Shayari
main muntazir huun teri tamannaa liye hue
aa jaa farogh-e-husn ki duniyaa liye hue
junun bhi zahmat khirad bhi laanat hai zakhm-e-dil ki davaa mohabbat
harim-e-jaan mein tavaaf-e-paiham yahi hai andaaz-e-aashiqaana
جنوں بھی زحمت خرد بھی لعنت ہے زخم دل کی دوا محبت
حریم جاں میں طواف پیہم یہی ہے انداز عاشقانہ
जुनूँ भी ज़हमत ख़िरद भी ल'अनत है ज़ख़्म-ए-दिल की दवा मोहब्बत
हरीम-ए-जाँ में तवाफ़-ए-पैहम यही है अंदाज़-ए-आशिक़ाना

main muntazir huun teri tamannaa liye hue
aa jaa farogh-e-husn ki duniyaa liye hue
kitne taabaan the vo lamhaat tire pahlu mein
do ghaDi meri bhi firdaus minaa guzri hai
na mizaaj-e-naaz-e-jalva kabhi paa sakin nigaahein
ki ulajh ke rah gai hain tiri zulf-e-kham-ba-kham mein
miri aarzu ki taskin na karam mein ne sitam mein
miraa dil mudaam tishna tiri rah ke pech-o-kham mein
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vo jis ne dekhaa nahin ishq kaa kabhi maktab
main us ke haath mein dil ki kitaab kyaa detaa
chand logon ki mohabbat bhi ghanimat hai miyaan
shahr kaa shahr hamaaraa to nahin ho saktaa
main ek ishq mein naakaam kyaa huaa 'gauhar'
har ek kaam mein mujh ko khasaaraa hone lagaa
bichhaDne kaa iraada hai to mujh se mashvara kar lo
mohabbat mein koi bhi faisla zaati nahin hotaa