Shayari
sabr par dil ko to aamaada kiyaa hai lekin
hosh uD jaate hain ab bhi tiri aavaaz ke saath
ishq paaband-e-vafaa hai na ki paaband-e-rusum
sar jhukaane ko nahin kahte hain sajda karnaa
عشق پابند وفا ہے نہ کہ پابند رسوم
سر جھکانے کو نہیں کہتے ہیں سجدہ کرنا
इश्क़ पाबंद-ए-वफ़ा है न कि पाबंद-ए-रुसूम
सर झुकाने को नहीं कहते हैं सज्दा करना

sabr par dil ko to aamaada kiyaa hai lekin
hosh uD jaate hain ab bhi tiri aavaaz ke saath
apni haalat kaa khud ehsaas nahin hai mujh ko
main ne auron se sunaa hai ki pareshaan huun main
kahte hain ki ummid pe jiitaa hai zamaana
vo kyaa kare jis ko koi ummid nahin ho
betaab saa phirtaa hai kai roz se 'aasi'
bechaare ne phir tum ko kahin dekh liyaa hai
jahaan apnaa qissa sunaanaa paDaa
vahin ham ko ronaa rulaanaa paDaa
murattab kar gayaa ik ishq kaa qaanun duniyaa mein
vo divaane hain jo majnun ko divaana bataate hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
main kyaa kahun kahaan hai mohabbat kahaan nahin
rag rag mein dauDi phirti hai nashtar liye hue