Shayari
zakhm aur peD ne ik saath duaa maangi hai
dekhiye pahle yahaan kaun haraa hotaa hai
nikaal laae hain sab log us ke aks mein naqs
ye aaina abhi tayyaar hone vaalaa hai
نکال لائے ہیں سب لوگ اس کے عکس میں نقص
یہ آئینہ ابھی تیار ہونے والا ہے
निकाल लाए हैं सब लोग उस के अक्स में नक़्स
ये आईना अभी तय्यार होने वाला है

zakhm aur peD ne ik saath duaa maangi hai
dekhiye pahle yahaan kaun haraa hotaa hai
hazaar taane sunegaa khajil nahin hogaa
ye vo hujum hai jo mushtail nahin hogaa
falak se kaise miraa gham dikhaai degaa tujhe
kabhi zamin pe aa aur zamin se dekh mujhe
baDe sukun se afsurdagi mein rahtaa huun
main apne saamne vaali gali mein rahtaa huun
miyaan ye ishq to sab TuuT kar hi karte hain
kisi se hijr agar vaalihaana ho jaae
ye mohabbat koi anjaan si shai hoti thi
kyaa ye kam hai ki ise teri badaulat samjhe
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
dost-daar-e-dushman hai e'timaad-e-dil maalum
aah be-asar dekhi naala naa-rasaa paayaa
dekhaa jo khaa ke tiir kamin-gaah ki taraf
apne hi doston se mulaaqaat ho gai
daagh duniyaa ne diye zakhm zamaane se mile
ham ko tohfe ye tumhein dost banaane se mile
tujhe kaun jaantaa thaa miri dosti se pahle
tiraa husn kuchh nahin thaa miri shaairi se pahle