Shayari
aaghosh mein mahkoge dikhaai nahin doge
tum nikhat-e-gulzaar ho ham parda-e-shab hain
saari duniyaa hamein pahchaanti hai
koi ham saa bhi na tanhaa hogaa
ساری دنیا ہمیں پہچانتی ہے
کوئی ہم سا بھی نہ تنہا ہوگا
सारी दुनिया हमें पहचानती है
कोई हम सा भी न तन्हा होगा

aaghosh mein mahkoge dikhaai nahin doge
tum nikhat-e-gulzaar ho ham parda-e-shab hain
gham-e-jaanaan gham-e-dauraan ki taraf yuun aayaa
jaanib shahar chale dukhtar-e-dahqaan jaise
zindagi shama ki maanind jalaataa huun 'nadim'
bujh to jaaungaa magar subah to kar jaaungaa
kis tavaqqoa pe kisi ko dekhein
koi tum se bhi hasin kyaa hogaa
ik safina hai tiri yaad agar
ik samundar hai miri tanhaai
aakhir duaa karein bhi to kis muddaaa ke saath
kaise zamin ki baat kahein aasmaan se ham
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
nasheman hi ke luT jaane kaa gham hotaa to kyaa gham thaa
yahaan to bechne vaale ne gulshan bech Daalaa hai
kaaTi hai gham ki raat baDe ehtiraam se
aksar bujhaa diyaa hai charaaghon ko shaam se
mukhtasar baat thii, phaili kyuun sabaa ki maanind
dard-mandon kaa fasaana thaa, uchhaalaa kis ne