Shayari
gham-e-jaanaan gham-e-dauraan ki taraf yuun aayaa
jaanib shahar chale dukhtar-e-dahqaan jaise
aaghosh mein mahkoge dikhaai nahin doge
tum nikhat-e-gulzaar ho ham parda-e-shab hain
آغوش میں مہکوگے دکھائی نہیں دو گے
تم نکہت گلزار ہو ہم پردۂ شب ہیں
आग़ोश में महकोगे दिखाई नहीं दोगे
तुम निकहत-ए-गुलज़ार हो हम पर्दा-ए-शब हैं

gham-e-jaanaan gham-e-dauraan ki taraf yuun aayaa
jaanib shahar chale dukhtar-e-dahqaan jaise
zindagi shama ki maanind jalaataa huun 'nadim'
bujh to jaaungaa magar subah to kar jaaungaa
kis tavaqqoa pe kisi ko dekhein
koi tum se bhi hasin kyaa hogaa
ik safina hai tiri yaad agar
ik samundar hai miri tanhaai
mujh se kaafir ko tire ishq ne yuun sharmaayaa
dil tujhe dekh ke dhaDkaa to khudaa yaad aaya
aakhir duaa karein bhi to kis muddaaa ke saath
kaise zamin ki baat kahein aasmaan se ham
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
khushbu kaa qaafila ye bahaaron kaa silsila
pahunchaa hai shahr tak to mire ghar bhi aaegaa
din bhi Duubaa ki nahin ye mujhe maalum nahin
jis jagah bujh gae aankhon ke diye raat hui
jab vo hain bure to phir achchhaai kareinge kyon
khushbu ki tamanna tum kyon karte ho khaaron se