Shayari
pahle vaqton mein ho to ho shaayad
dosti ab hasin gaali hai
bas ek hi balaa hai mohabbat kahein jise
vo paaniyon mein aag lagaati hai aaj bhi
بس ایک ہی بلا ہے محبت کہیں جسے
وہ پانیوں میں آگ لگاتی ہے آج بھی
बस एक ही बला है मोहब्बत कहें जिसे
वो पानियों में आग लगाती है आज भी

pahle vaqton mein ho to ho shaayad
dosti ab hasin gaali hai
abhi kuchh aur tiri justuju rulaaegi
abhi kuchh aur bhaTaknaa hai dar-ba-dar mujh ko
aakhiri ummid bhi aankhon se chhalkaae hue
kaun si jaanib chale hain tere Thukraae hue
hijr kaa din kyuun chaDhne paae
vasl ki shab tulaani kar do
ban sanvar kar rahaa karo 'hasrat'
us ki paD jaae ik nazar shaayad
ruThaa yaar manaanaa hai
koi svaang rachaao ab
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mushkil-e-ishq mein laazim hai tahammul 'saaqib'
baat bigDi hui banti nahin ghabraane se
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa