Shayari
tujh se bichhaDnaa koi nayaa haadsa nahin
aise hazaaron qisse hamaari khabar mein hain
saDak pe chalte hue aankhein band rakhtaa huun
tire jamaal kaa aisaa maza paDaa hai mujhe
سڑک پہ چلتے ہوئے آنکھیں بند رکھتا ہوں
ترے جمال کا ایسا مزہ پڑا ہے مجھے
सड़क पे चलते हुए आँखें बंद रखता हूँ
तिरे जमाल का ऐसा मज़ा पड़ा है मुझे

tujh se bichhaDnaa koi nayaa haadsa nahin
aise hazaaron qisse hamaari khabar mein hain
ye baat yaad rakheinge talaashne vaale
jo us safar pe gae lauT kar nahin aae
arse se is dayaar ki koi khabar nahin
mohlat mile to aaj kaa akhbaar dekh lein
kyuun khilaune TuTne par aab-dida ho gae
ab tumhein ham kyaa bataaein kyaa pareshaani hui
ek manzar mein lipTe badan ke sivaa
sard raaton mein kuchh aur dikhtaa nahin
sabhi ko apnaa samajhtaa huun kyaa huaa hai mujhe
bichhaD ke tujh se ajab rog lag gayaa hai mujhe
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
jab dil kaa jahaaz apnaa tabaahi mein paDe hai
le dauDein hain aansu vahin aaankhon ki gharaabein
kisi ke dard-e-mohabbat ne umr bhar ke liye
khudaa se maang liyaa intikhaab kar ke mujhe