Shayari
ham-nafas khvaab-e-junun ki koi taabir na dekh
raqs karnaa hai to phir paanv ki zanjir na dekh
basaa ke dil mein tire gham tire sitam ai dost
jahaan jahaan se bhi guzraa main naghma-khvaan guzraa
بسا کے دل میں ترے غم ترے ستم اے دوست
جہاں جہاں سے بھی گزرا میں نغمہ خواں گزرا
बसा के दिल में तिरे ग़म तिरे सितम ऐ दोस्त
जहाँ जहाँ से भी गुज़रा मैं नग़्मा-ख़्वाँ गुज़रा

ham-nafas khvaab-e-junun ki koi taabir na dekh
raqs karnaa hai to phir paanv ki zanjir na dekh
be-rukhi dekh ab zamaane ki
muddaaa kyuun zabaan se niklaa
dil ne har daur mein duniyaa se baghaavat ki hai
dil se tum rasm-o-rivaayaat ki baatein na karo
logon ko apni fikr hai lekin mujhe nadim
bazm-e-hayaat-o-nazm-e-gulistaan ki fikr hai
vaqt mohlat na degaa phir tum ko
tiir jis dam kamaan se niklaa
kitne be-nur hain ye hangaame
main bhare shahr mein bhi huun tanhaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
main tanhaa thaa main tanhaa huun
tum aao to kyaa na aao to kyaa
dosto jashn manaao ki bahaar aai hai
phuul girte hain har ik shaakh se aansu ki tarah