Quote
"baraabar khvaab se chehron ki hijrat dekhte rahnaa guzar chukne pe bhi vo shaam-e-rahlat dekhte rahnaa dhanak ki baarishein barfaab shahron par nahin hotin yahaan phulon kaa rasta umr bhar mat dekhte rahnaa kitaabon ki tahon mein DhunDhnaa naa-dida ashyaa kaa palaT kar phir koi khaali ibaarat dekhte rahnaa hujum-e-shahr ke sannaaTe mein gum-sum vo Tiila saa usi ko aate jaate be-zarurat dekhte rahnaa jise main chhu nahin saktaa dikhaai kyuun vo detaa hai farishton jaisi bas meri ibaadat dekhte rahnaa 'musavvir' kuchh na kahne kaa ye dukh bhi sakht zaalim hai talab kar legi lafzon ki adaalat dekhte rahnaa"







