans hans ke sitaaron ne bhi dil toD diyaa hai kis tarah karein tujh se gila tere sitam kaa madhosh ishaaron ne bhi dil toD diyaa hai maanaa ki thi ghamgin kali khauf-e-khizaan se chup rah ke bahaaron ne bhi dil toD diyaa hai aghyaar kaa shikva nahin is ahd-e-havas mein ik umr ke yaaron ne bhi dil toD diyaa hai ye daur-e-mohabbat bhi ajab daur hai is mein ai 'naqsh' sahaaron ne bhi dil toD diyaa hai"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh
Quote
"arbaab-e-gulistaan kaa chalan dekh rahaa huun kaliyon ki jabinon pe shikan dekh rahaa huun nazron mein simaTti chali aati hain bahaarein ik shokh ki raanaai-e-tan dekh rahaa huun har phuul tire husn kaa aaina banaa hai jalve tire ai jaan-e-chaman dekh rahaa huun haalaat ki gardish bhi nazar mein hai magar aah! majbur nigaahon mein thakan dekh rahaa huun phir shauq-e-shahaadat mein baDhe aate hain jaan-baaz ik hashr sar-e-daar-o-rasan dekh rahaa huun ye vaadi-e-gul-posh hasinon ke ye jhurmuT har samt sitaaron ke chaman dekh rahaa huun ai 'naqsh' nazar mein hain nae daur ke andaaz miTte hue aasaar-e-kuhan dekh rahaa huun"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh
Quote
"nur-o-nikhat ki ye barsaat kahaan thi pahle zindagi itni hasin raat kahaan thi pahle ab to palkon pe sitaare se laraz uThte hain gham-e-mahbub ki ye baat kahaan thi pahle teri yaadon se farozaan hain fazaaein jin ki aisi raaton se mulaaqaat kahaan thi pahle un ki badmast nigaahon kaa karam hai ai dil zindagi bazm-e-kharaabaat kahaan thi pahle kaif ye dard-e-mohabbat ne kiyaa hai paidaa ye dil-aavezi-e-naghmaat kahaan thi pahle aaj yuun dil ke taDapne kaa bharam TuuTaa hai hasrat-e-ltuf-o-inaayaat kahaan thi pahle 'naqsh' un shokh nigaahon kaa fusun hai varna dil mein ye shorish-e-jazbaat kahaan thi pahle"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh