Shayari
tujh se bichhDun to tiri zaat kaa hissa ho jaaun
jis se martaa huun usi zahr se achchhaa ho jaaun
rafaaqaton kaa tavaazun agar bigaD jaae
khamoshiyon ke taaavun se ghar chalaa lenaa
رفاقتوں کا توازن اگر بگڑ جائے
خموشیوں کے تعاون سے گھر چلا لینا
रफ़ाक़तों का तवाज़ुन अगर बिगड़ जाए
ख़मोशियों के तआवुन से घर चला लेना

tujh se bichhDun to tiri zaat kaa hissa ho jaaun
jis se martaa huun usi zahr se achchhaa ho jaaun
tumhaare vasl kaa jis din koi imkaan hotaa hai
main us din roza rakhtaa huun buraai chhoD detaa huun
mujh ko maalum hai mahbub-parasti kaa azaab
der se chaand nikalnaa bhi ghalat lagtaa hai
tum mire saath ho ye sach to nahin hai lekin
main agar jhuuT na bolun to akelaa ho jaaun
vo apne husn ki khairaat dene vaale hain
tamaam jism ko kaasa banaa ke chalnaa hai
tanhaai se bachaav ki surat nahin karun
mar jaaun kyaa kisi se mohabbat nahin karun
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
jo ghair the vo isi baat par hamaare hue
ki ham se dost bahut be-khabar hamaare hue
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki