Quote
"bataa kyaa kyaa tujhe ai shauq-e-hairaan yaad aataa hai vo jaan-e-aarzu vo raahat-e-jaan yaad aataa hai pareshaan-khaatiri had se guzarti hai to vahshat ko kisi kaa aalam-e-zulf-e-pareshaan yaad aataa hai guzartaa hai kabhi jab chaudhvin kaa chaand badli se mahin aanchal mein un kaa ru-e-taabaan yaad aataa hai andheri raat mein jugnu chamakte hain to rah rah kar dupaTTe ke sitaaron kaa charaaghaan yaad aataa hai ufuq par phailti hain surkhiyaan jab subh-e-taaza ki koi siina pas-e-chaak-e-garebaan yaad aataa hai kali ko phuul bante dekh kar ahd-e-bahaaraan mein koi chehra bahut nau-khez-o-khandaan yaad aataa hai ghazal jab chheD detaa hai koi ahd-e-javaani ki kisi kaa jism-e-mauzun-o-ghazal-khvaan yaad aataa hai vo tufaan karvaTein letaa thaa jo ik jism-e-raaanaa mein vo tufaan ham-kinaari kaa vo tufaan yaad aataa hai vo armaan jo kisi ke shokh honTon par machaltaa thaa vo armaan bosa-e-lab kaa vo armaan yaad aataa hai vufur-e-shauq se khud haath apne chuum letaa huun vufur-e-shauq mein jab un kaa daamaan yaad aataa hai bahut kuchh yaad aataa hai 'rais' un ki judaai mein magar jaise koi khvaab-e-pareshaan yaad aataa hai"







