Shayari
subh tak vo bhi na chhoDi tu ne ai baad-e-sabaa
yaadgaar-e-raunaq-e-mahfil thi parvaane ki khaak
meri aankhein aur didaar aap kaa
yaa qayaamat aa gai yaa khvaab hai
میری آنکھیں اور دیدار آپ کا
یا قیامت آ گئی یا خواب ہے
मेरी आँखें और दीदार आप का
या क़यामत आ गई या ख़्वाब है

subh tak vo bhi na chhoDi tu ne ai baad-e-sabaa
yaadgaar-e-raunaq-e-mahfil thi parvaane ki khaak
itnaa to jaante hain ki aashiq fanaa huaa
aur us se aage baDh ke khudaa jaane kyaa huaa
vo yahaan tak jo aa nahin sakte
kyaa mujhe bhi bulaa nahin sakte
lab-e-naazuk ke bose luun to missi munh banaati hai
kaf-e-paa ko agar chumun to mehndi rang laati hai
bimaar-e-gham ki chaaragari kuchh zarur hai
vo dard dil mein de ki masihaa kahein jise
kis ko dekhaa un ki surat dekh kar
ji mein aataa hai ki sajda kijiye
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
shab-haae-aish kaa vo zamaana kidhar gayaa
vo khvaab kyaa huaa vo fasaana kidhar gayaa
jise ishrat-kada-e-dahr samajhtaa thaa main
aakhir-e-kaar vo ik khvaab-e-pareshaan niklaa
puraane khvaabon se reza reza badan huaa hai
ye chaahtaa huun ki ab nayaa koi khvaab dekhun
khvaab galiyon mein phir rahe the aur
log apne gharon mein soe the