Quote
"ye zamin jo saqaafat mein zarkhez thi is ko kyaa ho gayaa is ki sharh-e-numu to bahut tez thi is ko kyaa ho gayaa ab suraahi ke daaman mein kuchh bhi nahin khaamushi ke sivaa meri taarikh logon se labrez thi is ko kyaa ho gayaa teri duniyaa ko nazdik se dekh kar khud pe afsos hai is ki tasvir kitni dil-aavez thi is ko kyaa ho gayaa tum ne baarud ki thailiyon mein janaa thaa nai nasl ko aaj kahte ho ye amn-angez thi is ko kyaa ho gayaa us ki khaak-e-shifaa se jilaa paa gae kitne ruumi yahaan ye zamin apni shaukat mein tabrez thi is ko kyaa ho gayaa tujh badan ke manaazir ki nazzaargi hai khizaan-yaafta ye siyaahat baDi lutf-angez thi is ko kyaa ho gayaa pakke rangon mein rangi hui aurtein kitni naayaab hain ye mohabbat jo mashshaaq rangrez thi is ko kyaa ho gayaa zindagi apni tarsil kaa marhala tai nahin kar saki varna raftaar mein maut se tez thi is ko kyaa ho gayaa peD ki chhaal bhi kaaTne kaa jatan kar nahin paaegi meri talvaar fitrat mein khun-rez thi is ko kyaa ho gayaa shakhsiyat ke tanaasub mein bechaargi baDh rahi hai 'munir' ye kahaani bahut hi junun-khez thi is ko kyaa ho gayaa"







