SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals bySafi Aurangabadi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"bad-gumaan kyaa qabr mein armaan tire le jaaeinge ham akele aae hain jaise akele jaaeinge kis qadar saabit qadam hain rah-ravaan-e-dost jaaeinge phir un ki koi jaan le le jaaeinge hazrat-e-dil aur phir jaaein na us ki bazm mein jhiDkiyaan de le koi ilzaam de le jaaeinge tum sataa lo mujh ko lekin yuun na har ik se milo zulm sah lungaa magar sadme na jhele jaaeinge is gali mein Daal do taa sambhlein Thokar khaa ke ghair yuun bhi ik din khaak mein aankhon ke Dhele jaaeinge hai du'aaon kaa asar sang-e-havaadis hi agar apne haathon phir to ye sadme na jhele jaaeinge khair khvaahon raaz-daaron ki bahut niyyat dekh li aaj se ham us ki mahfil mein akele jaaeinge be-kasi mein kaun kis kaa saath detaa hai 'safi' milne vaale hain tamaashe ke ye mele jaaeinge"
Safi AurangabadiSafi Aurangabadi
Quote
"kyaa ho taskin jo ho teri sukunat dil mein rahe aaghosh mein yaa pyaar ki surat dil mein maut chaahun to karun soz-e-mohabbat kaa ilaaj kyaa rahegaa na rahegi jo haraarat dil mein dil-nashin hai jo mujhe taalib-e-izzat honaa chhup ke baiThaa hai koi saahab-e-izzat dil mein dil ko sab log ye kahte hain khudaa kaa ghar hai main samajhtaa huun ki hai teri amaanat dil mein sun rahaa huun vo ayaadat ke liye aate hain aaj hai pursish-e-aamaal ki haibat dil mein tauba tauba main samajhtaa thaa ki dil hai betaab khud vo betaab hai jis ki hai sukunat dil mein dil mein rahne kaa tujhe haq to hai lekin ai shokh kaash hoti tire chehre ki mataanat dil mein jaante hain miri be-raah-ravi ke asbaab maante hain mujhe yaaraan-e-tariqat dil mein Than gai thi tire akhlaaq ki bejaa taarif ab na aataa to ye aai thi sharaarat dil mein hai abhi tak to faqat sikva-e-dushman ai dost kahin paidaa na ho kuchh aur shikaayat dil mein chaahtaa huun jise ban jaae agar vo saaqi baDhti jaae havas-e-kausar-o-jannat dil mein zauq-e-didaar bhi kyaa chiiz hai allaah allaah meri aankhon mein basaarat hai basirat dil mein kaash min-jumla-e-aazaar-e-mohabbat nikle kaar-farmaa nazar aati hai jo quvvat dil mein hain abhi tak tumhein duniyaa ke maze yaad safi' aashiqi karte ho rakh kar ye malaamat dil mein"
Safi AurangabadiSafi Aurangabadi
Quote
"jab un se dosti na rahi dushmani rahi bigDi to bigDi aur bani to bani rahi sadma rahaa malaal rahaa be-kasi rahi lekin kisi ki yaad hamesha lagi rahi kyaa kahiye dushmani rahi yaa dosti rahi bigDi to bigDi aur bani to bani rahi phir us ko dost jaan rahaa huun hazaar haif mujh se tamaam-umr jise dushmani rahi pahlu hazaar ham ne kiye garche ikhtiyaar lekin jo us ke dil mein Thani thi Thani rahi aaina dekhtaa nahin apne se sharm hai achchhaa huaa jo mujh se use bad-zani rahi yusuf ko diin duaaein zulekhaa ne saikDon muhtaaj ho gai bhi to dil ki ghani rahi aashiq ko ku-e-yaar se behtar maqaam kyaa divaana thaa jo qais ki ban se bani rahi taariki-e-mazaar to mashhur baat hai kuchh ham bhi DhunDh leinge agar raushni rahi qadr-e-sukhan ke vaaste ab kyaa karun safi' daaDhi baDhaai phir bhi vahi kam-sini rahi"
Safi AurangabadiSafi Aurangabadi
Quote
"dil jab se dard-e-ishq ke qaabil nahin rahaa ik naagavaar chiiz hai ab dil nahin rahaa vo main nahin rahaa vo miraa dil nahin rahaa ab un ko munh dikhaane ke qaabil nahin rahaa kyaa iltijaa-e-did karun dekhtaa huun main aaina bhi hamesha muqaabil nahin rahaa ab vo khafaa hue hain to yuun bhi hai ik khushi marnaa hamaare vaaste mushkil nahin rahaa duniyaa gharaz ki rah gai ab is se kyaa gharaz chaliye ki lutf-e-shirkat-e-mahfil nahin rahaa sun sun ke ahl-e-ishq-o-mohabbat ke vaaqi'aat duniyaa kaa koi kaam bhi mushkil nahin rahaa duniyaa ke nek-o-bad pe miri raae kuchh nahin ab tak idhar khayaal hi maail nahin rahaa mujh se na puchho hasrat-e-aaraaish-e-jamaal aaina ban ke un ke muqaabil nahin rahaa ik naa-umid ke liye itnaa na sochiye aazurda dil rahaa bhi to be-dil nahin rahaa vo jaan le chukein to koi un se puchh le ab to kuchh us gharib pe faazil nahin rahaa aayaa na khvaab mein bhi kabhi ghair kaa khayaal ghaflat mein bhi main aap se ghaafil nahin rahaa be-bandagi bhi us ki rahi banda-parvari miltaa rahaa agarche main saail nahin rahaa vo haath hain 'safi' mujhe ik aastin kaa saanp gardan mein dost ke jo hamaail nahin rahaa"
Safi AurangabadiSafi Aurangabadi
Quote
"tiraa be-muddaaa maange duaa kyaa maraz hai tandurusti mein davaa kyaa kahein kyaa kyaa kiyaa hai ham ne kyaa kyaa tujhe ai bevafaa qadr-e-vafaa kyaa tabassum ho javaab-e-muddaaa kyaa kahaa kyaa aap ne main ne sunaa kyaa kaho aakhir zaraa main bhi to sun luun miri nisbat sunaa hai tum ne kyaa kyaa tumhaari mehrbaani hai to sab hai miraa armaan meraa muddaaa kyaa na dekhein vo to apnaa girya be-sud na puchhein vo to apnaa muddaaa kyaa chalaa tu bhi jo ai dil lene vaale hamaare paas phir baaqi rahaa kyaa adaaein tum ko bakhshin ham ko aankhein karegaa aur bandon se khudaa kyaa jo mujh ko aap hi dar se uThaa dein koi rakkhe kisi kaa aasraa kyaa samajhte ho jo apne-aap ko tum use samjhegaa koi dusraa kyaa khilaate ho qasam zabt-e-fughaan par zaraa socho maraz kyaa hai davaa kyaa mire ghar ko tum apnaa ghar na samjho to aisi mehmaani kaa mazaa kyaa safi' khud biini Thahre jin kaa sheva nazar aaegaa un ko dusraa kyaa"
Safi AurangabadiSafi Aurangabadi
Quote
"tabiat bujh gai jab se tire didaar ko tarse agar ab niind bhi aati hai uTh jaate hain bistar se hamein maashuq ko apnaa banaanaa tak nahin aataa banaane vaale aaina banaa lete hain patthar se zabaan se aah nikli dil se naala aankhon se aansu magar ik teri dhun hai jo nikalti hi nahin sar se are naadaan sachchaa chaahne vaalaa nahin miltaa vo lailaa thi ki jis ko mil gayaa majnun muqaddar se milan-saari bhi sikho jab nigaah-e-naaz paai hai miri jaan aadmi akhlaaq se talvaar jauhar se khudaa ki shaan matlab-aashnaa aise bhi hote hain buton ne ban ke but sajda karaayaa pahle but-gar se safi' ko muskuraa kar dekh lo ghusse se kyaa haasil use tum zahr kyon dete ho jo martaa hai shakkar se"
Safi AurangabadiSafi Aurangabadi
Quote
"jo husn-o-ishq se amn-o-amaan mein rahte hain kahaan ke log hain vo kis jahaan mein rahte hain kalaam-e-paak mein hai zikr-e-hazrat-e-yusuf ye husn-o-ishq har ik daastaan mein rahte hain ilaahi ab se hasinon ko mehrbaan banaa ki tere bande unhin ki amaan mein rahte hain tumhin to ho vo jo dard-o-alam mein rakhte ho hamin to hain vo jo aah-o-fughaan mein rahte hain mujhe to aap se matlab hai chaand suraj kaun vo un ko chaaheinge jo aasmaan mein rahte hain kidhar kidhar ke chale aate hain ye be-vahdat kahaan kahaan ke tumhaare makaan mein rahte hain umiid ranj alam zabt dard sabr qalaq ye sab hamaare dil-e-naa-tavaan mein rahte hain hazaaron kaam hain aise bhi dekh ai ghaafil ki baad marg bhi log is jahaan mein rahte hain khudaa samajh le lagaane bujhaane vaalon ko ye khvaah-makhvaah yahaan mein vahaan mein rahte hain ishaare aap ki abru ke koi kyaa jaane ki kitne zahr ke tiir is kamaan mein rahte hain hamaari khaas taraqqi hai khaana-viraani kabhi makaan mein the ab laa-makaan mein rahte hain agar samajh hai to dil de ke lutf-e-zist uThaa hazaar faaede us ik ziyaan mein rahte hain khayaal-e-dost mein rahte hain ai safi' jab tak to is jahaan mein na ham us jahaan mein rahte hain"
