Quote
"baashinde haqiqat mein hain ham mulk-e-baqaa ke kuchh roz se mehmaan hain is daar-e-fanaa ke dil khuun ho shab-e-vasl bhi hasrat mein na kyun-kar dekhein na vo khalvat mein bhi jab aankh uThaa ke farmaaiye ham se thi yahi shart-e-mohabbat khuub aap ne rusvaa kiyaa ghairon mein bulaa ke kuche mein na aae koi main jaan gayaa huun farmaate ho mujh se ye raqibon ko sunaa ke dil haath se kho jaataa hai kis taur se zaahid to aap zaraa dekh le us kuche mein jaa ke khaak-e-dar-e-jaanaan hai libaas-e-tan-e-uryaan aashiq tire mohtaaj nahin aur qabaa ke ham sar ke bal aaeinge jo bulvaaoge saahab gar ho na yaqin dekh lo tum chaaho bulaa ke ho saaya-e-divaar tumhaaraa jo mayassar phir kyaa karein farmaaiye saae ko humaa ke dil khol ke kar lijiye ai hazrat-e-dil sair ham phir ke na phir aaeinge is bazm se jaa ke tan khaak mein mil jaaegaa ik roz hamaaraa ji tan se nikal jaaegaa maanind havaa ke"







