Shayari
ai jamaal-e-be-badal lekin adaa mein be-rukhi
ho gaiin sadiyaan ki chashm-e-tishna teri muntazir
sitaaron ki gardish dilon kaa bichhaDnaa
ye kaise khudaa ki hai kaisi khudaai
ستاروں کی گردش دلوں کا بچھڑنا
یہ کیسے خدا کی ہے کیسی خدائی
सितारों की गर्दिश दिलों का बिछड़ना
ये कैसे ख़ुदा की है कैसी ख़ुदाई

ai jamaal-e-be-badal lekin adaa mein be-rukhi
ho gaiin sadiyaan ki chashm-e-tishna teri muntazir
zaat-e-khaaKi ki tahon mein khufta hain anvaa’-e-khaak
rang-haa-e-tah-ba-tah kaa pech-o-kham kuchh aur hai
luTaa ye kaarvaan kab kaa na jaane kaun thi manzil
magar ahbaab ab bhi zo'm-e-chughtaai mein jiite hain
ye kaisi jagah hai ki dil kho rahaa hai
bayaabaan hai sahraa hai gulshan hai kyaa hai
vo jaadu adaaein adaaon mein jaadu
ye pahunchaaein ham ko fanaa se baqaa tak
zo'm-e-tuqaa hijaab-e-tazaahur nifaaq kaa
har jaa raqam hai is mein bhi izn o qum-e-darogh
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
yuun to milne ko log milte hain
dil magar kam kisi se miltaa hai
kaun aaegaa bhuul kar rasta
dil ko kyuun zid hai ghar sajaane ki
ab raqib-e-bul-havas hain ishq-baaz
dil lagaane se bhi nafrat ho gai