Shayari
zakhm aur peD ne ik saath duaa maangi hai
dekhiye pahle yahaan kaun haraa hotaa hai
sab mujhe DhunDne nikle hain bujhaa kar aankhein
baat nikli hai ki main khvaab mein paayaa gayaa huun
سب مجھے ڈھونڈنے نکلے ہیں بجھا کر آنکھیں
بات نکلی ہے کہ میں خواب میں پایا گیا ہوں
सब मुझे ढूँडने निकले हैं बुझा कर आँखें
बात निकली है कि मैं ख़्वाब में पाया गया हूँ

zakhm aur peD ne ik saath duaa maangi hai
dekhiye pahle yahaan kaun haraa hotaa hai
hazaar taane sunegaa khajil nahin hogaa
ye vo hujum hai jo mushtail nahin hogaa
falak se kaise miraa gham dikhaai degaa tujhe
kabhi zamin pe aa aur zamin se dekh mujhe
baDe sukun se afsurdagi mein rahtaa huun
main apne saamne vaali gali mein rahtaa huun
miyaan ye ishq to sab TuuT kar hi karte hain
kisi se hijr agar vaalihaana ho jaae
ye mohabbat koi anjaan si shai hoti thi
kyaa ye kam hai ki ise teri badaulat samjhe
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
mat bakht-e-khufta par mire hans ai raqib tu
hogaa tire nasib bhi ye khvaab dekhnaa
aankh kaa e'tibaar kyaa karte
jo bhi dekhaa vo khvaab mein dekhaa
rahaa khvaab mein un se shab bhar visaal
mire bakht jaage main soyaa kiyaa
vo baad-e-muddat milaa to rone ki aarzu mein
nikal ke aankhon se gir paDe chand khvaab aage