Safi AurangabadiSafi Aurangabadi
Quote
"dard-e-furqat ko kyaa kare koi haae aadat ko kyaa kare koi dil ki hasrat ko kyaa kare koi is musibat ko kyaa kare koi pyaar karne se aar hai to kaho achchhi surat ko kyaa kare koi doston ko to rokun shokhi se saari khilqat ko kyaa kare koi chashm-o-dil se chhupaaun dard-e-nihaan rang-e-surat ko kyaa kare koi apne dil kaa to khuun kar Daalun un ki surat ko kyaa kare koi un kaa farmaan hai ki aah-o-fughaan maa-badaulat ko kyaa kare koi naasehon ko salaam bhi kar luun us nasihat ko kyaa kare koi aarzu hai to khauf bhi kuchh hai paak niyyat ko kyaa kare koi tujh mein jo baat chaahiye vo nahin le ke surat ko kyaa kare koi vo khafaa hon to main khataa kar luun chheD hujjat ko kyaa kare koi mehrbaan hain janaab-e-dil us par aise hazrat ko kyaa kare koi meri taqrir mein to hai taasir teri sohbat ko kyaa kare koi naam bhi un kaa ham nahin lete ab sharaarat ko kyaa kare koi ai safi' vo bigaD gae man kar teri qismat ko kyaa kare koi"
Safi AurangabadiSafi Aurangabadi
Quote
"ghaDi bhar aaj vo mujh se rahaa khush khudaa rakkhe use is se sivaa khush ye main jo har tarah naashaad-o-naa-khush phir aise se rahe un ki balaa khush kabhi khush hai kabhi vo mujh se naa-khush hamesha kaun duniyaa mein rahaa khush tumhin tum khush to phir ke lutf-e-sohbat maza milne kaa hai ho dusraa khush tumhin tum khush to phir kyaa lutf-e-sohbat maza milne kaa hai ho dusraa khush khushi ki mil gaiin do-chaar saansein ki vo bad-ahd aayaa khush gayaa khush jo vo baaton se khush karne pe aate to hote banda-e-dargaah kyaa khush samajhte hain ki ye gustaakh bhi hai zaraa naa-khush hain vo mujh se zaraa khush kahaan tak zabt ab kartaa huun naala sitamgar khush rahe mujh se ki naa-khush dar-e-daulat pe the laakhon bhikaari na palTaa koi mahrum aur naa-khush ilaahi-bakht tu bedaar-e-baada adu naa-khush rahin aur aashnaa khush suni hai baarhaa meri tamannaa kiyaa hai us ne mujh ko baarhaa khush khushi se aaj us ne baat kar li tabiat ho gai be-intihaa khush karo vo kaam jo kal kaam aae chalo vo chaal jis se ho khudaa khush ilaahi daur-e-usmaani ho daaem ki hai is ahd mein chhoTaa baDaa khush khushi meri kisi ke haath mein hai huaa khush jo kisi ne kar diyaa khush safi' meri khushi-o-naa-khushi kyaa rakkhaa jis haal mein us ne rahaa khush"
Safi AurangabadiSafi Aurangabadi
Quote
"itne to ham-khayaal dil-e-mubtalaa hain ham kal jis se khush the aaj isi se khafaa hain ham tujh se judaa nahin hain jo tujh se judaa hain ham tere hi hain agarche tire naqsh-e-paa hain ham kahte hain ham ko nek bhi bad bhi hazaar-haa is ki khabar nahin hai ki dar-asl kyaa hain ham rutba baDhaa diyaa hai junun-e-firaaq ne ham se judaa hain aap to sab se judaa hain ham taasir-e-ashk-o-aah ne badlaa nahin mizaaj muddat hui ki shaaki-e-aab-o-havaa hain ham laakhon jafaaein sah ke ab aayaa hai ye khayaal milte hi kyuun hain us se jo be-muddaaa hain ham vo yaas ban gai jo zamaane ki aas thi aazurda aaj apne se be-intihaa hain ham jamtaa hai apne zikr se ab mahfilon kaa rang rahte hain apne ghar mein magar jaa-ba-jaa hain ham kyaa kyaa inaayatein hain bas ai charkh-e-pir bas teraa tasadduq ab bhi kisi se judaa hain ham ab ittifaaq-e-ahl-e-vafaa tum ko kyaa dikhaaein mahshar mein dekhnaa ki ye sab ek jaa hain manzur imtihaan-e-dil-e-ishq-baaz hai ab apne vaaste bhi to sabr-aazmaa hain ham is par miTe hue hain miTaataa hai jo safi' dushman ki gaa rahe hain baDe khush-navaa hain ham"
