Shayari
tujh se bichhaDnaa koi nayaa haadsa nahin
aise hazaaron qisse hamaari khabar mein hain
tujh ko bhi kyuun yaad rakhaa
soch ke ab pachhtaate hain
تجھ کو بھی کیوں یاد رکھا
سوچ کے اب پچھتاتے ہیں
तुझ को भी क्यूँ याद रखा
सोच के अब पछताते हैं

tujh se bichhaDnaa koi nayaa haadsa nahin
aise hazaaron qisse hamaari khabar mein hain
ye baat yaad rakheinge talaashne vaale
jo us safar pe gae lauT kar nahin aae
arse se is dayaar ki koi khabar nahin
mohlat mile to aaj kaa akhbaar dekh lein
kyuun khilaune TuTne par aab-dida ho gae
ab tumhein ham kyaa bataaein kyaa pareshaani hui
ek manzar mein lipTe badan ke sivaa
sard raaton mein kuchh aur dikhtaa nahin
sabhi ko apnaa samajhtaa huun kyaa huaa hai mujhe
bichhaD ke tujh se ajab rog lag gayaa hai mujhe
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
maango samundaron se na saahil ki bhiik tum
haan fikr o fan ke vaaste gahraai maang lo
us ko sochun to dhyaan mein mere
khushbu aati hai pahli baarish ki
us ke rukhsaar pe hai aur tire honT pe til
tilmilaane ki ijaazat nahin di jaaegi
vo ajab ghaDi thi main jis ghaDi liyaa dars nuskha-e-ishq kaa
ki kitaab aql ki taaq par juun dhari thi tyuun hi dhari rahi