Shayari
ye bhi tai hai ki jo boeinge vo kaaTeinge yahaan
aur ye bhi ki jo khoeinge vahi paaeinge
kuchh kahnaa chaahte the ki khaamosh ho gae
dastaar yaad aa gai sar yaad aa gayaa
کچھ کہنا چاہتے تھے کہ خاموش ہو گئے
دستار یاد آ گئی سر یاد آ گیا
कुछ कहना चाहते थे कि ख़ामोश हो गए
दस्तार याद आ गई सर याद आ गया

ye bhi tai hai ki jo boeinge vo kaaTeinge yahaan
aur ye bhi ki jo khoeinge vahi paaeinge
bas ek shaam kaa har shaam intizaar rahaa
magar vo shaam kisi shaam bhi nahin aai
ab aap khud hi bataaein ye zindagi kyaa hai
karam bhi us ne kiye hain magar sitam jaise
kyaa kahegaa kabhi milne bhi agar aaegaa vo
ab vafaadaari ki qasmein to nahin khaaegaa vo
ye jo ham khoe khoe rahte hain
is mein kuchh dakhl hai tumhaaraa bhi
main ne ai dil tujhe siine se lagaayaa huaa hai
aur tu hai ki miri jaan ko aayaa huaa hai
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
koi viraani si viraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa
naam meraa yaad karke chuskiyon ke biich mein
kyaa hui hai chaae ke cup mein tire halchal kabhi
ne tiir kamaan mein hai na sayyaad kamin mein
goshe mein qafas ke mujhe aaraam bahut hai