Safi AurangabadiSafi Aurangabadi
Quote
"dost khush hote hain jab dost kaa gham dekhte hain kaisi duniyaa hai ilaahi jise ham dekhte hain dekhte hain jise baa-dida-e-nam dekhte hain aap ke dekhne vaalon ko bhi ham dekhte hain be-mahal ab to sitamgar ke sitam dekhte hain kaise-kaison ko bure haal mein ham dekhte hain hans ke taDpaa de magar ghusse se surat na bigaaD ye bhi maalum hai zaalim tujhe ham dekhte hain log kyuun kahte hain tu us ko na dekh us ko na dekh ham ko allaah dikhaataa hai to ham dekhte hain baagh ki sair na baazaar ki tafrih rahi ham to barson mein kisi din pe qadam dekhte hain laal hiire sahi tere lab-e-dandaan idhar aa toD lete to nahin hain unhein ham dekhte hain shal hue dast-e-talab bhuul gae harf-e-savaal aaj ham hausla-e-ahl-e-karam dekhte hain main tamaashaa sahi lekin ye tamaashaa kaisaa muft mein log tire zulm-o-sitam dekhte hain aap ki kam-nigahi husn bhi hai aib bhi hai log aisaa bhi samajhte hain ki kam dekhte hain ham ko Thukraate chalein aap ki mahfil mein adu kyaa unhein kam nazar aataa hai yaa kam dekhte hain chaar logon ke dikhaane ko to akhlaaq se mil aur kuchh bhi nahin duniyaa mein bharam dekhte hain meraa honaa bhi na hone ke baraabar hai vahaan dekhein jo log vajud aur adam dekhte hain aankh mein sharm kaa paani magar itnaa bhi na ho dekh un ko jo tiri aankh ko nam dekhte hain ho to jaaegaa tire dekhne vaalon mein shumaar avval avval hi magar apne ko ham dekhte hain raasta chalne ki ik chheD thi tu aaqaa na aa ham to ye qaul ye vaada ye qasam dekhte hain dekhnaa jurm huaa zulm huaa qahr huaa ye na dekhaa tujhe kis aankh se ham dekhte hain aankh un ki hai dil un kaa hai kaleja un kaa raat-din jo mujhe baa-dida-e-nam dekhte hain apnaa ronaa bhi safi' raas na aayaa ham ko us ko shikva hai ki aankhein tiri nam dekhte hain"
Safi AurangabadiSafi Aurangabadi
Quote
"vahi hotaa hai jo mahbub ko manzur hotaa hai mohabbat karne vaalaa har tarah majbur hotaa hai jahaan jaate hain ham us ki gali se ho ke jaate hain agarche raasta is raaste se duur hotaa hai nahin rukte ghaDi-bhar taalib-e-didaar ke aansu ye zaalim shauq goyaa aankh kaa naasur hotaa hai koi majnun ki izzat ishq ki sarkaar mein dekhe baDi khidmat pe aisaa aadmi maamur hotaa hai hasinon kaa tanazzul bhi nahin hai shaan se khaali buDhaape mein bhi un logon ke munh pe nuur hotaa hai vo aisi khanda-peshaani se har maaruza sunte hain ye samjhe arz karne vaalaa ab manzur hotaa hai tujhe mashhur honaa ho to aashiq ki buraai kar buraai se bahut jald aadmi mashhur hotaa hai hamaare ghar vo aa kar thak gae haan kyuun na thak jaate nayaa rasta jo ho nazdik bhi to duur hotaa hai jo tum vaabastaa-e-daaman ko samjhe daagh-e-bad-naami to ab kyaa duur kar sakte ho ab ye duur hotaa hai baDaa ehsaan hogaa mere dil kaa khuun kar Daalo yahi majbur kartaa hai yahi majbur hotaa hai mujhe tum jaante ho aql se maazur haan be-shak mohabbat karne vaalaa aql se maazur hotaa hai hasin har ek ho saktaa nahin be-shak safi' be-shak vahi hotaa hai jo allaah ko manzur hotaa hai"
Safi AurangabadiSafi Aurangabadi