Shayari
jhonke ke saath chhat gai dastak ke saath dar gayaa
taaza havaa ke shauq mein meraa to saaraa ghar gayaa
de ise bhi farogh-e-husn ki bhiik
dil bhi lag kar qataar mein aayaa
دے اسے بھی فروغ حسن کی بھیک
دل بھی لگ کر قطار میں آیا
दे इसे भी फ़रोग़-ए-हुस्न की भीक
दिल भी लग कर क़तार में आया

jhonke ke saath chhat gai dastak ke saath dar gayaa
taaza havaa ke shauq mein meraa to saaraa ghar gayaa
mohabbat ek dam dukh kaa mudaavaa kar nahin deti
ye titli baiThti hai zakhm par aahista aahista
'taabish' jo guzarti hi nahin shaam ki had se
sochein to vahin raat sahar-khez bahut hai
ek muddat se miri maan nahin soi 'taabish'
main ne ik baar kahaa thaa mujhe Dar lagtaa hai
main jis sukun se baiThaa huun is kinaare par
sukun se lagtaa hai meraa qayaam aakhiri hai
muddat ke baad khvaab mein aayaa thaa meraa baap
aur us ne mujh se itnaa kahaa khush rahaa karo
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin