Shayari
aaghosh mein mahkoge dikhaai nahin doge
tum nikhat-e-gulzaar ho ham parda-e-shab hain
gham-e-jaanaan gham-e-dauraan ki taraf yuun aayaa
jaanib shahar chale dukhtar-e-dahqaan jaise
غم جاناں غم دوراں کی طرف یوں آیا
جانب شہر چلے دختر دہقاں جیسے
ग़म-ए-जानाँ ग़म-ए-दौराँ की तरफ़ यूँ आया
जानिब शहर चले दुख़्तर-ए-दहक़ाँ जैसे

aaghosh mein mahkoge dikhaai nahin doge
tum nikhat-e-gulzaar ho ham parda-e-shab hain
zindagi shama ki maanind jalaataa huun 'nadim'
bujh to jaaungaa magar subah to kar jaaungaa
kis tavaqqoa pe kisi ko dekhein
koi tum se bhi hasin kyaa hogaa
ik safina hai tiri yaad agar
ik samundar hai miri tanhaai
mujh se kaafir ko tire ishq ne yuun sharmaayaa
dil tujhe dekh ke dhaDkaa to khudaa yaad aaya
aakhir duaa karein bhi to kis muddaaa ke saath
kaise zamin ki baat kahein aasmaan se ham
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jaada-e-gham mein aarzu ke sivaa
ham-safar dusraa nahin hotaa
udaas aankhon ki viraan maang bharne ko
ye niind khvaab kaa sindur le ke aai hai
qismaton se milaa hai dard hamein
kahin aaraam-e-dil na ho jaae