Shayari
zindagi ki zulmatein apne lahu mein rach gaiin
tab kahin jaa kar hamein aankhon ki binaai mili
sath-e-dariyaa par ubharne ki tamannaa hi nahin
arsh par pahunche hue hain jab se gahraai mili
سطح دریا پر ابھرنے کی تمنا ہی نہیں
عرش پر پہنچے ہوئے ہیں جب سے گہرائی ملی
सत्ह-ए-दरिया पर उभरने की तमन्ना ही नहीं
अर्श पर पहुँचे हुए हैं जब से गहराई मिली

zindagi ki zulmatein apne lahu mein rach gaiin
tab kahin jaa kar hamein aankhon ki binaai mili
raste mein koi peD jo mil jaae to baiThun
vo baar uThaayaa hai ki dikhne lage shaane
jaane ye hiddat chaman ko raas aae yaa nahin
aag jaisi kaifiyat hai khushbuon ki lahr mein
bikharte jism le kar tund tufaanon mein baiThe hain
koi zarre ki surat hai koi Tiile ki surat hai
gir paDaa tu aakhiri ziine ko chhu kar kis liye
aa gayaa phir aasmaanon se zamin par kis liye
dil ki masjid mein kabhi paDh le tahajjud ki namaaz
phir sahar ke vaqt honTon par duaa bhi aaegi
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
kyaa hamsari ki ham se tamannaa kare koi
ham khud bhi apne qad ke baraabar na ho sake
vo haadse bhi dahr mein ham par guzar gae
jiine ki aarzu mein kai baar mar gae
kuchh to bataao ai farzaano divaanon par kyaa guzri
shahr-e-tamannaa ki galiyon mein barpaa hai kohraam bahut
us se yahi kahtaa huun vaajib ehtiraam-e-ishq hai
andar se ye khvaahish hai vo jaisaa kahe vaisaa karun
zindagi ki hansi uDaati hui
khvaahish-e-marg sar uThaati hui